*Yazeed*
*Yazeed*
(sms1)
Hafiz Ibne Hajjar Makki Likhte Hain:"Yazeed Beta Mawiya Bin Abi Sufiyan Bin Haarab Bin Ummaiyah Bin Abd Shams Hai.Kuniyat Us Ke Abou Khalid Hai.Hazrat E Usman Ke Khilafat Ke Zamane Mein Paida Howa Tha"
(Radi'Allahu Anhum)
*Yazeed*
(sms2)
"Yea Baat Bilkul Baatil Hai Ke Yazeed Ke Wiladat Uhad E Nabwi Mein Howi"
{Tehzeeb AlTehzeeb Laa Bin Hajjar Al Asqalani11/36}
*Yazeed*
(sms3)
Lehaza Qisa Gho Hazrat Jo Bayan Karte Hain Ke Ameer Mawaiya Apne Kandhe Per Yazeed Ko Uthaiye Huzoor Ke Bargha Mein Hazir Howe Tu Huzoor Ne Farmaiya"Jannati Per Jahanumi Suwar Hai.Yea Bilkul Mangharth Qissa Hai"
{Ulma E Ahle Sunnat Ke Nazar Mein Yazeed:pg10}
*Yazeed*
(sms4)
Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain:
"Rasool Allah Ne Farmaiya:"Meri Ummat Ka Mamla Adal O Insaf Per Qaim Hoga.Yeahan Tk Ke Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani Ummaiyah Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed Hoga"
{Majma Alzawaid:5/241,Tareekh Ul Khulafa Arabi Syouti:142}
(sållållåho ålåihi wåålihi wåsållåm)
*Yazeed*
(sms5)
Abou Darda Se Riwayat Hai:
"Mere Tareeqe Ko Bdalne Wala Sub Se Phele Shks Bani Ummaiyah Mein Se Hai Aur Naam Yazeed Hoga"
{Tareek Ul Khulafa Lil Syouti:143}
(sållållåho ålåihi wåsållåm)
*Yazeed*
(sms6)
Hazrat Abou Huraira Farmate Hain:
"60 Hijri Se Allah Ke Pannah Mango Aur Bacho Ke Hukmrani Ke"
{Albadaiyah O Alnahiyah:8/31}
*Yazeed*
(sms7)
Hazrat abou Saeed Khudri Farmate Hain:
"Woh Larke 60 Hijri Ke Bd Hun Ge,Jo Namazain Zaiya Karain Ge,Aur Shewat Ke Pariwi Karain Ge,Tu Woh Ankareeb Gayi(Jahanum Ke Sakt Wadi)Mein Dalain Jain Ge"
{Al Bidaya Wann Nihaya:8/230}
(Radi'Allahu Anhu)
*Yazeed*
(sms8)
"Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun Mein Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein Hoga.Woh He Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin Maawiya 60 Mein Khalifa Bana Aur 64 Tak Baqi Raha Phir Mar Gaya"
{Fatha Ul Bari:13/8}
*Yazeed*
(sms9)
Allama Badruddin Aaini Apni Shara Mein Likhte Hain:
"Aur In Larkoun Mein Se Sub Se Phele Yazeed Hai,
Woh Aksar Aahwal Mein Buzurgoun Ko Bare Bare Sharoun Mein Se Hatha Kar Unki Jaga Apne Aziz O Akarib Mein No'umar Larkoun Ko Muqarar Karta Tha"
{Umdat Ul Qari Sharah Sahe Bukhari:
pg180 Hassiya Bukhari}
*Yazeed*
(sms10)
Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain;
"Aqa Ne Is Haal Mein Wafat Paai Ke App Teen Qabiloun Ko Na Pasand Farmate The:
@QabilaSaqeef@
bani Hanifa@
Bani Ummaiya
"Shah Muhadis Hadees Ke Sarah Mein Likhte Hain;
"Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj Bin Yousuf Howa Jisne Ne Kamobesh 124000 Muslamoun Ko Qatal KIya,
Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne Nabowat Ka Jhota Dawwa Kiya,
Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne Ziyad Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL Ko Qatal Kiya
*Yazeed*
(sms11)
Hazrat Saad Bin Abi Waqas Farmare Hain:
"Jo Shks Ahle Madina Ke Sath Burai Ka Irada Kare Ga Allah Taala Is Ko Us Tarah Pigali Ga Jis Tarah Namak Pani Mein Gulta Jata Hai"
{Muslim:1/440}
(Radi'Allahu Anhu)
*Yazeed*
(sms12)
Qoul E Abou Barzha:
"Jub Imam Ka Sar Mubarak Yazeed Ke Samne Rakha Tu Us Ne Apni Churi Se Imam Ke Laboun Per Marta Hai,Teri Churi Imam Ke Us Maqam Per Maar Raha Hai Jis Jaga Aqa Un Ko Chooma Karte The,Aaye Yazeed Baroz e Qayamet Jub Tu Khuda Wandi Mein Hazir Hoga Tera Haami Sirf Ibne Ziyad He Hoga,Aur Jub Imam Ayeein Ge Un Ke Haami Aqa Hun Ge"
{Seerat Halbiya:1/3}
(sållållåho ålåihiwåsållåm)
(Radi'Allahu Anhu)
*Yazeed*
(sms13)
Jub Ibne Ziyad Ne Imam Ko Aur Un Ke Rufuka Ko Qatal Kardiya Aur Un Ke Saar Mubarak Ko Yazeed Ke Pass Bheja Tu Yazeed Imam Ke Qatal Se Awwalan Kush Howa,Uske Wajah Se Ibne Ziyad Ke Qadar O Manzeelat Us Ke Nazdeek Ziyada Hoge,Mager Woh Us Kishi Per Ziyada Deer Tk Qaim Na Raha Hatha Ke Phir Nadam Howa"
{Albadaya Wann Nihaya:8/232}
(Radi'Allahu Anhu)
*Yazeed*
(sms14)
Aqeeda Shaab E Sharah Aqaid Farmate Hain:
"Aur Haq Yea Hai Ke Yazeed Ka Hazrat Hussain Ke Qatal Per Raazi Aur Kush Hona Aur Ahle Bait Ke Ahanat Karna"
{Sharah Aqaid E Nasfi:pg102}
(Radi'Allahu Anhu)
*Yazeed*
(sms15)
Allama Ibne Kaseer Farmate Hain:
"Beshak Yazeed Ne Ibne Ziyad Per Is Ke Fail Ke Wajah Se Laanat Tu Ke Aur Us Ko Bura Bhalla Bhe Kaha,Us Wajah Se Aindha Jub Haqeeqat Zahir Hogai,Baat Khule Ge Tu Phir Kiya Hoga.Lekin Na Tu Us Ibne Ziyad Ko Mazool Aur Na Bd Mein Us Ko Kuch Kaha,Aur Na He Us Ke Is Sharam Nak Aib Ke Alamat Ke"
{Albadaiyah Wann Nahaiyaha:8/203}
*Yazeed*
(sms16)
Yazeed Ke Mout Ke Bd Ibne Ziyad Shaam Ko Rawana Howa,Suwari Per Kisi Ghari Soch Per Tha,Rafiq E Saffar Ne Kaha:"App Ko Nend Nahe Arahe Hai?
Ibne Ziyad Ne Kaha:"Kuch Soch Raha Hun?"
Rafiq:"Yea Ke Ager Meine Imam Ko Qatal Na Kiya Hota?
Ziyad:"Jahan Tk Imam Hussain Ko Qatal Karne Ka Taluq Hai,Yazeed Ne Mujhe Hukum Diya Tha Warna Woh Mujhe Qatal Kardeta"
{Ibne Aseer:4/55}
*Yazeed*
(sms17)
Yazeed Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine Per Charhai Karne Aur Makkah Mein Abdullah Bin Zubair Ka Mahasra Karne Ka Paigam Bheja Tu Us Ne Kaha Ke:"Khuda Ke Qasam!!Mein Is Fasiq(Yazeed)Ke Liye Ibne Rasool Ko Qatal(Jo Phele Karchuka Hun)Aur Kabbe Mein Larai Dono Ko Apne Liye Jamma Nahe Karoun Ga"
Tu Us Ne Mazrat Kardi.
{Ibne Aseer:4/45}
*Yazeed*
(sms18)
>Qustutuniya Ke Jung<
"Meri Umat Ka Phela Laskr Ko Qaiser Ke Sher Mein Jung Kare Ga Un Ke Liye Magfirat Hai"
{Bukhari:1/401}
Suwal:Kiya Yazeed Jannati Hai??
continue.....
*Yazeed*
(sms19)
Mahfoom:
Allama Ibne Aseer Likhte Hain:
"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50 Hijri Mein,Us Ke Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf Ko Banaiya Aur Yazeed Ko Bhe Ghazwah Mein Shmail Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha Tu Wahan Aise Mouliq Bemari Hogaye,Yea Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne Kush Hokar Kuch Aashar Parhe"
(Radi'Allahu Anhum)
Continued...
*Yazeed*
(sms20)
Aas'har Yea The:
"Mujhe Parwah Nahe Ke In Lashkaroun Per Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aaparain,Jub Ke Mein Deer Meran Mein Ounchi Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Ho Umaiye Kulsoom Ko Apne Pass Liye Betha Hun"
Yea Aashar Ameer E Mawiyah Tak Phounchi Tu Unho Ne Qasam Kahai Ke Yea Taqleef Is Ko Bhe Hone Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed Ke Biwi The.
{Ibne Aseer:3/189}
*Yazeed*
(sms21)
Allama Badruddin Aini Apni Sharha Mein Youn Likhte Hain:
"Hazrat Mawiya Ne Ek Laskar Jis Ke Ameer,Sufiyan Bin Aouf,Ibne Abbas,Ibne Omar,Ibne Zubair Aur Ayub Ansari The Aur Yea Lashkar Shar Ko Fatha Karte Howe Wahan Shaheed Hogaye,Yazeed Ke Sarparasti Mein Itne Jalil Ul Qadar Shahbi Un Ke Matahat Kaise Hote,Aur Yazeed Ameer Ka Ahal Na Tha"
{Umdatul Qari Shahrah Sahi Bukhari:6/649}
(Radi'Allahu Anhum)
*Yazeed*
(sms22)
@Phela Lashkar Jo Jihad Ke Liye Nikla Us Ke Ameer O Qaid Sufiyan Bin Aouf The.
@Is Se Malooum Howa Ke Yazeed Phele Lashkar Mein Na Tha Bulkey Dosre Lashkar Mein Tha.
@Jannati Phele Lashkar Tha Na Ke Dosra
@Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi Shoq Na Tha Balkey Ameer Mawiya Ke Hukum Per Jihad Kiya.
@Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha Woh Tu Shair,Ayashi,Aur Umeey Kulsom Ke Sath tha.
*Yazeed*
(sms23)Yazeed k bete Mawiya Ne Kaha k Mere Bap Yazeed Ne Jub Hukumat Sanbhali Tu Woh Is Ka Ahl Hi Na Tha. Us Ne Rasool ke Nawase Se naza' ki. Aakhir Uski umr Ght Gaee Or Nasal Khatam Ho Gaee.... Hamain Malum hai k Usne Rasool ki Qurabat Daron Ko Qatl Kia Or sharab Ko Halaal Kia Or Baitullah Ko Weeran.
{As Sawaiq ul muhriqa by Imam ibn e hajar makki Page:134}
(sållållåho ålåihi wåålihi wåsållåm)
*Yazeed*
(sms24)
Molvi Gulam Murshid(Devbund) sabiq Kateeb Shahi Masjid Lahore:
"Jo Ilzamat Ameer Ul Momineen Yazeed Pr Lagaye Jatey Hai Woh Galat Aur Bebunyad Hai Kyoun Ke Rasool Ke Sohbat Ba Barkat Mein Beth Kar Taaleem Hasil Karne Wla Shahbi E Ikram Ne Yazeed Ke Bee'at Karke Apna Imam Tasleem Karliya Lehaza Yazeed Ke Sadaqat Ka Is Se Ziyada Sabot Aur Kiya Hosakta Hai"
{Kitab Rasheed Ibne Rashed
Pg;342}
*Yazeed*
(last Sms)
Darse Aqaid:
Alhumdulillah Ahle Sunnah Ka Aqeeda Hai Ke Yazeed Fasiq,Fajir,Sharabi Ahle Bait Ka Qatil Hai Aur Dua Karte Hain Jo Yazeed Se Mohabat Kare Woh Kul Baroz Qayamet Us He Ke Sath Uthe Aur Jo Hussaini Hain Woh Hazrat e Imam E Hussain Ke Sath.
>*Ameen*<