Update
Loading...

New Design

Recent Post

Showing posts with label R. Show all posts
Showing posts with label R. Show all posts
Monday, 1 July 2013
~ROZE K MASAiL~

~ROZE K MASAiL~



-=ROZE Ki NiYÅT=-
->ROZAH K Liye Bhi Usi Tara NiYAT Shart He Jis Tara K NAMAZ ZAKAT Wagaira K Liye_ Lihaza !
Be NiYAT_E_ROZAH Agr Koi ISlami Bhai Ya Behen Subhe SadiQ K Bad Se Le Kar Ghorob_E_Aftab
Tak Bilkul Na Khae Piae Tab Bhi Us Ka ROZAH Na HoGa_
¤RADD_UL_MUHTAR
J#3 P#331 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #1
1:Bhol Kar Khaya Piya Ya Jima kia ROZAH Fasid Na Hua Khuwa Wo ROZAH Ho Farz Ya Nafal
¤DUR'RE MUKHTAR ¤RADD_UL_MUHTAR J#3 P#325
2:ROZAH Yad Hone K Bawojod Bhi Mak'khi Ya Ghubar Ya Dhowa Halq Me Chale Jane Se ROZAH Nahi
Tot'ta_Khowa Ghobar Aate Ka Ho Jo Chakki Pisne Ya Aata Channe Me Urta He Ya Ghalla Ka Ghobar Ho
Ya Hawa se Khak Uri Ya Janwaron K Khur Ya Tap Se
¤DUR'RE MUKHTAR ¤RADD_UL_MUHTAR
J#3 P#366 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #2
3:Bas Ya Kaar Ka Dhowa Ya UnSe Ghobr Ur Kr HalQ Me Pohcha Agr Cheh ROZAH Dar Hona Yad Tha
ROZAH Ni Jae Ga
4:Agar Bat'ti Sulag Rahi He Or UsKa Dhowa Nak Me Gaya To ROZAH Nai Tote Ga_Han Agr Loban Ya
Agr Bat'ti Sulag Rahi Ho Or ROZAH Yad Hone K Bawojod Mun Qarib Le Ja Kr UsKa Dhowa Nak Se
Khencha To ROZAH Fasid Ho Jae Ga
¤RADD_UL_MUHTAR J#3 P#366 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #3
5:ROZE Ki Halat Me TaiL Ya Surma Lagaya To ROZAH Nai Gaya Agr Cheh TaiL Ya Surma Ka Maza
HalQ Me Mehsus Hota Ho Bal'K Thok Me Surma Ka RanG Bhi Dikhai Deta Ho Jab Bhi ROZAH Ni
Tot'ta_ AL JAO HARA TUNIRA J1# P#179
6:Ghosul Kia Or Pani Ki Khushki /Thandak/ Andar Mehsus Hoi Jab B ROZAH Ni Tota ¤ALAMGERI J1
P#230 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #4
7:KUL'Li Ki Or Pani Bilkul Phenk Dia Srf Kch Tari Mun Me BaQi Reh Gai Thok K 7 Ese Nigal Lia
ROZAH Ni Tota_
8:DaWa Koti Or HalQ Me IsKa Maza Mehsus Hua ROZAH Nai Tota ¤RADD_UL_MUHTAR
J#3 P#367

9:Kaan Me Pani Chala Gaya Jab Bhi ROZAH Nahi Tota_ Bal'k Khud Pani Dala Jab Bhi Na Tota ¤DUR'RE
MUKHTAR
J#3 P#367 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #5
10:Mak'khi HalQ Me Chale Gai ROZAH Na Gaya Or Jan Bojh Kr Nigli To Chala Gaya
11:Bhole Se Khana Rahe The Yad Aate Hi LoQma Phenk Dia Ya Pani Pi Rahe The Yad Aate Hi Mun Ka
Pani Phenk Dia To ROZAH Na Gaya_ Agr Mun Me Ka LoQma Ya Pani Yad Aane K Bawojod Nigal Gae
To ROZAH Gaya_
12:Subhe SadiQ Se Pehle Khaya Ya Pi Rahe The Or /Sehri Ka WaQt Khatam Hote Hi/ Mun Me Ka Sab
Kch Ugal Dia To ROZAH Na Gaya Or Agr Nigal Lia To Jata Raha_
¤ALAMGERI J1 P#203 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #6
13:Danton Se Khun Nikal Kr HalQ Tak Pohcha Magar HalQ Se Niche Na Utra To ROZAH Na Gaya_
¤FATH_UL_QADIR
J#2 P#258
14:Til Ya Til K Barabar Koi Chiz Chabai Or Thok K 7 HalQ Se Utar Gai To ROZAH Na Gaya Magr Jab K
UsKa Maza HalQ Me Mehsus Hota Ho To ROZAH Jata Rha
¤FATH_UL_QADIR
J#2 P#259
15:Thok Ya Balgham Mun Me Aaya Phr Use Nigal Gae To ROZAH Na Gaya_
¤RADD_UL_MUHTAR
J#3 P#373 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #7
16:Tinke Se Kaan Khujaya Or Us Par Kaan Ka Mel Lag Gaya Phr Wohi Mel Laga Hua Tinka Kaan Me
Dala Agr Cheh Chand Bar Aesa Kia Ho Jab Bhi ROZAH Nai Tota_
17:Dant Ya Mun Me Mamoli C Chiz Reh Gai K Thok K 7 Khud Hi Utar Jae Gi Or Wo Utar Gai ROZAH
Nai Tota_
¤DUR'RE MUKHTAR
J#3 P#367 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #8
18:Khane, Pine Ya Ham BiStari Krne Se ROZAH Jata Rehta He Jab K ROZAH Dar Hona Yad Ho_
¤RADD_UL_MUHTAR
J#3 P#365
19:HoQ'Qa /Sigar/ Sigret/ Wagairah Pine Se Bhi ROZAH Jata Rehta He Agr Cheh Apne Khayal Me HalQ
Tak Dhowa Nai Pohonchta Ho_
¤BAHAR_E_SHARIAT H#5 P#117 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #9
20:Paan Ya Srf Tambako Khane Se Bhi ROZAH Jata Rahe Ga Agr Cheh Aap Bar Bar Is Ki Pik Thokte
Rahen_ Q K HalQ Me Us K Barik Ajza Zarur Pohonchte Hen
21:Shakar Wagaira A c Chizen Jo Mun Me Rakhne Se Ghol Jati Hen Mun Me Rakhi Or Thok Nigal Gae
ROZAH Jata Raha_
¤BAHAR_E_SHARiAT
H#5 P#117
22:Danton K Drmiyan Koi Chiz Chane K Barabar Ya Ziada Thi Use Kha Gae Ya Kam Hi Thi Magar Mun
Se Nikal Kr Phr Khali To ROZAH Tot Gaya_
¤DUR'RE MUKHTAR
J#3 P#394 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #10
23:Danton Se Khon Nikal Kr HalQ Se Niche Utra Or Khon Thok Se Ziada Ya Barabar Ya Kam Tha Magr
Is Ka Maza HalQ Me Mehsus Hua To ROZAH Jata Raha Or Agr Kam Tha Or Maza B HalQ Me Mehsus
Na Hua To ROZAH Na Gaya_
¤RADD_UL_MUHTAR
J#3 P#368
24:2Sre Ka Thok Nigal Lia Ya Apna Hi Thok Hat Me Lekr Nigal Lia To ROZAH Jata Raha_
¤ALAMGERI J1 P#203
25:Jab Tak Thok Ya Balgham Mun K Andar Mojod Ho Use Nigal Jane Se ROZAH Nai Jata Bar Bar
Thokte Rehna Zaruri Nahi_
ALAMGERI J1 P#203 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #11
26:KUL'Li Kr Rahe The Bila Qasad Pani HalQ Se Utar Gaya Ya Nak Me Pani Charhaya Or Dimagh Ko
Charh Gaya ROZAH Jata Raha Magr Jab k ROZAH Daar Hona Bhol Gaya Hoto Na Tote Ga Agr Cheh
Qasdan Ho_ Yon Hi ROZE Daar Ki Taraf KCi Ne Koi Chiz Phenki Wo Us K HalQ Me Chali Gai To
ROZAH Jata Raha_
27:Sote Me Pani Pi Lia Ya Kch Khaliya/ Ya Mun Khula Tha/ Pani Ka Qatra Ya Barish Ka AOla HalQ Me
Chala Gaya To ROZAH Jata Raha_
ALJAO HARA TU'NiRA
J#1 P#178 [*.S ¤ S ¤ G.*]

ROZE K MÅSÅiL~ #12
27:Aanso Mun Me Chala Gaya Or Aap Use Nikal Gae_ Agr Qatra 2 Qatra He To ROZAH Na Gaya Or
Ziada Tha K Us Ki Namkini Pure Mun Me Mehsus Hoi To Jata Raha_Pasine Ka Bhi Yahi Hukum He_
¤ALAMGERI J1 P#203 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #13
28:ROZAH Me Khud Bakhud Kitni Hi QE /Ulti/ Ho Jae Is Se ROZAH Nai Tot'ta_
29:Agar ROZAH Yad Hone K Bawojod Qasdan/Jan Bojh Kr/ Qe Ki Or Agr Wo Mun Bhar He To Ab
ROZAH Tot Jae Ga_
30: Qasdan Mun Bhar Hone Wali Qe Se Bhi Is Surat M ROZAH Tote Ga Jab K Qe Me Khana/Pani/ Ya
Safra/Karwa Pani/ Ya Khon Ae_
¤DUR'RE MUKHTAR
J#3 P#392 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #14
31:Agar Qe Me Srf Balgham Nikla ROZAH Nai Tote Ga_
32:Qasdan Qe Ki Magr Thori C Ai, Mun Bhar Na Ai To Ab Bhi ROZAH Na Tota_
33:Mun Bhar Se Kam Qe Hoi Or Mun Hi Se 2bara Lot Gai Ya Khud Hi Lota Di In 2No Surton Me ROZAH
Nai Tote Ga_
¤DUR'RE MUKHTAR
J#3 P#393 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #15
34:BeVi Ka Bosa Lena Or Gale Lagana Or Badan Ko Chona MAKROH Nahi_
¤RADD_UL_MUHTAR J#3 P#396
35:Gulab Ya Moshk Wagaira Songhana Darih Monch Me Tel Lagana Or Surma Lagana MAKROH Nahi
¤DUR'RE MUKHTAR
J#3 P#398
36:ROZE Ki Halat Me Har Qisam Ka Etar Songh Bhi Sakte Hen Or Kapron Par Laga Bhi Sakte Hen_
¤RADD_UL_MUHTAR J#3 P#398 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #16
35:ROZE Me MiSwak Karna MAKROH Nai Bal'k Jese Or Dino Me SUNNAT He Wese Hi ROZAH Me
Bhi SUNNAT He, MiSwak Khushk Ho Ya Tar, Agr Cheh Pani Se Tarki Ho Zawal Se Phele Karen Ya Bad,
KCi WaQt Bhi MAKROH Nahi_
36:AkSar Logon Me Mash'hor He K Dopher K Bad ROZAH Daar K Liye MiSwak Karna MAKROH He_
Ye Hamare Mazhab_e_Hanfia K Khilaf He_
¤RADD_UL_MUHTAR J#3 P#399 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #17
37:Agar MiSwak Chabane Se Reshe Choten Ya Maza Mehsus Ho To A c MiSwak ROZE Me Nai Karna
Chahiye_
¤FATAWA RAZAViA
J#10 P#511
38:Wozo GhoSul K Elawa Thandak Pohchane Ki Gharaz Se Kul'li Ya Nak Me Pani Charhana Ya
Thandak K Liye Nahana Bal'k Badan Par Bhiga Kapra Lapetna Bhi MAKROH Nai_ Han Agar Parishani

Zahir Krane K Liye Bhiga Kapra Lapetna MAKROH He K Ebadat Me Dil Tang Hona Achi Bat Nahi_
¤RADD_UL_MUHTAR J#3 P#399 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #18
38:K0i ChiZ Kharidi Or Us Ka Chakhna Zaruri He K Agr Na Chakha To NuQsan Hoga To A c Surat Me
Chakhne Me Haraj Nai Warna MAKROH He
¤DUR'RE MUKHTAR
J#3 P#395
39:Baz ISlami Bhai ROZAH Me Bar Bar Thokte Rehte Hen Shayad Wo Samjhte Hen K ROZE Me Thok
Nigalna Chahiye, Aesa Nai_ Al Bat'ta Mun Me Thok Ekhat'ta Kr K Nigal Jana, Ye To Bagair ROZAH K
Bhi Na Pasand'dida He Or ROZAH Me MAKROH_
¤BAHAR_E_SHARiAT
H#5 P#129 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MÅSÅiL~ #19
40:RAMZAN SHARiF K Dino Me Aesa Kam Karna Jaiz Nai Jis Se Aesa Zof /Kamzori/ Ajae K ROZAH
Torne Ka Zan'ne Ghalib Ho_ Lihaza Nanbai Ko Chahiye K Dopher Tak Roti Pakae Phr BaQi Din Me
Aaram Kare_ ¤DUR'RE MUKHTAR J#3 P#400 [*.S ¤ S ¤ G.*]

~ROZE K MASAiL~
#LaSt -MADANi PHOOL-
41:ROZE Ki Halat Me Nakhon Or Har Wo Baal Kaat Sakte Hen JiS Ka Shariat Ne Kaat Ne Ka Hukum Dia
He_
42:ROZE Ki Halat Me iNJECTiON LagWa Ne Par Olama_e_Kiram Ka iKhtilaf He Behtar Ye He K Aap
iNJECTiON Na LagWaen_
Me Umed Karta Hun K Aap Ne ROZE K MASAiL Se Bht Kch SiKha HOGa JaWab??

Rou'yat e Baari Ta'ala

Rou'yat e Baari Ta'ala



Rou'yat e Baari Ta'ala
@1

Royat e Bari Ta'ala k muta'liq Hadees Chand Ahadees paish e khidmat hain

1;
Bukhari may Hzrat Anas sy Marwi "Hatta k Huzur Sidratul Muntaha pr aaey aur Jabbar Rabbul Izzet Ap k Qareeb huwa. Phir aur Ziyada Qareeb huwa. Hatta k wo Ap sy 2 Kamanon ki Miqdar reh gaya Ya is sy B ziyada nazdeek"
2; Muslim may Hzrat Abuzar kehtay hain k may ny Huzur sy is (Raoyat e Bari) k muta'aliq sawal kia to Ap ny farmaya "wo Noor he Noor tha"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@2

3; Muslim me Ibn e Abbas ny Aayat ki Tafseer me;
"Aankh ny jo dekha Dil ny iski Takzeeb nhi ki. Aur Huzur ny Us (Rab) ko Dusri bar daikha"

4; Tirmizi may Akrama kehte hen;
"ibn e Abbas ny farmaya Huzur ny Apnay Rab ko Daikha hy. May ny kaha, kia Allah ny ye nhi farmaya, k Aankhen uska idrak nhi kr sakteen aur wo Aankhon ka idrak karta hy, to ibn e Abbas ny farmaya, tum pr Afsos hy, ye us weqt hy jb Apnay gair Mutanahi Noor k sath Tajalli farmaey, Bey shak Sayedna Muhmmad ny 2 martaba apnay Rab ko daikha hy"

5; Tirmizi may Ibn e Abbas ne kaha;
"Huzur ny Apnay Rab ko daikha hy"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@3

6; Tibri ny apni Asaneed k sath,
Hafiz Hesmi ny ibne Habban ki sanad sy,
Hakim ny Mustadrak may  Bukhari k shart k mutabiq sahi riwayat naqal ki k Ibne Abbas;
"kia Tum ko is pr Ta'ajub hy k Ibrahim k liye Khalil hona, Moosa k liye Kalam aur Sayedna Muhammad k liye Deedar ho"

7; Imam Ahmed ny Musnad may sahee sanad k sath, Hesmi ny Majmual Zawaid maz zikar kia k Ibn e Abbas ne kaha k Huzur ny farmaya "Me ny apnay Rab ko Dekha"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@4

8; Tibrani ny Aosat, Nisai, Hatim, Hesmi ny naqal kia k Ibne Abbas;
"Allah ny Moosa k liye Kalam, Ibrahim k liye Khalil hone aur Huzur k liye Dekhnay ki khususiyat rakhi"

9; Imam Ishaq sy riwayet k
"ibne Umer ny Ibne Abbas k pas 1 shakhs ko bhaija aur ye poocha k kia Huzur ny Apnay Rab ko daikha hy? Hazrat ibne Abbas ny farmaya HAN"

10; Ibn e Ata ny ALAM NASHRAH ki tafseer me;
"Allah ny Roiyet k liye Huzur ka seena khol dya"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@5

11; Imam abdur Razzaq sy marwi k Hasan Basri Qasam kha k farmatay k Beshak Huzur ny apne Rab ko dekha

11; Tirmizi me hy k hzrat Ka'ab ki ibne Abbas sy mulaqat hui.Unho ny kaha hm Banu Hashim ye kehtay hen k Huzur ny Apnay Rab ko 2 Martaba dekha, ye sun kr Ka'ab ny Buland Awaz sy Allahu Akbar kaha hatta k Pahar goonj uthey

12; ibne ishaq sy marwi k Marwan ny Abu Huraira sy pucha k kya Huzur ny apnay Rab ko daikha?
Farmaya Haan

Rou'yat e Baari Ta'ala
@6

13; Roohul Mua'ani me
Imam Ahmed farmaty hen;
huzur ny apnay Rab ko apni Aankhon sy dekha.
Ap ye kalimat itni bar duhratey k Apka sans munqatey ho jata

14; Sharik ny NAJAM ki TafsIr me Abu Zar sy ye naqal kya k Huzur ny Apnay Rab ko dekha

15; Malik bin Yakhamir ny Hazrat Muaaz sy;
Huzur ny Apnay Rab ko daikha hy

16; Abul Hasan Ash'ari aur un k ashab ki jamat ny kaha k Huzur ny Allah ko apni Basar aur Sir ki Aankhon sy Dekha

Rou'yat e Baari Ta'ala
@7

Dusra
Hzrat Ayesha ki Riwayet Bayan Krke Royate Bari ka inkar kya jata hy
Ye Durust hy k Hzrat Aisha sy 2 riwayaten milti hen,
1st may farmaya k Meraj may Huzur ka Jisam Ghaib na hua,
2nd me ye k Ap ny Qur'an sy istidlal kr k farmaya k Huzur ny Rab ko nhi daikha

Jawab;
1; Hzrat Ayesha k inkar sy is mas'ale pr koi faraq nhi parega Q K Unho ny ye nhi kaha k me ny Huzur sy suna k me ny apne Rab ko nhi dekha.
Ye inka zati Qoul he

Rou'yat e Baari Ta'ala
@8

2; Jab sahee riwayat k sath ibne Abbas w deegar sahaba sy sabit k Mearaj may Huzur ny Allah ko dekha to in riwayat ko qabul karna Wajib hy.

3; jab 1 sahabi farman e Rasul sy koi mas'ala bayan karay aur dusra sahabi apnay Qoal sy iski mukhalifat kary to Qoal Hujjat nhi hota

4; Allam Muamar;
"jb masbat or manfi riwayat may ta'aruz ho to Masbat ko manfi pr tarjeeh D jati hy
aur wese B hazrat Aysha, Ibne Abbas sy zyada Aalim nhi"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@9

5; rou'yet e bari ka waqia in masail sy nhi jinko aqal sy mustanbit ya zan sy bayan kya jaye
Ye sirf isi surat pr mahmul hy k kisi ny Huzur sy suna ho.
Jin sahba ne asbat kya unho ne zann sy nhi bulke Huzur sy sun kr bayan kia.
Jb k inkar k lye kahin koi Qoul e Rasul mazkur nhi

Rou'yat e Baari Ta'ala
@10

6; Hzrat Ayesha ka istidlal Qur'an k is mazmun sy hy
"Aankhen iska idrak nhi kr saktin"
idrak sy murad ihata hy
Allah ka ihata nhi kia ja skta. Qur'an me ihatey ki nafi ki gayi to is sy bagair ihatay k rouyat ki nafi lazim nhe aati.

Ibne hajar asqalani;
"yahan jis roiyet ki nafi ki gaee hy wo roiyet ala wajhul ihata hy.
Agar Deedar mutlaqan mumkin nhi to kia Hazrat Moosa is bat sy Aagah na they k wo bar bar iltija karte the?"

Rou'yat e Baari Ta'ala
@11

7; Allama Qurtubi;
"AL ABSAR jama muarraf bil laam hy. Aur ye takhsis ko Qabul krti hy. Is liye yahan ma'ana ye hon gay k
Kuffar ki Aankhen Allah ko nhi deakh sakteen"

8; Qur'an ki roo sy is pr sb ka ittifaq hy k aakhirat may rab ki rou'yat jaiz.
Qazi Ayaz aur Qurtubi farmatey hen k aqlan dunya may B rou'yet jaiz. Q k jb Aakhirat me rou'yet jaiz hy to dunya may B jaiz he hy.
Q k donu weqton may ba hesiyet imkan koi faraq nhi.

Rou'yat e Baari Ta'ala
@12

9; Agar che Aqlan Dunya me rou'yat jaiz magar shar'an mumtaney,
magar Huzur k liye rou'yet k subut ki ye daleel hy k mutakallim apne kalam k umum me dakhil nhi hota.
Ya ye Qaida Aam makhsus anhul Baz hy

10; Huzur ki meraj Hijrat sy Qabl
jbke Hazrt Ayesha us waqt kamsin Bachi thin,
in ki Shadi Hijrat k bad 9 sal ki umar me hui.
Phr inka ye farmana k Huzur ka Jisam Meraj ki raat gaaib nhi dekha,
Q kar mutasawwir ho sakta hy?

Rou'yat e Baari Ta'ala
@13

12; Hzrat Ayesha wali riwayat itni zaeef k muhaddiseen is Qoul ki nisbat inki taraf karne ko hi mashkuk samajhtey hen.
Agar tafseel deakhna chahen to
Behrul Muheet me
ibnul Hayan k Bayan ko mulahiza farma len.
Ishaq ny ise majhul aur sanad k aetbar sy nihayat kamzor bayan kya

Rou'yat e Baari Ta'ala
@14

13; Baheeqi ny muttasal sanad k sath hzrat Ayesha ka jo bayan naqal kia hy is ki kia tojeeh hogi k
"mearaj ki subah Huzur logon ko raat ki sirguzisht suna rahey they. K is pr muta'addid loag jo Eaman la chukey they murtad ho gaey. Phir Abu jehal ka Taoz w Abubakar ka tasdeeq karna wagaira.

14; sb sy qabal to ye bataye k Hzrat Ayesha ki Riwayat ko tarjeeh dekar Ap ka meraj pr mutlaqan inkar lazim nhi aaye ga? Soch kr Jawab den

Rou'yat e Baari Ta'ala
@15

15- Agar Ap k baqol ye khuab ka waqea hy to Jawaban Allama Qurtabi Jameul Ehkam may farmatay hain
ALLAH paak
"Bi Rooh e Abdihee" farmata
"Bi Abdihee" na farmata
Neez Surae Najm
Ayet 17 may Lafz e BASARA k sath yoon mazkur hay
"Nazar 1 taraf maail huwi na Had sy Barhi"
Aur khuab may dekhnay ko BASAR nahi kehtay.
Neez agar ye Khuab ka Waqia hota to is may ALLAH ki koi Nishani aur Mojiza na hota

16- ASRA k ma'ana he
"kisi shakhs ko Bedari me Raat ko lay jana"
Agar khuab hota to ASRA na kaha jata, aur na he koi iski Takzeeb krta

Rou'yat e Baari Ta'ala
@16

17- Ibn e Khuzaima ny Sande Qawi k sath Riwayet kia k
"Anas farmatay hen,
Huzur ny apni Aankhon sy apne Rab ko dekha"

18- Khalal ny Kitabus Sunna may Maruzi sy Riwayet kya
"May ny Imam Ahmed bin Hanbal sy kaha k Hzrat Aaisha k is inkar
(k Huzur ny Allah ko deakha) ka Ap kis Daleel sy Rad karen ge?
Farmaya
Huzur k is irshad sy k
(may ny Allah ko apni Aankhon sy Deakha)
Aur Nabi ka Farman Hzrat Ayesha k Qoul sy Akber w Rajeh hy

Rou'yat e Baari Ta'ala
@17

19- Hzrat Aysha ki riwayat me
"Ma Faqadat aur Ma Fuqida"
Aur Muhaddiseen k Nazdeek ye Riwayet bila shuba gair sabit aur mabni bar khata hy. Donu Riwayat az roo e Darayet w Riwayet Sahee nahi. Is liye is sy Muariza karna Batil hy. Aur agar Bar Taqdeer Tasleem is Hadees k ye Ma'ana liye jayen k Hazrat Aaisha MEARAJ ki sur'at aur is k Qaleel tareen weqt me honay ko bayan farma rahi hen k Huzur ka aana jana is tezi k sath waqe huwa k jisam Gum na hua to ye Ma'ana deegar riwayaat k mutabiq ho kar sahee Qarar paen ge.

Rou'yat e Baari Ta'ala
@18

20- Almukhtasar bayan krda Aetraz Kotah beeni w Kam fehmi hy
Mearaj ki Tafseelat Hazarha kutub e Hadees may Bikhri pari hen
Kam o Baish 34 Sahaba (Tafseer Ibne Kaseer may sb Naam mojud)
ny isay Riwayet kia hy Hazaron Sahaba ny Huzur ki Zubani Sama'at farmaya Siha e Sitta may kaee kaee maqam par mojud aur Tibrani aur Baheeqi ny Tafseel sy bayan kia hy
Zurqani, Fathul Bari aur Aeni may is par Mufassal Abwab mojud,
Tamam mustanad Tafaseer me tafseel k sath bayan hy
Poori Wahabi Zurriyet ko chelange hy agar kisi ko apnay Ilm o Muta'laey par Naz hy to is par MUNAZRA kar ley

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤



¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#1

Tabayi Buzurg
Abu Qilabah RadiyALLAHu Anhu Frmatey Hen:
"RÅJÅB K Rozydaro
K Lye Jannat
Me 1 Azeem-ush-Shan
Mehal Hy"
LATAIF-UL-MUA'WIF>228

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#2

AaQA ÅlaihisSaltuWassälåm Ka
Farman-e-Ghaib-e-Nishan
Hey
"Beshak 1 Na'har Hey
Jis Ka Nam RAJAB Hey
Is Ka Paani
Doodh Se Zydah Safeed
Shehad Se Zyada Meetha Hey
Jo Maah-e-RAJAB Me
1 Rozah Rakhey
ALLAH Ta'ala Usey Us
Nehar Se Seraab Frmæga"
SHUAUB-UL-IMAN>3/H3800

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#3

AaQA ÅlaihSaltoWsälåm
Ne Farmaya:
"5 Raatein Aisi Hen JisMe Dua Radd Nhi Hoti.
1) Rajab Ki Pehli Raat
2) 15 Sha'baan
3) Jumerat Aur Jummah
Ki Darmiyani Raat
4) Eid-ul-Fitar Ki Raat
5) Eid-ul-Azha Ki Raat"
JAMA-US-SAGER>H3952

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#4

AaQA ÅlaihSälåm Ne Farmaya:
"RAJAB K Phely Din
Ka Rozah 3Saal K
Gunaho Ka
Kaf'farah Hey,
0r Dusrey Din Ka
Rozah 2 Saal Ka,
0r Teesry Din Ka 1 Saal Ka,
Phir Har Din
Ka Rozah 1 Maah Ka"
JAMA-US-SAGEER>H5051

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#5

ALLAH Ta'ala
Ne Guzishtah Ummato
Par Har Maah Me Aazab
Dya
Magar Maah-e-RAJAB
Me Kisi Qoum Ko Azaab
Na Dya
GHUN'YA TUT'TaALIBEN>229

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#6

1-Salaat-ur ragaib,
2-Rajab Ke Makhsoos Rozey,
3-Rajab Ki 27ween Raat Ki Ibaadat Aur Agley Din Ka Roza,
4-Rajab Ka Paani,
5-Rajab Key Kondey,

Refrences:
=Tibraani
=Shoi'bul Imaan
=Jamiul Sagheer
=Gunyatu Talibeen
=Maa Sabat Bi Sunnah
=Bahar e Shariat
=Taarikh e Damishq
=Ibn e Asakar

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#7

Sarkar Alahissalatuwassalaam Ne Farmaya;
Mere Baad Koi Aisa Amal Jaari Kare Jo Deen Ki Asal Se Mutazad Na Ho Qayamat Tak Us Pe Amal Karne Walon Ka Bi Sawab Paye Ga
(MUSLIM)

Shariat Ka Usool He Ke
Fazail Wali Ahadis Agar Chey Zaeef Hon
A'amaal Par Foqiat Di Jasakti He.

¤RÅJÅB K¡ BåHAR¤
#8

Jo Koi 15 Rajab
10 Baar Surah FATiHA
Darmyan Me Bina Baat Kye Parhey
To Goya Us Ne Zameen Ke Barabar Sona Khiraat Kya"

ANIS-UL WAYiZEEN

Rafe'a Yadain

Rafe'a Yadain



TOPIC "Rafe'a Yadain"


Rafe'a Yadain# 1

Ehnaf, Ehl e Sunnat K nazdeek Rafe'a Yadain Sirf Takbeer e Tehrima K weqt Mashru'a aur Sunnat e Mustamirra hay Is k ilawa Darmiyan Namaz may kaheen B Masnun nahi Ham tasleem kartay hain k Doran e Namaz Rafe'a Yadain karna aur Na karna Donu Ahadees say sabit hay, aur donu tarah ki Hadeeson per hamara Eeman hay Magar in may farq sirf Oqat ka hay Ahadees may Akabir Ashab e kiram nay ye Wazahat farma D k ibtida e Islam may Rafe'a yadain hota tha phir Mansukh aur Matruk ho gaya lihaza ab Doran e Namaz Rafe'a yadain khilaf e Sunnat aur Makruh hoga.
   
R.Y# 2

Apnay Dawey (Takrar e Rafe'a Yadain ki Mumaniat) ki Daleel k tor pr hm chand Ahadees paish kartay hain Phir Mukhalifeen k Dalail ka Nasakh, Suqum, iztirab Neez Hamaray Dalail ki Tarjeeh ki Wujuhat Arz karen gy Pehlay unko 1 Challenge hy k wo HUZUR alaeh salam ka Aakhir weqt tak Doran e Namaz Rafe'a Yadain Sabit karnay k liye sirf aur sirf koi aik he Sahee, Sareeh, Marfu aur Gair Majruh Qoali Hadees paish kar dain Hm apnay Dawe'a sy Ruju kr lain gy
   
R.Y# 3

Hadees# 1 Hazrat Alqama kehtay hain K 1 dafa ham say Abdullah bin Mas'ood nay farmaya K may tumharay samnay Huzur Alaeh salam ki Namaz na parhun Pas Ap nay Namaz parhi. Is may Siwaey Takbeer e Tehrima k kabhi bhi Hath na uthaey (Tirmizi kitab us Salat J#2 P#40) Imam Tirmizi farmatay hain ye Hadees HASAN hy. Is Rafe'a Yadain na karnay per buhat sy Ulma e Sahaba W Tabaeen ka Amal hy Imam Tirmizi ny to is unwan sy poora Bab bandha hy Ibn e Masood jo Faqeeh Aalim hain unhon ny jamat e sahaba (k jinhon ny Huzur ki Namaz ko mulahiza kia tha) may isay bayan kia magar kisi Sahabi ny aitiraz na farmaya.
   
R.Y# 4

Hadees# 2 Yahi Hadees (Sunan e Nisaai isay SAHEE may shumar kia hy J#2 P#182 H # 3 Yahi Hadees (Musannaf Ibn e Abi Shaiba J#1 P#213) H # 4 Yahi Hadees (Musnad e Ahmed J#1 P#388) H # 5 Yahi Hadees (Tibrani Kabir J#9 P#261) H # 6 Yahi Hadees (Tahawi J#1 P#224) H # 7 Yahi Hadees (sunanul kubra lin Nisaai J#1 P#221) H # 8 Yahi Hadees (Sunanul Kubra Baheeqi J#2 P#78) H # 9 Yahi Hadees (Abu Daood J#1 P#109) H # 10 Yahi Hadees (Kanzul Ummal J#4 P#203)
   
R.Y# 5

Hadees # 11 Yahi Hadees (Aasarus Sunan P#205) Neez in Ahadees ko imam Ahmed bin Hanbel, Darqutni, ibn e Hazam Zahiri (Muhallaa ibn e Haz), ibn e Qattan, ibn e Adi (Al kaokab u Durri), ibn e Daqeeq ul Eed aur Ibn e Teemya ny B SAHEE qarar diya. Yahan tak k Mojuda Doar ka Namwer Gairmuqallid Nasirud Din Albani kehta hy "Sachi bat ye hy k ye Hadees bilkul Sahee aur is riwayet ki asnad b Imam Muslim ki Shirt pr SAHEE hain (Mishkat ul Bani J#1 P#254)
   
R.Y #6

H # 12 Hzrat Baraa bin Aazib farmate hain k Janab Rasul e Karim jab Namaz shuru farmatay to Rafe'a Yadain farmatay Phir Ap poori Namaz may kaheen B Rafe'a Yadain nhi farmatay (Abu Daood 2 Asnad J#1 P#109) H # 13 Yahi Hadees (Tahawi 3 Asnad J#1 P#224) H # 15 Yahi Hadees (Musannaf Abdul Razzaq J#2 P#71) H # 16 Yahi Hadees (Musnade Abi Ya'ala 2 Asnad J#3 P#248) H # 17 Yahi Hadees (Kanzul Ammal J#4 P#202) H # 18 Yahi Hadees (Dar Qutni 4 Asnad J#1 P#293) H # 19 Yahi Hadees (Musnade Ahmed J#4 P#274) H # 20 Yahi Hadees (Al Madunatul Kubra J#1 P#69) H # 21 Yahi Hadees (Musannaf Ibne Abi Shaiba J#1 P#236)
   
R.Y# 7

Hadees# 22 Ibn e Masood Farmatey hain, Janab e Rasulullah sirf pehli Takbeer per he Rafe'a Yadain farmatey, phir dubara Ap kaheen B Rafe'a Yadain nhi farmatey (Tahawi J#1 P#224) H # 23 Yahi Hadees (Jameul Masaneed J#1 P#355) H # 24 Yahi Hadees (Musnade Imame Aazem 2 Asnad P#40) H # 25 Hazrat Sufyan isee Asnad say farmatey hain k Ibn e Masood nay pehli bar he Hath uthaey (Abu Daood J#1 P#200) Imam Tirmizi farmatey hain k bey shumar ulma e Ehl e Koofa ka yahi farman o Amal hy Tareekh sy ye sabit k Faruq e Aazem ny Koofa may 1 Aabadi basaee. 4000 tak Sahaba 1 weqt may wahan mojud hotey. Ehl e Koofa sy Maola Ali, Ibne Masood, ye Tamam Sahaba aur Tabaeen murad hain Aur in he ki ittiba may Tark e Rafea yadain ko Rajeh, Nasikh aur Masnun Qarar dia gaya

no image

Radd e Maatam



Radd e Maatam
@01

Aaj Kal Ahl e Beat Ki Muhabbat Ke Da'wey Daar Be Ilm Musalmano Ko Maatam Par Uksaatey Hen
Aur Tarah Tarah Ke Fazail Suna Kar Maatam Ko Ahl e Beat Ki Muhabbat Ki Daleel Kehte Hen.

Aaiyye!
Is Mas'aley Ko Tafseel Sey Samajhye
Pehle Iska Mafhum,
Phir Shia Kutub Sey Bi Dalail Mulahiza Hon

Radd e Maatam
@02

#Meaning#

Mash'hur Aarbic Dictionary
<Lisaan ul Arab>
Me Maatam Ke Ma'ana;

Soggh Karna
Gham Karna
Rona Aur Peetna
(..Harf e Meem V#12 P#4)

Radd e Maatam
@03

Shariyat Ne Kisi Ke Intiqaal Ke Waqt
Sogh Karney,
Us Par Gham Karney,
Be Ikhtiyaar Aansoo Bahaney
(Isey Sharyi Maatam Kehte Hen)
In Kaamo Ko Jaaiz Rakha,

Bulkey Is Kaam Par ALLAH Ajar Bhi Ataa Farmata Hey
Aur Ye Kaam Nabi Paak Alaihissalatuwassalaam Aur Aimma e Ahl e Beat Sey Saabit Hey,

Iske Bar'aks Muriwwaja Maatam
(Jaza o Faza,
Peetna,
Zanjeer Zani,
Seena Kobi etc)
Ye Sab Na Nabi Paak Alaihissalam Sey Na Ahl e Beat Sey Saabit Hen.

Radd e Maatam
@04

Jab Hazrat Ibrahim RadiyALLAHu Anhu
(Nabi Paak Ke Sahibzaadey)
Ka Intiqal Hua To
Huzoor Alaihissalatuwassalaam Roye Yahan Tak Ke Aapki Darhi Mubarak Ansuwon Sey Tarr Ho Gayi.

Arz Ki Gayi;
Ya RasoolALLAH!
Ap To Rone Sey Mana Farmate Hen Aur Khud Ro Rahey Hen?

Farmaya;
"Ye Aah o Bakaa Nahi Bulkey Rehmat He
Aur Jo Kisi Par Reham Na Karey
Us Par Reham Nahi Kya Jaata"
(Shia Book
AMAALI Lie-Toosi
V#1 P#298
Al'Juz-e-Salis Ashara)

Malum Hua Ke Peetna etc Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Na Kya
Aur Aapse Jo Suwal Hua
Us Sey Ye Bhi Malum Hua Ke Aap Ne In Kaamo Sey Mana Farmaya Hey.

Radd e Maatam
@05

Imam Jaffer Sadiq;
"Jab Hazrat Ibrahim Ne Dunya Sey Rehlat Farmayi To Nabi Paak Ki Aankhon Sey Aansoo Behne Lagey,

Farmaya;
"Aankhen Pur Namm Hen Aur Dil GhamNaak He Aur Me Nahi Kehta Koi Cheez Jo ALLAH Ke Ghazab Ka Baais Ho"

Phir Apne Betey Sey Mukhatib Hue;
"Hum Teri Wafaat Par Ghamgeen Hen"

Shia Books;

1) Muntahiyul Aamaal
V#1 P#127
Dar Bayane Ahwaal e Aqriba Hazrat Rasool

2) Man, Laa Yahdaruh ul Faqeeh
V#1 P#113
Baab Fi-Taziyat Wal Jaza'a Indal Musibah}

Jab Huzur Ne Apne Lakht e Jigar Ke Wisal Par Murawwija Maatam Na Kya To Ishq e Hussain Ke Jhoote Da'wey Daar Kyu Karte Hen?

Radd e Maatam
@06

Imam Jaffer Sadiq;
"Jis Par Musibat Aaye To Wo RASOOL e KHUDA Sallallaho alaihiwasallam Ki Musibaton Ko Yaad Karey
Kyun Ke Wo Sab Sey Bari Musibat Thi
(Jo Nabi Paak Par Aayin)

(Shia Book;
Firou e Kaafi V#3 P#220
Kitab ul Janaiz
Baab e Taziyat)

Yahan Sabar Ka Hukm He Par IMAM Jaffer Ki Nisbat Se Khud Ko Jafferi
Aur Fiqah e Jafferiya Ke Nifaaz Ki Baat Karne Waley Muharram Me Peet'te Hen..!!

Kyun
Kya Ye Sikhaya
Imam Jaffer Saadiq Ney?

Radd e Maatam
@07

Moutabar Sanad Ke Saath
Jaabir Ansari Ne Riwayat Kya Ke RASOOL E PAAK Ney Apne Marz e Wisaal Me BiBi Fatima Sey Frmaya;
"Aye Fatima!, Sun Lo!!
Pegambar Ki Khaatir Girebaan Nahi Phaarne Chahyen,
Munh Na Nochna Chahye, Wawela Nahi Karna Chahye, Lekin
Agar Kuch Karna Ya Kehna Ho To Wohi Jo Tumhare WAALID Ney Apne Bety IBRAHIM Ki Wafaat Par Kaha,
Ke Aye Betey!
Aankhen Roti Hen Aur Dil Dukhi Hey
Lekin Koi Aisi Baat Na Kahun Ga Jis Sey ALLAH Naraz Hota Ho.
Aye IBRAHIM!
Hum Teri Khatir Sadma Utha Rahey Hen.
Agar IBRAHIM Zinda Rehta To Nabi Hota"

(Shia Book;
Jilaa ul Uyoon V#1 P#91 Sharah e Wiqai Ke Nazdeek Irtihaal e Aan'Hazrat Rukh Daad "Farsi")

Ye Maatam Ke Na Jaaiz Honey Par Waazeh Daleel Hey,
Is Me Gour Karen To Buhat Kuch Milega

Radd e Maatam
@08

Imam Jaffer Sadiq;
"Rasool e Paak Alahissalatuwassalam Ne Farmaya; Musibat Ke Waqt Musalman Ka Apne Hath Raano Par Marna Uske Ajar o Sawab Ko Zaaya Karta Hey"
(Firou e Kaafi V#3 P#224
Kitab ul Janaiz
Baab u Sabari Wal Jaza'a ila Akhirihi)

Ab Sochen Noor (Nabi) Ki Maanen,
Ya Kaalon Ki?

Radd e Maatam
@09

Nabi Paak AlaihisalatuwasSalam Ne BiBi Fatima Sey Farmaya;
Beti..! Jab Me Intiqaal Kar Jaun To Meri Wafaat Par Apna Munh Na Peetna,
Apne Baal Na Kholna
Aur Shour Na Karna
Aur Na Hi Mujh Par Nouha Karna
(Shia Book
Firou e Kaafi V#5 P#527
Kitab ul Nikaah
Baab Safatu Mubaiyat u Nabi)

Radd e Maatam
@10

Imam Jaffer Sadiq;
"Be Shak Sabar Aur Musibat Donu Momin Ki Taraf Aatey Hen.
Jab Koi Musibat Momin Par Aati Hey Wo Us Waqt Intehayi Sabar Karne Wala Hota Hey, Aur Jaza o Bala Aagey Peechy Kaafir Ke Paas Aati Hen
Jab Uskey Paas Musibat Aati He To Wo Intehayi Rone Peetny Wala Hota Hey.
(Shia Book;
Firou e Kaafi V#3 P#223
Kitab ul Janaiz Babu-Sabar Wal'Jaza Wal'Istirjaa)

Khud Ko Mo'min Kehne Waley Blackies Is Par Amal Chorr Detey Hen

Radd e Maatam
@11

Imam Baaqir;
"Jis Aadmi Ko Koi Musibat Aaye Phir Wo
INNA LILLAHI WA INNAA ILAIHI RAAJIOON
Kehta Hey Aur Us Musibat Par Sabar Karta Hey
To ALLAH Uskey Sab Gunaah Muaf Kar Deta Hey
Aur Banda Jab Kisi Guzri Musibat Ko Yaad Kar Ke Yun Kahey To ALLAH Uskey Wo Tamam Gunaah Muaf Kar Deta Hey Jo Usne Musibat Ke Aaney Ke Waqt Sey Ye Dua Parhne Tak Kye Honge.
(Shia Book;
Firou e Kaafi V#3 P#224
Kitab ul Janaiz Babu-Sabar Wal'Jaza Wal'Istirjaa)

Radd e Maatam
@12

Imam Ali Ausat
(Zain ul Aabideen);
Sabar Ka Maqaam Imaan Me Aisa Hey Jesa Ke Sar Ka Aadmi Ke Jism Mey.
Wo Be Imaan Hey Jis Me Sabar Ki Sifaat Nahi
(Shia Book;
Jami ul Akhbaar V#1 P#132 Al'Fasl ul Haadi Was-Sabuoon Fi-Sabar)

Radd e Maatam
@13

Moula Ali;
Sabar Ka Nuzool Musibat Ki Miqdaar Par Hey
(Ya'ni Jitni Bari Musibat Aye Utna Hi Bara Sabar Chahye Hota Hey)
Jis Ne Musibat Ke Waqt Apni Raano Par Hath Marey,
Uske Tamam Ache A'maal Zaya Hogaye
(Shia Book;
Nahjul Balaga P#495
Baab ul Mukhtar
Min Hukmi Ameeril Mo'minin O#144)

Radd e Maatam
@14

Moula Ali Ne
Jaffer Abi Talib
Ki Shahadat Pr
Bibi Fatima Sey Kaha;
"Kisi Ki Mout Par,
Kisi Ke Douran e Jang Shaheed Hone Par Gham Karte Hue Wawela o Maatam Na Karna"
(Man-Laa Yahzaruh ul Faqeeh
Fil Ezai Wal Jaza'a
Indal Musibah Taziyat wal Jaza P#56)

Jo Me Ne Kaha, Wo Such He.
(P#116)

Radd e Maatam
@15

Moula Ali
Nabi Pak Ko Ghusal Dete Waqt;
"Mery Maa Baap Ap Par Fidaa! Apki Wafaat Sey
Nubuwwat,
Wahi,
Aasman Ki Khabren
Munqata Huin.
Jo Ke Apke Gair Ki Wafaat Sey Na Huin,
Ap Musibat Puhchane Par Makhsus Hue Yahan Tak Ke Apne Gair Ki Musibat Sey Hume Mut'main Kya
(Apke Wisal Sey Jo Musibat Hum Par Pari,
Apke Gair Sey Nahi)
Agar Aap Sabar Ka Hukum Na Detey, To Hum Ansuwon Ko Inteha Tak Puhncha Detey.
(Nahjul Balag P#355
Khutba#225)

Radd e Maatam
@16

Imam Hussain;
Aye Sakina Tu Buhat Jald Merey Paas Aa
Taa Key Me Tujhe Is Tarah Widaa Karun Jesey Marne Wala Widaa Kya Jata Hey.
Me Tujhe Wasiyyat Karta Hun Is Farzand e Sagheer Ke Baarey Me Aur Iske
Eyaal o Yatimo Aur Hamsayo Ke Baab Me
Ke Sab Key Sath Naik Sulook Karna Aur Jab Me Qatal Ho Jaun
To Tum Apni Chaadar Aur Gireban Mat Phaarna
Aur Naala o Faryad Kar Key Na Rona.
Balke Aye Sakina Hukm e ILAHI Par Sabar Karna
Kyun Ke Hum Sahibaan e Sabar o Ahle Ehsaan Hen
Muje Apne Baap,Daada Aur Bhai Ki IQTIDAA Karni Chahye.
(Zibah e Azeem P#288
Janab Hussain Ki Tanhayi
Aur Bekasi Key Halaat)

Radd e Maatam
@17

Imam Hussain Jab Madina Paak Sey Koofa Jaane Ke Lye Makkah Ki Taraf Rawana Hue, Us Waqt
Bani-Hashim Ki Aurton Ki
Be-Qarari,Aah o Figaan Suni To Farmaya;
"Me Tumhe Khuda ki Qasam Deta Hun,
Sabar Ko Ikhtiyar Karo Aur
Jaza'a (Murawajja Matam) o Betaabi Se Hath Uthalo
(Jilaaul Uyoon P#515)

Radd e Maatam
@18

"Hadis Paak Me He
Ke Ginaa IBLEES Ka Nouha Hey,
Maatam Isne Behshat Ki Judai Me Kya,

Nabi Ne Farmaya;
>Maatam Karne Wala Qayamat Me Kuttey Ki Tarah Aaye Ga

>Maatam o Marsiya Khuani Zinaa Ka Mantar Hey
(Shia Book;
Majmaul Ma'aarif Bar Haashiya Hilyatul Muttaqeen P#126
Hurmat e Ginaa)

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved