Imtehaan
Imtehaan
@01
1> Jis Taarikh Ko Paper Ho Us Me Saari Raat Jagney Se Bachye,
Is Surat Mey Subah Parcha Detey Waqt Thakan Ka Ehsaas Galib Rahega
2> Imtehan Ke Lye Jane Se Qabal GUSAL Ya WUZU Kar Ke Jaayen
3> Janay Se Pehle Halka NAASHTA Zarur Kar Len
4> Pehly Din IMTEHANI MARKAZ Par Jaldi Puhnchen
Imtehaan
@02
5> Paper START Honey Se Kuch Dair Pehley Zehan Ko Aaraam Dena Aur Parhna Tark Kar Den
6> Paper Ke Doraan Kuch Bhool Jaayen To Durud Paak Parhen Ke
Mafhum e Hadees He;
"Jub Tum Kisi Cheez Ko Bhool Jao To Mujh Par DUROOD Parho Insha ALLAH Wo Tumhey Yaad Ajaye Gi"
(Alqoul ul Badee' P#217)
Imtehaan
@03
Paper Ke Lye Jaate Waqt
SURA E ANFAAL Ki Ayat#62
7 MARTABA Parhne Se Insha ALLAH Paper Acha Hoga
Paper Wali Copy Ke Pehle Page Par Sab Se Uper Pehle Shahadat Ki Ungli Se Ye Dua Likh Dijye
"RABBI ANNI MAGHLOOBUN FANTASIR"
(Sura e Qamar Ayat#10)
ALLAH
Tamaam Sunni Tulaba Ko
Kaamyaab Farmaye
Imtehaan
#04
Apni Ink-Pot Par
Sura e Qalam
Damm Kar Den
Aur Wo Ink Pen Me Use Kijye
Paper Ke Start Me
Shahaadat Ki Ungli Sey
Copy Par
ALIF LAAM MEEM Likh Den
Imtehaan
#05
Exam Wale Din
Fajar Ki Namaz Ke Baad
Sura e Baqarah Ki A#31-32
Ko 7 Martaba Parh Len
Aur Awwal Aakhir Durood Paak Parh Len,
ALLAH Kaamyaabi Dega