Taqleed(b)
TOPIC "TAQLEED"
SMS#1:
Taqleed ki Ta'reef:
1. Kisi Shakhs ke Qoul Ya Fael Ki Daleel Me Bagair Nazar Kye Islye Ita'at Karna ke Ye Muhaqqiq Hey (Noor Ul Anwaar)
2. Kisi Mujtahid ke Qoul o Feal Ko Apne Uper Is Tarah Lazim Samajhna Keb Iska Qoul Mere Lye Shar'yi Hujjat He, Kyunke Uski QURAN o HADIS Par Gehri Nazar Hoti Hey.
SMS#2-A:
QUR'An SE Taqleed ki Daleel:
"Ilm Walon Se Poocho Agar Tumhen Ilm Na Ho"
(Sura-e-Ambiya Ayet#7)
Malum Hua Ka Ilm Walo (Mujtahideen) Se Poochna, Inki Pairwa Karna, Isi Ka Naam TAQLEED He. Ita'at Karo RASOOL Aur Hukum Walon Ki Jo Tum Me Se Hen" (Al-Nisa Ayet#59)
SMS#2-B:
"Aur Isi Ki Raah Chal Jo Meri Taraf Ruju Laye"
(Sura-e-Luqman Ayet#15)
Is Ayet Me ALLAH Ki Taraf Ruju Karna Walon Ki Ittiba Karne Ka hukum Dya Gaya Hey Aur Is Ittiba Ka Naam Taqleed He.
"Hum ko Seedhey Raastey Par Chala, Raasta Un Logan Ka Jin Per Tera In'aam Hua.. (Faatiha) Continue @2-c........
SMS#2-C: Is Ayet Me Bhi ALLAH Apney Pyaron Aur In'aam Yafta Logon Ki Raah Chalney Ka Dars Dey Raha Hey In'aam Yafta Log Is Ummat Ke Auliya hen Jesey Data Ali Hijveri, Ghous-E-A'azam, Khuwaja Moinuddin, Shah Abdul Latif Bhitai, Pir Mehar Ali Shah Wagera. In Tamam Buzrugan e Deen Ne Mujtahideen Ki Taqleed Ki Lihaza Sabit Hua K Taqleed Hi Seedh Aur Kaamyabi Ka Bahtreen Raasta Hey Jabke Taqleed Se Hat Kar Alag Raasta Ikhtiyar Karney Mey Gumraahi Hey.
SMS#3:
Q. Hum TAQLEED kyun karta hen?
A. Har shakhs is baat ki Ahliyat nahi rakhta ke wo sar'yi Ahkaam ko Qur'an o Hadees se khud Ma'loom kar sake,
Lihaza zaruri he ke Wo kisi ki Taqleed (Pairwi) karey. Shariyat Nafiz karne waley to ALLAH or uske RASOOL hen Imam to ek Muballig (Puhnchane wala) he.
SMS#4:
*~MUJTAHIDIN KI BAARGAAH ME RUJU~*
Al-Qur'an: "Aur agar is me RASOOL apne Zi Ikhtyar logon ki taraf ruju laatey to zarur un se haqiqat jaan leye ye jo baad me Khuwahish karte hen"
(Sura-E-Nisa Ayet#83)
SMS#4-B:
Malum hua k Qur'an Karerm ko Mujtahideen par paish rakho aur un se Samajh kar amal karokhud apni raaye par na aro warna gummraah ho jao ge waazeh hua ke jab bhi kisi aam shakhs ko koi /mas'ala ho to Mujtahideen ki baargah mey haazir ho.
SMS#5: *~TAQLEED KI IQSAAM~* 1. Taqleed e Shar'ai. 2. Taqleed e Gair Shar'ai. Taqleed e Shar'ai:> Shar'ai ahkam me kisi mujtahaid ki pairwi karna Taqleed e Shar'ai he. Jesey Namaz, Roza, Hajj, Zakaat, Nikaah, taqleed ke Masail ke in mey Aimma e Deen ki Ita'at ki jati he. Taqleed e Gair Shar'ai:> Dunyawi muamlat me kisi ki Ita'at jese tabeed buali seena ki pairwi karte hen aur Ilm e Nehw Me imam Sibubia, Imam khalil ki Pairwi ki jati he.
SMS#6: IMAM ABU HANIFA KE MUTA'ALLIQ AAYA KE MAS'ALA AKHAZ KARTE TO QUR'AN SE LETEY AURAGAR IS MEY NA PAATEY TO SUNNAT E RASOOL KI TARAF RUJU KARTEY IS ME BHI NA PAATEY SAHABA KE QOUL KO LETE AUR AGAR SAHABA ME BHI IKHTILAF PAATEY TO JO QUOL QUR'AN O HADEES KE ZYADA QARIB HOTA USEY LETE AUR BAHAR...
SMS#7:
Agar Bilfarz kisi maqam par IMAM ka Qoul Qur'an o Hadees ke khilaf ho to Apne IMAM ke Qoul ko chor kar Qur'an o Hadees par Amal karenge kyunke ba taqzaye bashariat ye munkin he ke imam se khata sarzad hui ho lekin ye zehan me rahey ke Hadees me Mujtahideen ki khata par bhi sawaab hey.
SMS#8:
Taqleed-e-Gair Shar'i agar Shariyat se takra rahi ho to taqleed karna haraam hey aur agar Shariyat ke khilaf nahi to amal karna jaazi o Mubaah hey.
SMS#9:
*~AQAID ME TAQLEED~*
Aqaid me kisi imam ki Taqleed jaaiz nahi.
MASALAN:> Yun nahi keh saktey ke hum nay touheed o risaalat ko dalail sey tasleem kya .
SMS#10: *~SAREEH AHKAAM~* Sareeh Ehkam me Taqleed jaaiz nahi. MASALAN:> 5 Namazein, 30 Rozey, Zakaat, Hajj ki farziyat wagera me Taqleed jaaiz nahi kyunke ye Masaali Qur'an o Hadees say saraahat ke saath sabit hen...
SMS#11:
*~MUJTAHIDEEN PAR TAQLEED WAJIB NAHI~* Mukallaf (jis per Shar'i ahkaam nafiz hote hon) Musalman do tarah ke hen. 1. MUJTAHID. 2. MUQALLID...
SMS#12-A
"ITTIBA karo barey giroh ki, ke jo Jama'at sey alag raha wo alehda he, Jahannum mey daala jayega" (Mishkat-Babul A'etisaam) Is hadees mey sawab-e-Azam (Barey Giroh) ki pairwi ka hukum hua...
SMS#12-B
Gair muqallideen chaaron Imam ki Taqleed ka inkar kartey hen aur usey Gumrahi aur shirk qarar detey hen. Halaanke gair muqallid apney molviyon ki taqleed zarur kartey hen. Agar wo kahen ke hum ti kisi ke muqallid nahi to ye sarasar galat hey...
SMS#13
Hazrat Muza Bin Jabal ko jb Yaman bhejne ka irada Farmay to SARKAR ne pucha "Muqaddama Paish Hoga To Kese Faisla Karoge? Arz Ki:> ALLAH ki kitab se, Farman; Agar kitabullah me na paao to? Arz ki:> NABI ki sunnat se, Farman; Agar sunnat me bi na paao to...
SMS#14-A:
Jo shakhs is haalat mey mara ke iski garden mey kisi ki bait nahi wo jahalat ki mout. (Mishkat Pg#320)
Merey sahaba ki taqleed karo. (Mishkat Pg#554)
Merey sahaba sitaron ki tara hen jis ne inki taqleed ki us ney hidayet payi. In mey HUZOOR khud sahaba ki taqleed ka hukum Farmarahey hen.
SMS#14-B:
Imam Muhammad, Imam Yousuf, Imam-e-Azam ka naam war shagird hain. Is tarha Aaima salasa 3 barah-e-rast ya bila wasta Imam-E-Azam hi shagird hue. Or Imam Yosuf ka Imam Ahmed or in ka shagirdo ma Imam Bukhari, Imam Muslim Sai, Imam Nisai ne Imam Dawood sse Ilm hasil kai jab ka Imam Ibn-E-Maja bi isi silsile ka shagird hain. To sabit hua ka saha sata ka tmam Musanif bila wasta Imam-E-Azam ka shagird hue.
SMS#15:
Hazraat_E-Jabri O Akrama, Donu sahaba kuch Masail mey Ibn e Abbas ke quol ki pairwi karta (Abu Dawood)
Hazraat Ibrahim Nakh'ee aur Apke sathi Hazraat Ibn e Mas'ood aur Apke shagirdon ko faqeeh samajtey.
Fee zamana jo chaaron mazahib sey bahir ho to wo Ahl-E-Bid'at aur jahannami hey. (Tahawi)
SMS#16:
4 Imam Ya'ni IMAM ABU HANIFA, IMAM SHAFAYI, IMAM MAALIK, IMAM AHMED BIN HAMBAL, ke siwa kisi ki Taqleed jaaiz nahi (Fathul Mubeen Sharah Arbaeen)
SMS#17:
Jo shakhs IJTIHAD ke martabey ko na puhncha to us pr Wajib hey ke wo mujtahideen ke mazhab mey sey kisi mazhab ko lazin pakrey.
(S.Jam-Ul-Jawamey)
SMS#18:
WAHABION, DEOBANDION KE IMAM KA AQEEDA:
"Jis shakhs ne charon Imam ki mukhalifat ki, Goya us ney Ijma ki mukhalifat ki"
"Imam Muhammad bin Hasan sey hikayat kai gaya hey ke mujtahid ki Taqleed jaiz hey, aur kaha gaya hey ke apne se zyada aalim ki Taqleed jaiz hey"
(Fatawa Ibne Taimia 2/202)
SMS#19
*~MUSALMANO SE ILTEJA~* HUM NEY IS POOREY TEFSEEL SEY WAZEH KAR DYA KE TAQLEED WAJIB HEY. AUR CHARON IMAM ME SEY KISI KI TAQLEED KI JA SAKTI HEY. AUR "ALLAMDULILLAH" 99% MUSALMAN TAQLEED KARTEY HEN AUR HUZOOR KARIM KE FARMAN KE MUTABIQ < BARI JAMA'AT > MEY SHAMIL HEN...