Islam Aur Eid
Islam Aur Eid
@01
Ibne Abbas Se Marvi;
Sarkar Alaihissalatu Wassalam Ne Ek Aayat Tilawat Farmayi
To Paas Bethy Ek Yahoodi Ne Kaha;
"Agar Ye Aayat Hum Par Naazil Hoti To Hum UsKe Nazil Hone Waly Din Ko Eid Bana Lety"
Aap Ne Jawaban Jo Farmaya
Uska Mafhum;
"Hamare Haan Ye Aayat Nazil Hui To Us Din Hamare 2 Eidoun Ka Ijmaa Tha,
Ek Jummah Ka Din
Aur Dusra Arafah Ka Din"
(Tirmizi -Tafseer e Maaida)
"Aur ALLAH Ka Tum Par Bara Fazal Hy"
(Al-Nisaa :113 Para#5)
Islam Aur Eid
@02
Imam Qastlani;
"Allah Har Us Shakhs Ko Salaamat Rakhey
Jis Ne Meelad Ke Mahiney Ki Raatoun Ko Eid Ki Tarah Manaya"
(Mahawibul Ladunya 1/148)
Islam Aur Eid
@03
#Aaqa Ki Aamad Par Khushi#
"Tum Farmao,
ALLAH Hi Ke Fazal Aur UsKi Rehmat, Isi Per Chahye Ke Khushi Karen"
(Younus :58 Para#11)
Dusri Jaga:
"Aur Hum Ne Tumhen Na Bheja, Mager Rehmat Saary Jahan Ke Lye"
(Anbiya :107 Para#17)
To Aaqa Ke Tashrif Lany
Par Khushi Ka Izhar
Sabit Hogaya
Islam Aur Eid
@04
"Dino Men Sab Se Afzal Jummah Ka Din Hy,
Isi Din Hazrat Adam Ko Paida Kya Gaya Aur Isi Din InKa Wisal Hua"
(Abu Dawood, Nisai,
Ibne Maja)
Islam Aur Eid
@05
"Jumme Ka Din Tamam Dino Ka Sardar Hy,
ALLAH Ke Yahan Ye Din
Youm e Azha o
Youm e Fitar
Donu Se Afzal o Azeem Hy"
(Mishkat - Baab ul Jummah)
Islam Aur Eid
@06
ALLAH Ke Nazdeek
Jumma Eidoun Sey Bhi
Afzal Hy
Ke Is Din Meelad e Adam Hy,
To Kya Wo Din Afzal Na Hoga
Jis Din Aaqa e Aadam Ki Wiladat Hui ?
Islam Aur Eid
@07
Q. {12} RabiuNoor Ko EID Ka Din Kehna Kesa?
A.Hazrat Essa Alaihissalam;
Aye RABB!
Hum Par Asman Se Ek Khuwan Naazil Kar K Wo Hmare Lye EID Ho, Hmare Aglo Or Pichlo Ki
(Al-Maaida #114)
Agar KHuWAN Jo Nemat Or EID Ho
To MERE NABI Jo
Jaan E Rehmat Hen
Unki Aamad Ka Din EID Kyun Na Ho
Islam Aur Eid
@08
Eid Ke Ma'na
Lout Kar Aany Wali Khushi Ke Hen
Aur Har Khushi Ke Lye
Khutba Aur Namaz Nahi,
Agar Khushi Ke Lye
Istilah e Eid Iste'maal Karny Sy Khutba o Namaz Ka Hona Lazim Hota
To Kayi Ahadees Sey Saabit Hy Ke Mo'min Ke Lye Wo Din Bhi
Eid Hy Jis Din Wo Gunaah Na Kary. (Wagera)