Hayat
Hayat;01
Quran;
"Aye Habib!Hum Ne App Se Phele Kisi Insan Ko Hamesha Ke Zindagi Nahe De"
{Surah Alanbiya,Ayat;34}
Hayat;02
RASOOL ALLAH (SALLALLAHO ALAIHI WASSALLAM)Soo Gaye The,
HAZRAT AYESHA(RADIALLAHU ANHA)Ne Soone Ke Awaz Sunne,
APP Jagey WUZU Nahe Farmaiya,NAMAZ Ke Neyat Bandh Lee,,
HAZRAT AYESHA(RADIALLAHU ANHA)Ne ARZ Ke;
"MERY AQQA!! APP Tu Soo Gaye They"
JAWAB MILA;
"MERI Ankh Sooti Hai QULB Nahe Soota"
{Bukhari,jd;1pg;504}
{Musand Imam Ahmed Bin Hanbaljd;6pg;36}
Hayat;03
Hazrat Abou Bakar(Radi'Allahu Anhu)Ka Aqeeda;
"Kisi Shks Ne Hazrat Ali(Radi'Allahu Anhu)Ko Bura Bhala Kaha Tu
Hazrat Omer Bin Khatab(Radi'Allahu Anhu)Ne Farmaiya Allah Taaala Tujhe Zaleel O Ruswah Karey
Tahqeeq Tu Ne Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ko Qaber E Mubarak Mein Aziyat Phonchai"
Hayat;04
Hazrat E Ayesha(Radi'Allahu Anha)Ka Aqeeda;
"Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Masjid Ke Sath Mulhiq Gharon Mein
Keel Thokne Ke Awazein Sunteen Tu Un Ke Ahle Khana Ke Pass Paigam Bhejtee Ke Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Ko Aziyat Mat Do"
{Shifa Alsiqaam Pg;155,154}
Hayat;05
Hazrat Abdullah Bin Masood(Radi'Allahu Anhu)Ka Aqeeda;
"Mein 9 Baar Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Shahdaat Ke Qasam Khana Ziyada Pasand Karta Hun
BaNISBAAT Is Ke Mein Ek Martaba Kaho Ke Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Shaheed Nahe Kiye Gaye"
{Zarqani Ali Almawahib Pg;313,Jd;8}
Hayat;06
Hazrat Abou Saeed Bin Masiyab Taabai(Radi'Allahu Anhu)Ka Aqeeda;
"Koi Din Aisa Nahe Ke Jis Mein Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Bargha Mein
Subha O Shaam Amal Paish Na Hote Hun Aur Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Apne Ummatiyoun Ko Un Ke Surton Aur Ammal Ke Sath Phechante Na Hun
Isi Wajah Se App(Sallallaho Alaihi Waasallam)Baroz Qayamet In Ke Gawahi Dein Ge"
{Almohib AlladaniyahJd;2Pg;387}
Hayat;07
ALLAMA QAZI AYAZ AUR MULLAH ALI QARI REHMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI KA NAZARIYA;
"Is Liye Ke Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Rooh Mubarak Har Muslman Ke Ghar Mojood Hoti Hai"
{Sharha Shafah AlriyazJd;3,Pg;464}
Hayat;08
SHEIKH ABDUL HAQ MUHADIS DEHLVI KA NAZARIYA;
"Agar Kaha Jaiye Ke HAQ TAAALA Ne Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Ke Jism E Athar Ko Aise Haalat O Qudrat Atta Farmaiye Hai Ke
Jis Makan Mein Chahain Tashref Lasaktey Hain Baaena Ishe Jism Ke Sath Yea Jism Misali Ke Sath Aasman Per
Ya Khawah Qaber Mein Tu Yea Bilqul Durust Hai.
Har Halat Mein Qaber Se Khar Nisbat Rehti Hai"
{Midraj Alnubwah;Jd;2Pg;50}
Hayat;09
IMAM JALALUDDIN SYOOTI REHMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI KA NAZARIYA;
"Apni Umat Ke Aamal Per Nazar Rakhna Aur In Ke Gunnaho Ke Liye Magfirat Talab Karna
Aur Apni Ummat Se Baalaon Ke Dur Ke Dua Karna Aur Zamen Mein Idhar Udhar Tashref Lana
Aur Zameen Mein Barkat Dena Apni Umat Ke Neik Shaks Ke Wafat Per Us Ke Janazey Mein Shirkat Farmana
Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam) Ke Mashagil Mein Se Hai
Jaisa Ke Is Barahey Mein Aahadees Aur Aasaar Waar Howi Hain"
{Intibar Alazkiya,Pg;7}
Hayat; 10
HAZRAT JUNAID BAGDADI REHMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI;
"Jo Shks Apni Nafs Ke Sath Zindha Ho Woh Rooh Nikal Jane Ke Bd Murda Hojata Hai
Aur Jo Apne Rub Taaala Ke Sath Zindha Ho Woh Murda Nahe Bulkey
Hayat Tabyeh Se Hayat E Asli Ke Taraf Muntakil Hojata Hai.
Jo Shariyat Ke Talwar Se Qatal Hojaiye Is Ke Bawajud Zinda Aur Usey Rizque Bhe Diya Jata Hai
Tu Jo Shks Sadak O Haqeeqat Ke Talwar Se Qatal Hua
Wo Kaisey Murda Hosakta Hai Bulkey Us Ke Ala Zindgai Hoge"
{Rooh Ul Bayan,Jd;2,Pg;125,261}
Hayat; 11
ALLAMA SHAMI REMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI FARMATE;
"NABI E KAREEM(Sallallaho Alaihi Waasallam)Apney Wisal Ke Bd Zinda Hai
Apni Ummat Ke Neikiyoun Se Kush Hote Hai Apne Gunnagar Umatiyoun Ke Gunhaon Per Gamgeen Hote Hain
Aur Beshak Jo Shks App(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Bargha Mein Durod Pk Bhejta Hai
Woi Durood App(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Pass Phonchta Hai"
{SHAMI,JD;4,Pg;151}
Hayat; 12
IMAM QAISTHLANI REHMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI KA NAZARIYA;
"Aur Tahqeeq Hamarey Ulma e Ikram Ne Farmaiya
Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Wafat Aur Zindagi Mein Koi Farq Nahe.
Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Apni Umat Ko Deekhte Aur Un Ke Ahwal O Azaaim Aur In Ke Iradoun Ko Jante Hai
Aur Yea Baat App(Sallallaho Alaihi Waasallam) Ke Nazdeek Bilkul Wazhee Hai Is Mein Koi Posheeda Nahe.
{Mohib Jd;2 Baab Ziyarat Qaber shariff}
Hayat;13
ALLAMA IBNE HAJJAR MAKKI REHMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI;
"Tehkeek Anbiya E Ikram(Alaihi salam)Ke Hayat Sabit Sudha Aur Is Mein Koi Shak Shuba Nahe Ke Anbiya E Ikram(Alaihi Salam)Ke Hayat E Shaudha Ke Hayat Se Ziyada Kamil Hai"
{Aljawahir Almozim,Pg;26}
Hayat;14
IMAM BEHQUI REHMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI;
"Anbiya E Ikram Alaihi Salam Ke Arwah Ko Qubz Karne Ke Bd Wapis Lautah Diya Jata Hai
Lehaza Woh Shuhada Ki Tarah Apney Rub Aazzawajal Ke Pass Zindha Hain"
{Shifa Alsiqam,Pg;154}
Hayat;15
ALLAMA ALOOSE REMATULLILLAHI TAAALA ALAIHI;
"Aaqa(Alaihisalatuwassalaam) Ki Hayat Dosrey Anbiya Se Kamil O Atam Hai"
{Rooh Ul Mani,Pg;38}
Hayat;16
Mullah Ali Qari(RehmatULLILLAHI Taaala Alaihi)
"Anbiyah Kiram Alaihi Salam Ke Duniyawi Aur Akhrowi Zindagi Mein Koi Farq Nahe
Is Liye Kaha Jata Hai Ke Ouliya Allah Marte Nahe Bulkey Ek Ghar Se Doosrey Ghar Mein Muntaqil Hojate Hain"
{MirqahJd;2Pg;212}
Hayat;17
Qasim Nanathvi Ka Nazariya;
"Hayat Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam) Daimi Hai Ye Mumkin Nahe Ke Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Hayat Zail Hojaiye
Aur Hayat Momeen Arzi Hai"
{Ab-e-Hayat,Pg;120}
Hayat;18
Khalil Ahmed Anbethwi Devbund Kehte Hai;
"Hamarey Aur Hamarey Mashaik Ke Nazdeek Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Apni Qaber E Anwar Ke Ander Zinda Hai
Aur Bagair Mukalif Hone Ke Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Hayat E Duniya Ke Zindagi Ke Misaal Hai
Aur Yea Hayat Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam) Ke Sath Aur Anbiya e Ikram Alaihi Salam Ke Sath Khas Hain"
{Almahand Pg;13}
Hayat;19
Anwar Shah Kashmiri Devbundi Ka Nazariya;
"Anbiya(Alaihi Salam)Ke Roohain Ibadaat O Aafaal Se Moutal Nahe Hotein Balkey Apni Qaboor Mein Is Tarah Ibadat Karte Hain
Jaisey Zahiri Zindagi Mein Karte Thein Aur Is Tarah Taabaeen Ka Haal Hai"
{Faiz Albari Jd;2 Pg;64}