Qur'an-o-Hadees Aur Kalaam-e-Attar :
01>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
AlQur'an:
Aur zarur Ham tumhen aazmayengy kuch
Dar aur Bhook se
Aur
Kuch Maalon aur Jaano aur Phalon ki kami se.
(Baqarah-155)
&
Bapa frmaty hen:
"Masa'ib me kabhi Harf-e-Shikayat lab pe mat lana,
Wo kr k mubtala Bandon ko apny Aazmata hy."
(Wasail-e-Bakhshish p76)
02>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar:
Jab Huzoor
(AlaihiSsalam) Kisi taraf tawajjo Farmaaty tou poory Muttawajjeh hoty,
Mubarak Nazrein neechi rahti theen,
Nazar sharif aasmaan k bajaye ziyada tar Zameen ki taraf hoti thi,
Aksar Aankh Mubarak k kanaary se dekha karty thy.
(Ash
Shumaa'il
Lit Tirmizi, Pg:23
Hadees No:07)
Kalaam-e-Attar:
"AAQA Ki Haya se jhuki rahti nazar aksar,
Aankhon pe mery bhai laga
Qufl-e-Madina."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p66)
Plz Fwd
03>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar:
Huzoor
(AlaihiSsalam)
Ne Farmaaya:
Jo Meri Qabar Mubarak Ki Ziyarat Kary
Usy Meri Shafa'at Naseeb Hogi.
(Dar-e-Qutni,
Hadees#2669)
Kalaam-e-Attar:
Unko haasil Mery AAQA ki shafaa'at hogi,
Jo koi Haazir-e-Darbaar-e-Madina Hongy."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p116)
Aur
Farmaaty hain:
"Hogi shafaa'at Uski Jis ne Madiny aa kar,
Khuwaah ik Nazar bhi dekha Meethy Nabi ka Roza."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p169)
DeKhain
MÄDÑI CHÄÑÑeL
04>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
Hadees:
Madina Munawwara ki
Khaak-e-Paak Juzaam k liye Mojib-e-Shifa hy.
( Jami-us-Sagheer # 5753)
Hzrt
Allama Qustulani AlaihiRahma Farmaty hen:
Madina Munawwara ki ek khusoosiyat ye bhi hy k Uski Mubarak Khaak Korh aur Safaid Daag ki bimariyon
balky har bimari se Shifa hy.
(Al
Mawaahib, v3
p431)
Kalaam-e-Attar :
"Mareezo! Utha kr k
Khaak-e-Madina,
Ko le jao! Is me yaqeenan Shifa hy."
(Wasaail-e-Bakhshish p197)
&
"Khaak-e-Taiba me rakhi hy RAB ne shifa,
Sari bimariyon ki hy is me dawa,
Iski barkat se har ik maraz door hy
Mery Meethy Madiny ki kiya baat hy."
(p211)
05>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
AAQA
(AlaihiSsalam)
Namaz Se Pehly Tar Khajooron Se Roza Iftaar Farmaaty,
Tar Khajooren Na Hoteen Tou Chand Khushk Khajooron Se
Aur
Agar Ye Bhi Na Hoteen To Chand Chulloo Pani Peety.
(Tirmizi,
Hadees#696)
Kalaam-e-Attar :
"Kabhi Jo Ki Moti Roti
Tou Kabhi Khajoor Pani
Tera Aisa Saada Khana
Madani Madiny Waaly."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p161)
Apni
ZAKAAT,FITRA,SADQAAT
OR
DEGAR At'yaat
DAWAT-E-ISLAMI
ko dijye.
Plz Fwd
06>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
Nabi
(AlaihiSsalam) Ummat ki Bakhshish-o-Maghfirat
Aur
Ham par Rahmat
k liye Roya karty thy.
(See:
Shumaa'il-e-
Tirmizi, Pg#27)
Kalaam-e-Attar :
"Aah! Tum roya kiye Ummat k Gham me Yaa Nabi,
Hosla Ham aasiyon ka yoon bharaaya Shukriya."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p171)
08>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
Nabi
(AlaihiSsalam)
Ne Irshaad Farmaaya:
"Mujhy Zameen k khazaano ki Chaabiyan ataa ki gayi hain."
(Bukhari,
Vol:1, Page:259)
Kalaam-e-Attar :
"Do Jahaan k Khazaany,
Diye haath me KHUDA Ne,
Tera Kaam hy Lutaana,
Madani Madiny Waaly."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p162)
09>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
Huzoor
(AlaihiSsalam)
Ne Farmaaya:
"ALLAH Deny
Waala (Muu'ti) Hy
Aur
Me Qaasim
(yani Baantny Waala) Hoon."
(Bukhari, H#69)
Kalaam-e-Attar :
"Ba'Ataa-e-Rabb-e-Haakim
Tu hy Rizq ka bhi Qaasim,
Hy Tera sab Aab-o-Daana
Madani Madiny Waaly."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p160)
10>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
Hazrat
Usman-e-Ghani
(RadiyALLAHu Anhu) ka Laqab
"Zun Noorain"
(Yani 2 Noor Waly) hy.
Kiyon k
Huzoor
(AlaihiSsalam)
Ne Apni 2 Shahzadiyan yaky baad deegary
(Yani Ek k
Baad Doosri)
Hazrat Usman
(RadiyALLAHu Anhu) k Nikah me di theen.
(Dekhiye:
Karaamaat-e-
Usman-e-Ghani,
P#4)
Kalaam-e-Attar :
Nabi k Noor Do lekar Wo
Zun Noorain kahlaaye,
Inhein hasil hui yoon
Qurbat-e-Mehboob-e-Rahmaani.
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p279)
11>
Qur'an-o-Hadees
Aur
Kalaam-e-Attar :
Hazrat
Abu Talha ne
(Ghazwa-e-
Khandaq me)
Nabi
(AlaihiSsalam) ko Dekha k
Nabi
(AlaihiSsalam)
ne Bhook ki waja sy Apny Pet Mubarak par Pathar bandha hua tha.
( Tabrani aosat,
Vol:02, Page:310)
Kalaam-e-Attar :
"AAP bhooky rahein aur Pet pe pathar baandhen,
Naimaton k Dein hamein khuwaan Madiny Waaly."
(Wasaa'il-e-Bakhshish, p173)
Apni
ZAKAAT, FITRA,
SADQAAT
OR
DIGAR AT'YAT
DAWAT.E.ISLAMI ko dijye.
Plz Fwd