Update
Loading...
Monday, 1 July 2013

=Qadyaniat-e-Akabir-e-Deo-band=



TOPIC "-=Qadyaniat-e-Akabir-e-Deo-band=-"
SMS (1-3)

SPREAD THE INVITATION OF MADNI SMS ISLAMIC GROUP
-----------------------------------------------

-=Qadyaniat_e_Akabir_e_Deo-band=

-~^TarrufTamam ahl_e_ilm hazraat rad_e_Qadyaniat k hawale se ulama_e_Ahl_e_Sunnat ki kawishhon aur her khaas-o-aam shaqs allama Shah Ahmed Noorani Siddiqui k kirdar se ba khoobi waqif hai per dour_e_haazir me Deo-bandi khud ko rad_e_Qadyaniat k thaike-dar banaye phirte hain.

Per aaiye zara in kawwa-khor thaike-daron ka Qadyaniat ki raah hamwar kerne aur in ki Qadyaniat-nawazi ka haal mulahiza kerte hain.
   
-=Qadyaniat_e_Akabir_e_Deo-band=-

Case# 01

~^Gangohi ka Mirza ki kabhi takfeer na kerna

Gangohi ne Mirza per kabhi kufr ka fatwa nhi dia. Halanke Mirza ne Gangohi ki zindagi me he dawa_e_Nabuwat kia.
Jub Mirza Qadyani kufariyat ka pulanda Buraheen (Ahmadiya) likh raha tha aur akhbarat me us ka khoob shohra tha. To us waqt ka zikr kerte hoye molvi Aashiq Elahi Mirathi Gangohi k hawale se likhta hai k:

"Us zamane me imam_e_Rabbani ne aik martaba youn irshad farmaya tha. Kaam to ye shaqs (Mirza) achha ker raha hai. Magar peer ki zaroorat hai."

Tazkirat-ur-Rasheed, jild 2, safha 228.    
-=Qadyaniat_e_Akabir_e_Deo-band=-

Case# 02

~^Ashraf Ali Thanvi ki Qadyanion se aqeedat

Deo-bandi molvi Abdul Majid Darya-abadi likhta hai k:

Aik sahab bare josh se Ashraf Ali Thanvi se bole "hazrat in logon (Qadyanion) ka deen b koi deen hai. Na Khuda ko maanen na Rasool ko" to hazrat (Thanvi) ne foran lehja badal ker kaha "Ye ziadati hai Touheed me humara in ka ikhtelaf nhi, ikhtelaf Risalat me hai aur us k b sirf aik baab me yani khatm_e_Risalat me."

Sachi baaten, safha 213.

Yani ager koi Nabuwat ka daawa b ker de to Thanvi k nazdeek us k liye sakht alfaz istemal kerna ziadati hai.

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved