Update
Loading...
Wednesday, 26 June 2013

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala



Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
1@

Allah Pak ki Zaat wo hy jo Tamam
Sifat e Kamaliya o Jamaliya
ki Majmua Hy
Tamam Husn, Tamam Raanaiyan o Zebaiyanuski Zaat may Jama hain.
Wo Kamal he KamalOr Husn he Husn hy.

"AHL E SUNNAT KA WAZEY AQEEDA"
Her wo Cheez jis may Nuqs o Aib ho uska Allah Pak ki Zaat k liye
Tasawwur bhi
Muhal (Jo Mojud na ho sakey) hy.
Or Muhaal
Teht e Qudrat e Bari Ta'ala nhi.

Chun k Jhut Aib hy is liye
Ye Allah Pak ki Zaat k liye Muhaal hy.

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
2@

Aqeeda e Ahlesunnat
ki Wazahat k lye
yun Samajhye
k Doosra Khuda Muhal hy
yani nhi ho sakta.

Agar Dusra Khuda hona
Zear e Qudrat ho to
iska Matlab ye Huwa k
Dusra Khuda Mojud ho sakey ga,
To phir wo Muhal na raha
or isko Muhal na Man'na Wehdaniyat ka Inkar hy.
Isee Tarah Fana e Bari Ta'ala Muhal hy,

Agar Fana hona
Teht e Qudrat ho to
iska Matlab ye huwa k
uska Fana hona Mumkin huwa,
Or jiski Fana Mumkin ho wo Khuda nhi ho sakta.

To Sabit hua k Muhal pr Qudrat Man'na Allah Pak ki Uloohiyet se he inkar karna hy
pas Allah ko Jhut pr Qadir Man'na,
Muhal ko Mumkin thehrana hy

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
3@

is Hawale se
"Wahabiyon Ka Ghanda Aqeeda"
jo inki kaee Kutub
Maslan
>Burahin e Qatiya
>Fatawa Rashidya
>Yakrozi Az Ismail Dehlwi
>Fatawa Sulfiya
>Shahabus Saqib
>Saif e Yamaani
>Tanqeed e Matin
Etc may hy k
"Allah Pak Jhut Bol Sakta hy,
Uska Jhut Bolna Muhal o Namumkin nhi"

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
4@

Is Hawaley se
Aqeeda e Ehl e Sunnat k
Mukhtsar
"DALAAIL QUR'AAN PAK SE"

1>"Or Allah se Ziyada kis ki Baat Sachi"
Sura e Nisa Ayet #11

2>"Or Allah se Ziyada kis ka Qaol Sacha"
Sura e Nisa Ayet#18

3>"Is se Barh kr kon Zalim jo Allah pr Jhut Baandhey ya Uski Aayaten Jhutlaey Beshak Zalim Falaah na Paen gy"
Sura e In'am Ayet#21

4>"Ye Hen Jinhon ne Apney Rab ko Jhutlaya. Arey Zalimon pr Allah ki La'anat"
Sura e Yunus Ayet#17

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
5@

5>"Hergiz Allah Apna Ehad Khilaf na Karega"
Sura e Baqara Ayet 80

6>"Daikho Kaisa Allah pr Jhut Baandh Rahey hain Or ye Kafi hy Sareeh Gunah"
Sura e Hood Ayet#18

7>"Wo jo Allah Pr Jhoot Baandhtey hain inka Bhla Na hoga"
Sura e Yunus Ayet#69

8>"Tumko Kharabi ho, Allah pr Jhut na Bandho k wo Tumko Azab se Halak kr day. Or Beshak wo Namurad Raha jis ne jhut Baandha"
Sura e Taha Ayet#61

9>"Is se Barh kr Zalim Kon jo Allah pr Jhoot Bandhey Or Haq ko Jhutlaey"
Sura e Zumar Ayet#32

10>"Jhuton pr Allah ki La'nat ho"
Surae Aale Imran Ayet#61

*Aisi Beshumar Aayeten Or B Hain*

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
6@

"DALAAIL TAFASIR SE"

1>"Allah se Sacha Koi nhi Or Iska Jhut Bolna Mumkin Nhi"
Tafsir e Khazin J#1 P#421

2>"Allah se Sacha koi nhi, is liye k Jhut Ba sabab apni Burai k Allah Pak pr Na mumkin o Muhal hy"
Tafsir e Madarik J#1

3>"Jhut Allah ki Khaber may Kisi Tarah Raah nhi pa Sakta Q K Wo Nuqs he Or Allah pr Muhal hy"
Tafsir e Baedawi P#150

4>"Jhut Allah Pak He pr Muhal o Na mumkin hy na k is k Ghair pr"
Tafsir e Abu Saud

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
7@

5> "Kisi Musalman ko ye Jaaiz nahi k wo Allah Pak per Jhoot ka Guman bhi karey.
Bal K Aisa Guman Iman se Kharij kar daita hay"
Tafsir e Kabeer
J#5, P#1726>

"Jhoot Aib hay Or Aib Allah Pak He par Muhaal o Na Mumkin hay na k is k Ghair pr"
Tafsir e Ruhul Bayan

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
8@

"DALAAIL KUTUB E AQAAID O KALAAM SE"

1> "Ham Ehl e Sunnat k Nazdik Kizb Aib hy or her Aib Allah pak pr Bil Ijma Muhal o Mumtaney hy"
Sharah Muwaqif P#604

2> "Allah Pak k liye Jhut Bil Ijma e Ulama Muhal Or
Ba Ittifaq e Uqala Aib o Na mumkin hy"
Sharah Maqasid

3> "Jitni Nishanyan Aib ki hain jaisay Jehal o Kizb wo Allah Pak pr Muhal hain"
Musaairah P#166

4> "Allah Pak pr Kizb Muhal o Na mumkin hy"
Shara Fiqah Akber P#22

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
9@

5>"Tamam ka is may Ittifaq hy k Her wo Cheez jo Bandon k Haq may Sifat e Aib hy
Or Baari Ta'ala is se Pak hy"
Musamirah P#84

6>"Kizb Aib hy or Allah Pak pr Muhal hy.
Kizb e Ilahi Mumkinat may se nhi"
Sharh Aqaaid Jalali

7>"Kizb Allah Pak k Haq may Muhal hy"
Nuzlul Lali Sharah Amali
P#92

8>"Allah Pak ki Zulm, Jehal o Kizb pr Qudrat nhi Bayan ki Ja Sakti
Q K Muhal Teht e Qudrat Dakhil nhi hota"
Kitab Umadah
Az Allama Nasfi

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
10@

9>"Allah Pak Yaqeenan Sadiq o Sacha hy Ba sabab Kizb k Muhal honey k"
Fawati hur Rehmut
Az Behrul Ulum P#32

10>"Allah Pak ka Kalaam
Jhuta ho jaey ye Baat Muhal hy"
Sharah Aqaaid
Az Allama Taftazani
P#154

11>"Kizb Aib hy or Aib Khuda pr Muhal hy to Kizb Mumkin na huwa or Qudrat is ko Shamil na huwi"
Aqaaid e Adadiya P#72

*Pas Roz e Roshan ki Tarah Sabit ho gaya k Wahabiya ka Allah Pak k Liye Imkan e Kizb ka Sabit krna Ghalat, Batil o Khilaf e Taleem e Islam hyjiska Qaail Sakht Ghanda, Daal o Gumrah hy.
Or Ehl e Sunnat ka Aqeeda Sahee, Haq o Mawafiq e Taleem e Islam hy.

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
11@

is Hawaley se
"Wahabi Mughalton ka Radd"
Aetiraz

1>"Jhut pr Allah ko Qadir na Manen to Phir Lazim Aey ga K Insan ki Qudrat Allah se Barh jaey"

Jawab*
ye kis Qadar Jasarat hy
Q k is Daleel k Tehat to Allah Pak ki Zaat k liye Tamam Qabeehaat k Darwazey Khul Jaen gay. Phir Insan to Zulm, Zina, Chori, Sharab Noshi or Deegar Buraiyon per bhi Qadir hy. To kia Allah Pak k liye in Tamam Naqaais o Uyoob ko Sabit kar Diya Jaaey?

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
12@

Aetiraz
2>"Quraan ki Ayet hy k
"Allah hr (Sha'e) Cheez pr Qadir hy"
Lihaza Allah Jhut pr B Qadir hy"

Jawab*
Jamhur ka ye bil ittifaq Mazhab hy
(jo Ftawa ibn e Teemiya, Tafsir Baedawi o Sharah Aqaaid Nasfiya etc may Likha hy)k
"Sha'e" Mojud or Sabit Shuda ko kehtey hain.Or Baedawi Shrif may hy k"
Mojud wo hy jo 3 Zamanon may se 1 Zamaney may Paya jaey.
Ab agar Jhut ko Sha'e Maan kr Allah ko is pr Qadir Mana jaey,
To Sha'e wo hy jo Mojud,
Ab Maani Baney ga,
Jhut Allah k liye Mojud o Sabit hy.
Phir Mojud wo hota hy jo 3 Zamanon may se kisi 1 Zamaney may Paaya jaey
CON...

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
13@

..CON
Jb Jhut,Sha'e hy to
Jhut ko Allah k liye Sabit maana jaey ga
k Ya to
Us ne Jhut Bol Diya
Ya Bol Raha hy
Ya Boley ga
Or in Teenu Zamano may Allah k liye Jhut Sabit karna KUFR hy.
Lihaza Ye Kehna
K Allah Jhut Bol Sakta hy
ye Kufria Aqida hy
jo kisi Momin ka Hergiz nhi ho sakta.
Pas wo Sha'e
(jo Qabeeh o Buri ho)
Allah Pak k liye Muhal hy.

"QUR'AN KA FAISLA"
(Allah ko Jhuta kehney waley) Jhuton Pr Allah ki LA'ANAT.
END

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved