Niyaz Ki Haqeeqat
Niyaz Ki Haqeeqat # 01
Har AHL E AQIDAT
RAJAB, MUHARRAM Me
Ya Deegar Ayyaam Me Niyaz Wagera
Karte Hen
Aur Usey IMAM JAFFER ya IMAM HUSSAIN radiyALLAHu anhuma
Ki Niyaz Ka Naam Dete Hen
Jo Esaal e Sawab K Lye Hota He Aur Ye Jaaiz He
Cont...
Niyaz Ki Haqeeqat # 02
Ye ESAAL E SAWAB Ki Ek Shaakh He Jo Ke Jaaiz Aur Mubaah Hi Nahi Balke Mustahab Amar He
Jis Ka Inkaar Mahaz
JIHAALAT o ENAAD He
Kyun Ke ESAAL E SAWAB
QURAN o SUNNAT Aur AEMMA e KIRAAM Ke AQWAL
Se Na Sirf Saabit He Balke Mashaik e Karaam Ka Is Par Amal Bhi Raha He
Cont...
Niyaz Ki Haqeeqat # 03
Q.Kya Esaale Sawab Jaaiz He?
A.Hazrat Saad Ne Arz Ki SARKAR Meri Maa Ka Inteqal Hogaya
To Konsa Sadqa Afzal He?
Farmaya PAANI Ka!
Unho Ne KuNWA[Well] Khdwaya Or Kaha Ye Saad Ki Maa Ka He
(Abu Daud J1 P#236)
(Musnad e Ahmed J5 P#275)
Behiqee Snan Kubra J4 P#185
Cont...
Niyaz Ki Haqeeqat # 04
Q.Kya Hamara Esaal e Sawab Puhanchta He?
A.
ALLAH Jannat Me Kisi Bandey Ke Darjaat Buland Karega To Wo Arz Karega,
Aye ALLAH Ye Darja Kese Buland Hua?
ALLAH Farmaye Ga Ke Tere Betey Na Tery Lye Istigfar Kya
(Adab ul Mufrid P#30)
(Ibn e Maja 268)
(Tibrani Osat J5 P#349)
Cont...
Niyaz Ki Haqeeqat # 05
Q.Kin Ulama Ne Niyaz Ko Jaaiz Likha?
1.Sadru Sharia Molana Amjad Ali
2.Muhaddis e Azam Pakistan Molana Sardar Ahmed
3.Hakeem ul Ummat Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi
(Kondey Ki Fazeelat)
4.Molana Abdul Mustafa Aazmi(Jannati Zewar P#389)
5.Mufti Khalil Khan Qadri
W Deegar
Cont...
Niyaz Ki Haqeeqat # 06
Q.Kya Niyaz FARZ He?
A.
Niyaz Karna FARZ ya WAJIB To Nhe Lekin MUSTAHAB Amal Zarur He
Karne Wala Sawaab Paaye Ga Lekin Na Karne Par Gunaah Nhe
Magar Jo Isey Haraam Kehte Hen Wo Ek Naik Amal Se Roktey Hen
Unhe Chahye Ke Apna QIBLA Durust Karlen, ALLAH Hidayat Dey
Cont...
Niyaz Ki Haqeeqat # 07
Q.Maah e Muharram Me RAAFZI (Shia) Bhi Niyaz Kartey Hen,
To Is Surat May Niyaz Karna Kesa..?
A.
Shari'at Ka Usool He Ke
K Kisi Achey Amal Ko Bad Mazhab Apna Len To Is Waja Se Usey Tark Nhe Kya Jaaye Ga Balke Koi Aisa Imtyaz Karna Hoga Jis Se Faraq Zaahir Ho
Jesey 10 Muharram Ka Roza Yahodi Rakhtey To Sarkar Ne 9 ya 11 Ke Roze Ki Talqin Bi Farmayi
Cont..
Niyaz Ki Haqeeqat # 08
Q.Kya NIYAZ Ki Mumaniat He?
A.Quran o Hadis Me Kahin Niyaz Ki Mumaniat Nhe
Balke Quran Me Irshad:
"To Khao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Name Lya Gaya,
Agar Tum Uski Aayaten Maantey Ho"
(Al-In'am V#118)
Yaani Jis Pr ALLAH Ka Name Zikar Kya,
Jese NIYAZ Par FATIHA Dete Waqt Quran Parha
Niyaz Ki Haqeeqat # 09
HALAAL Cheezen Na Khaney Walo Ko Tambeeh!!
'Aur Tumhe Kya Hua He K Is Me Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Name Lya Gaya
Halaan Ke Wo Tum Par Tafseel Se BAYAN Kar Chuka He Jo Is Ne Tum Par HARAAM Farmaya'
(Al-In'aam V#119)
Aur Niyaz Par Jo FATIHA Dete Hen Wo Qur'an Se Hi He
Cont...
Niyaz Ki Haqeeqat # 10
Q.Halaal Khane Ko Haram Kehna Kesa?
A.
Aur ALLAH Ne Unhe Jo Rozi Di, Wo Usey Haraam Thehratey Hen ALLAH Pr Jhoot Bandhte Hue, BeShak Wo GUMRAH Hue
(Al-An'aam V#140)
Agar FATIHA Di Aur Khana Haraam Hua To
Phir To Har Khaana Haraam Hua Ke BISMILLAH To
Parhi Hi Jaati He
Eesaal e Sawab Aur Niyaz Ke Topic Par Me Sarkar Alaihsalatu Wassalam Ke Karam Se Me Ne Aapko
10 SMS Bhej Dye, Aap Chahen To Sirf Bad Aqeeda Ko Jawab Dene Ke
Elawa Isey Apne Dusrey Members Ko Bhi SMS Fwd Karsaktey Hen, Jo Aage Fwd Krte Hon,
Me Ne SMS Aapki Aasani K Lye Series Wise Banaye Hen,