Update
Loading...
Monday, 1 July 2013

Rafe'a Yadain



TOPIC "Rafe'a Yadain"


Rafe'a Yadain# 1

Ehnaf, Ehl e Sunnat K nazdeek Rafe'a Yadain Sirf Takbeer e Tehrima K weqt Mashru'a aur Sunnat e Mustamirra hay Is k ilawa Darmiyan Namaz may kaheen B Masnun nahi Ham tasleem kartay hain k Doran e Namaz Rafe'a Yadain karna aur Na karna Donu Ahadees say sabit hay, aur donu tarah ki Hadeeson per hamara Eeman hay Magar in may farq sirf Oqat ka hay Ahadees may Akabir Ashab e kiram nay ye Wazahat farma D k ibtida e Islam may Rafe'a yadain hota tha phir Mansukh aur Matruk ho gaya lihaza ab Doran e Namaz Rafe'a yadain khilaf e Sunnat aur Makruh hoga.
   
R.Y# 2

Apnay Dawey (Takrar e Rafe'a Yadain ki Mumaniat) ki Daleel k tor pr hm chand Ahadees paish kartay hain Phir Mukhalifeen k Dalail ka Nasakh, Suqum, iztirab Neez Hamaray Dalail ki Tarjeeh ki Wujuhat Arz karen gy Pehlay unko 1 Challenge hy k wo HUZUR alaeh salam ka Aakhir weqt tak Doran e Namaz Rafe'a Yadain Sabit karnay k liye sirf aur sirf koi aik he Sahee, Sareeh, Marfu aur Gair Majruh Qoali Hadees paish kar dain Hm apnay Dawe'a sy Ruju kr lain gy
   
R.Y# 3

Hadees# 1 Hazrat Alqama kehtay hain K 1 dafa ham say Abdullah bin Mas'ood nay farmaya K may tumharay samnay Huzur Alaeh salam ki Namaz na parhun Pas Ap nay Namaz parhi. Is may Siwaey Takbeer e Tehrima k kabhi bhi Hath na uthaey (Tirmizi kitab us Salat J#2 P#40) Imam Tirmizi farmatay hain ye Hadees HASAN hy. Is Rafe'a Yadain na karnay per buhat sy Ulma e Sahaba W Tabaeen ka Amal hy Imam Tirmizi ny to is unwan sy poora Bab bandha hy Ibn e Masood jo Faqeeh Aalim hain unhon ny jamat e sahaba (k jinhon ny Huzur ki Namaz ko mulahiza kia tha) may isay bayan kia magar kisi Sahabi ny aitiraz na farmaya.
   
R.Y# 4

Hadees# 2 Yahi Hadees (Sunan e Nisaai isay SAHEE may shumar kia hy J#2 P#182 H # 3 Yahi Hadees (Musannaf Ibn e Abi Shaiba J#1 P#213) H # 4 Yahi Hadees (Musnad e Ahmed J#1 P#388) H # 5 Yahi Hadees (Tibrani Kabir J#9 P#261) H # 6 Yahi Hadees (Tahawi J#1 P#224) H # 7 Yahi Hadees (sunanul kubra lin Nisaai J#1 P#221) H # 8 Yahi Hadees (Sunanul Kubra Baheeqi J#2 P#78) H # 9 Yahi Hadees (Abu Daood J#1 P#109) H # 10 Yahi Hadees (Kanzul Ummal J#4 P#203)
   
R.Y# 5

Hadees # 11 Yahi Hadees (Aasarus Sunan P#205) Neez in Ahadees ko imam Ahmed bin Hanbel, Darqutni, ibn e Hazam Zahiri (Muhallaa ibn e Haz), ibn e Qattan, ibn e Adi (Al kaokab u Durri), ibn e Daqeeq ul Eed aur Ibn e Teemya ny B SAHEE qarar diya. Yahan tak k Mojuda Doar ka Namwer Gairmuqallid Nasirud Din Albani kehta hy "Sachi bat ye hy k ye Hadees bilkul Sahee aur is riwayet ki asnad b Imam Muslim ki Shirt pr SAHEE hain (Mishkat ul Bani J#1 P#254)
   
R.Y #6

H # 12 Hzrat Baraa bin Aazib farmate hain k Janab Rasul e Karim jab Namaz shuru farmatay to Rafe'a Yadain farmatay Phir Ap poori Namaz may kaheen B Rafe'a Yadain nhi farmatay (Abu Daood 2 Asnad J#1 P#109) H # 13 Yahi Hadees (Tahawi 3 Asnad J#1 P#224) H # 15 Yahi Hadees (Musannaf Abdul Razzaq J#2 P#71) H # 16 Yahi Hadees (Musnade Abi Ya'ala 2 Asnad J#3 P#248) H # 17 Yahi Hadees (Kanzul Ammal J#4 P#202) H # 18 Yahi Hadees (Dar Qutni 4 Asnad J#1 P#293) H # 19 Yahi Hadees (Musnade Ahmed J#4 P#274) H # 20 Yahi Hadees (Al Madunatul Kubra J#1 P#69) H # 21 Yahi Hadees (Musannaf Ibne Abi Shaiba J#1 P#236)
   
R.Y# 7

Hadees# 22 Ibn e Masood Farmatey hain, Janab e Rasulullah sirf pehli Takbeer per he Rafe'a Yadain farmatey, phir dubara Ap kaheen B Rafe'a Yadain nhi farmatey (Tahawi J#1 P#224) H # 23 Yahi Hadees (Jameul Masaneed J#1 P#355) H # 24 Yahi Hadees (Musnade Imame Aazem 2 Asnad P#40) H # 25 Hazrat Sufyan isee Asnad say farmatey hain k Ibn e Masood nay pehli bar he Hath uthaey (Abu Daood J#1 P#200) Imam Tirmizi farmatey hain k bey shumar ulma e Ehl e Koofa ka yahi farman o Amal hy Tareekh sy ye sabit k Faruq e Aazem ny Koofa may 1 Aabadi basaee. 4000 tak Sahaba 1 weqt may wahan mojud hotey. Ehl e Koofa sy Maola Ali, Ibne Masood, ye Tamam Sahaba aur Tabaeen murad hain Aur in he ki ittiba may Tark e Rafea yadain ko Rajeh, Nasikh aur Masnun Qarar dia gaya

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved