Meraj e Jismani
Meraj e Jismani
@01
Jo Shakhs ALLAH Ki
Zaat o Sifaat,
Ilm, Qudrat, Azmat, Hikmat
Par Kaamil Imaan Rakhta Hy,
Huzur Ki
Nubuwwat o Risalat,
Sadaaqat, Kamaalaat
Ki Dil Sy Tasdeeq Karta Hy
Wo
Mearaj Ya Is Qisam Ke
Kharq e Aadaat Umoor Py Imaan Rakhta Hy
Kyunke
Qur'an o Hadees Me Iska Wazeh Bayan Bi Mojud Hy
Ehd e Risalat Sy Lekar Har Dour Ke Jamhoor Musalman
Isey Bila Taweel Tasleem Karty Chaley Aaye
MOJAZA Kehty Hi Usey Hen
Jiska Wuqu Aadatan Mahal Ho
Meraj e Jismani
@02
Yaad Rahe!
Kisi Bhi Cheez Ki Rou'yat Ke Lye Jo Shartain Zaruri Hen,
Inka Zaruri Hona
Aadatan Hy, Aqlan Nahi.
Yani Aadat Is Tarah Jari Hy Ke Jehat Ke Bagair Kisi Cheez Ka Dekhna Mutahaqqiq Nahi Hota Lekin
ALLAH Paak Is Baat Par Qaadir Hy
Ke Kharq e Aadat Ke Toar Par In Sharait Ke Bagair
Bhi Rou'yat Ko Waqey Karey.
Chon Ke Mearaj Ki Raat Huzoor Ko ALLAH Ki Rou'yat
Kharq e Aadet Hi Ke Tariqey Par Hui,
Lihaza Koi Aetraaz Warid Na Hua.
Meraj e Jismani
@03
Qur'an Me Mearj Ki Nisbet
ALLAH Ney Apni Zaat Ki Taraf Farmayi
Aur ALLAH Ki Qudrat o Tasarruf
Ke Karishma Par Shakk w Shuba Na Hona Chahye
Her Muhal e Aadi
Mumkin Biz Zaat Hota Hy
Aur Mumkin Biz Zaat Hadis Teht e Qudrat Hey
Lihaza Deedar Karwana
ALLAH Ki Qudrat Ke Tehat Saabit Hey
Meraj e Jismani
@04
(Surae Qiyama Aayat #22-23)
Qayamat Ke Din Iman Walon Ke Chehrey Apney Rab Ko Dekh Ke Tar o Taaza Hongy
Agar ALLAH Ki Rou'yat Mahaal Ho To Qayamat Ke Din
Momin Kesey Dekhen Gy?
Hazrat Moosa Bi
Rou'yat e Baari Ka Aetiqad Rakhtay,
Aapka Suwal
"Rabbi Arini Unzur Ilaik"
Is Baat Ki Dalil Hey
Neez Rabb Ka Jawab
"Lan Tarani"
Bi Isi Nazarye Ki Pukhtagi Py Muhar Lagata Hy
Ke Me Dekha To Ja Sakta Hun, Tu Dekhnay Ki Taaqat Nahi Rakhta
Meraj e Jismani
@05
Tibrani Ausat Ki Hadees;
Jiski Asnad Py
Imam Qustalani Ny Mawahibul Ladunya
Mey Farmaya Ke
Tamam Rawi
"Sahee" Ke Raawi Hen
"Ibn e Abbas Farmatey Hen
Ke Beshak Huzoor Ney
2 Martaba
Apny Rabb Ko Dekha
1 Martaba
Sir e Aqdas Ki Aankhon Sey,
1 Martaba
Apny Qalb Mubarak
Ki Aankhon Sey"