*NIDA YA RASOOL'ALLAH*
*NIDA YA RASOOL'ALLAH*
(SMS#1)
Ya Rasulallah pukarnay k jawaz ka to
Is k suboot may Aayat w Ahaadees k jo anbar hain
uneh apnay dawey ki daleel py peash krnay sy
Qabal
Munkireen sy sawal hy k
Agar koi
HUZUR alaehi salamko Seega e Nida sy Bulaey to us py kia hukum hy
aur pukarey to us py kia hukum?
Neez wo ye B bata dain k Arbi Zaban may Nida k liye kitnay Seegay hain
aur in may Huzur k liye koan koan sy Jaiz or Baqi k liye kia hukum?
*NIDA YA RASOOL'ALLAH*
(SMS#2)
HUZOOR(SALLALLAHO ALAIHI WAASALLAM)Ne Ek Nabeena Ko Dua Ke Taaleem Farmaiye;
"ELAHI!
Mein Tujh Se Dua Maangta Aur Teri Taaraf Tawaju Karta Hun Baawasila Huzoor(Sallallaho Alaihi Waasallam)Mehrbani Ke Banni Hain,YARASOOL'ALLAH!Mein Huzoor Ke Wasiley Se Apne Rub Te Taraf Is Hajat Mein Tawaju Karta Hun Ke Meri Hajat Rawa Ho,In Ke Shafat Merey Haq Mein Qubool Farma"
{Tirmizi shariff
Jild#2
Pg#197
Matbooa;Amin Company Delhi}
*NIDA YA RASOOL'ALLAH*
(SMS#3)
IMAM NOOVI SHARAH SAHE MUSLIM RAHMAATULLAHI Ne "Kitab Alazzkar"Mein Hazrat Abdullah Ibne Abbas(Radi'Allahu Anhu)Se Rivayat Ke Hai;
Mere Pass Kisi Adami Ka Pao Sogaya-Mein Ne Kaha;
"Tu Us Shks Ko Yaad Kar Jo Tumhain Sub Se Ziyada Mehboob Hai"
Tu Us Shks Ne Kaha
"YA MUHAMMAD"
(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Us Ka Pao Acha Hogaya
{KITAB ALAZKAR
PG#135}
*NIDA YA RASOOL'ALLAH*
(SMS#4)
IMAM MUJTAHID FIQHE AAJAL "ABDUL REHMAN KOFI MASHOOD"Ke HAZRAT ABDULLAH BIN MASOOD(RADI'ALLAHU ANHU)Ke Potay Aur Taabha Tabain Mein Se Hai;
Sur Per Buland Topi Rakhte Jis Mein Likha Tha;
"MUHAMMAD YAA MANSOOR"
{Meezan Alatadal Musanif Abou Abdullah
Jd#2
Pg#574}
*NIDA YA RASOOL'ALLAH*
(SMS#5)
IMAM SHAIKH-UL-ISLAM SHAHAB RAMLI ANSARI Ke Fatwa Mein Hai;
Aam Log Jo Shaktiyan Ke Waqt Anbiya,Mursalin wo Sualaheen Se Fariyad Karte Hai Yarasool'Allah(Sallallaho Alaihi Waasalam,Yaali,Ya sheikh Abdul Qadir Jilani Aur In Ke Mishaal Kalmaat Kahte Hai Kiya Yea Jaiz Hai Aur Woh Bd Intaqal Bhe Madad Farmate Hai?
Jwb;
Beshk Anbiya,Mursalin,Auliya,Aur Ulma se Madad Mangna Jaiz Hai Bd Az Wisaal Bhe Aur Woh Madad Bhe Karte Hain.
{Mushariq-Ul-anwaar
Musanif
Hassan Abou Yaala Hamzwi
Pg#059}