Radd e Maatam
Radd e Maatam
@01
Aaj Kal Ahl e Beat Ki Muhabbat Ke Da'wey Daar Be Ilm Musalmano Ko Maatam Par Uksaatey Hen
Aur Tarah Tarah Ke Fazail Suna Kar Maatam Ko Ahl e Beat Ki Muhabbat Ki Daleel Kehte Hen.
Aaiyye!
Is Mas'aley Ko Tafseel Sey Samajhye
Pehle Iska Mafhum,
Phir Shia Kutub Sey Bi Dalail Mulahiza Hon
Radd e Maatam
@02
#Meaning#
Mash'hur Aarbic Dictionary
<Lisaan ul Arab>
Me Maatam Ke Ma'ana;
Soggh Karna
Gham Karna
Rona Aur Peetna
(..Harf e Meem V#12 P#4)
Radd e Maatam
@03
Shariyat Ne Kisi Ke Intiqaal Ke Waqt
Sogh Karney,
Us Par Gham Karney,
Be Ikhtiyaar Aansoo Bahaney
(Isey Sharyi Maatam Kehte Hen)
In Kaamo Ko Jaaiz Rakha,
Bulkey Is Kaam Par ALLAH Ajar Bhi Ataa Farmata Hey
Aur Ye Kaam Nabi Paak Alaihissalatuwassalaam Aur Aimma e Ahl e Beat Sey Saabit Hey,
Iske Bar'aks Muriwwaja Maatam
(Jaza o Faza,
Peetna,
Zanjeer Zani,
Seena Kobi etc)
Ye Sab Na Nabi Paak Alaihissalam Sey Na Ahl e Beat Sey Saabit Hen.
Radd e Maatam
@04
Jab Hazrat Ibrahim RadiyALLAHu Anhu
(Nabi Paak Ke Sahibzaadey)
Ka Intiqal Hua To
Huzoor Alaihissalatuwassalaam Roye Yahan Tak Ke Aapki Darhi Mubarak Ansuwon Sey Tarr Ho Gayi.
Arz Ki Gayi;
Ya RasoolALLAH!
Ap To Rone Sey Mana Farmate Hen Aur Khud Ro Rahey Hen?
Farmaya;
"Ye Aah o Bakaa Nahi Bulkey Rehmat He
Aur Jo Kisi Par Reham Na Karey
Us Par Reham Nahi Kya Jaata"
(Shia Book
AMAALI Lie-Toosi
V#1 P#298
Al'Juz-e-Salis Ashara)
Malum Hua Ke Peetna etc Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Na Kya
Aur Aapse Jo Suwal Hua
Us Sey Ye Bhi Malum Hua Ke Aap Ne In Kaamo Sey Mana Farmaya Hey.
Radd e Maatam
@05
Imam Jaffer Sadiq;
"Jab Hazrat Ibrahim Ne Dunya Sey Rehlat Farmayi To Nabi Paak Ki Aankhon Sey Aansoo Behne Lagey,
Farmaya;
"Aankhen Pur Namm Hen Aur Dil GhamNaak He Aur Me Nahi Kehta Koi Cheez Jo ALLAH Ke Ghazab Ka Baais Ho"
Phir Apne Betey Sey Mukhatib Hue;
"Hum Teri Wafaat Par Ghamgeen Hen"
Shia Books;
1) Muntahiyul Aamaal
V#1 P#127
Dar Bayane Ahwaal e Aqriba Hazrat Rasool
2) Man, Laa Yahdaruh ul Faqeeh
V#1 P#113
Baab Fi-Taziyat Wal Jaza'a Indal Musibah}
Jab Huzur Ne Apne Lakht e Jigar Ke Wisal Par Murawwija Maatam Na Kya To Ishq e Hussain Ke Jhoote Da'wey Daar Kyu Karte Hen?
Radd e Maatam
@06
Imam Jaffer Sadiq;
"Jis Par Musibat Aaye To Wo RASOOL e KHUDA Sallallaho alaihiwasallam Ki Musibaton Ko Yaad Karey
Kyun Ke Wo Sab Sey Bari Musibat Thi
(Jo Nabi Paak Par Aayin)
(Shia Book;
Firou e Kaafi V#3 P#220
Kitab ul Janaiz
Baab e Taziyat)
Yahan Sabar Ka Hukm He Par IMAM Jaffer Ki Nisbat Se Khud Ko Jafferi
Aur Fiqah e Jafferiya Ke Nifaaz Ki Baat Karne Waley Muharram Me Peet'te Hen..!!
Kyun
Kya Ye Sikhaya
Imam Jaffer Saadiq Ney?
Radd e Maatam
@07
Moutabar Sanad Ke Saath
Jaabir Ansari Ne Riwayat Kya Ke RASOOL E PAAK Ney Apne Marz e Wisaal Me BiBi Fatima Sey Frmaya;
"Aye Fatima!, Sun Lo!!
Pegambar Ki Khaatir Girebaan Nahi Phaarne Chahyen,
Munh Na Nochna Chahye, Wawela Nahi Karna Chahye, Lekin
Agar Kuch Karna Ya Kehna Ho To Wohi Jo Tumhare WAALID Ney Apne Bety IBRAHIM Ki Wafaat Par Kaha,
Ke Aye Betey!
Aankhen Roti Hen Aur Dil Dukhi Hey
Lekin Koi Aisi Baat Na Kahun Ga Jis Sey ALLAH Naraz Hota Ho.
Aye IBRAHIM!
Hum Teri Khatir Sadma Utha Rahey Hen.
Agar IBRAHIM Zinda Rehta To Nabi Hota"
(Shia Book;
Jilaa ul Uyoon V#1 P#91 Sharah e Wiqai Ke Nazdeek Irtihaal e Aan'Hazrat Rukh Daad "Farsi")
Ye Maatam Ke Na Jaaiz Honey Par Waazeh Daleel Hey,
Is Me Gour Karen To Buhat Kuch Milega
Radd e Maatam
@08
Imam Jaffer Sadiq;
"Rasool e Paak Alahissalatuwassalam Ne Farmaya; Musibat Ke Waqt Musalman Ka Apne Hath Raano Par Marna Uske Ajar o Sawab Ko Zaaya Karta Hey"
(Firou e Kaafi V#3 P#224
Kitab ul Janaiz
Baab u Sabari Wal Jaza'a ila Akhirihi)
Ab Sochen Noor (Nabi) Ki Maanen,
Ya Kaalon Ki?
Radd e Maatam
@09
Nabi Paak AlaihisalatuwasSalam Ne BiBi Fatima Sey Farmaya;
Beti..! Jab Me Intiqaal Kar Jaun To Meri Wafaat Par Apna Munh Na Peetna,
Apne Baal Na Kholna
Aur Shour Na Karna
Aur Na Hi Mujh Par Nouha Karna
(Shia Book
Firou e Kaafi V#5 P#527
Kitab ul Nikaah
Baab Safatu Mubaiyat u Nabi)
Radd e Maatam
@10
Imam Jaffer Sadiq;
"Be Shak Sabar Aur Musibat Donu Momin Ki Taraf Aatey Hen.
Jab Koi Musibat Momin Par Aati Hey Wo Us Waqt Intehayi Sabar Karne Wala Hota Hey, Aur Jaza o Bala Aagey Peechy Kaafir Ke Paas Aati Hen
Jab Uskey Paas Musibat Aati He To Wo Intehayi Rone Peetny Wala Hota Hey.
(Shia Book;
Firou e Kaafi V#3 P#223
Kitab ul Janaiz Babu-Sabar Wal'Jaza Wal'Istirjaa)
Khud Ko Mo'min Kehne Waley Blackies Is Par Amal Chorr Detey Hen
Radd e Maatam
@11
Imam Baaqir;
"Jis Aadmi Ko Koi Musibat Aaye Phir Wo
INNA LILLAHI WA INNAA ILAIHI RAAJIOON
Kehta Hey Aur Us Musibat Par Sabar Karta Hey
To ALLAH Uskey Sab Gunaah Muaf Kar Deta Hey
Aur Banda Jab Kisi Guzri Musibat Ko Yaad Kar Ke Yun Kahey To ALLAH Uskey Wo Tamam Gunaah Muaf Kar Deta Hey Jo Usne Musibat Ke Aaney Ke Waqt Sey Ye Dua Parhne Tak Kye Honge.
(Shia Book;
Firou e Kaafi V#3 P#224
Kitab ul Janaiz Babu-Sabar Wal'Jaza Wal'Istirjaa)
Radd e Maatam
@12
Imam Ali Ausat
(Zain ul Aabideen);
Sabar Ka Maqaam Imaan Me Aisa Hey Jesa Ke Sar Ka Aadmi Ke Jism Mey.
Wo Be Imaan Hey Jis Me Sabar Ki Sifaat Nahi
(Shia Book;
Jami ul Akhbaar V#1 P#132 Al'Fasl ul Haadi Was-Sabuoon Fi-Sabar)
Radd e Maatam
@13
Moula Ali;
Sabar Ka Nuzool Musibat Ki Miqdaar Par Hey
(Ya'ni Jitni Bari Musibat Aye Utna Hi Bara Sabar Chahye Hota Hey)
Jis Ne Musibat Ke Waqt Apni Raano Par Hath Marey,
Uske Tamam Ache A'maal Zaya Hogaye
(Shia Book;
Nahjul Balaga P#495
Baab ul Mukhtar
Min Hukmi Ameeril Mo'minin O#144)
Radd e Maatam
@14
Moula Ali Ne
Jaffer Abi Talib
Ki Shahadat Pr
Bibi Fatima Sey Kaha;
"Kisi Ki Mout Par,
Kisi Ke Douran e Jang Shaheed Hone Par Gham Karte Hue Wawela o Maatam Na Karna"
(Man-Laa Yahzaruh ul Faqeeh
Fil Ezai Wal Jaza'a
Indal Musibah Taziyat wal Jaza P#56)
Jo Me Ne Kaha, Wo Such He.
(P#116)
Radd e Maatam
@15
Moula Ali
Nabi Pak Ko Ghusal Dete Waqt;
"Mery Maa Baap Ap Par Fidaa! Apki Wafaat Sey
Nubuwwat,
Wahi,
Aasman Ki Khabren
Munqata Huin.
Jo Ke Apke Gair Ki Wafaat Sey Na Huin,
Ap Musibat Puhchane Par Makhsus Hue Yahan Tak Ke Apne Gair Ki Musibat Sey Hume Mut'main Kya
(Apke Wisal Sey Jo Musibat Hum Par Pari,
Apke Gair Sey Nahi)
Agar Aap Sabar Ka Hukum Na Detey, To Hum Ansuwon Ko Inteha Tak Puhncha Detey.
(Nahjul Balag P#355
Khutba#225)
Radd e Maatam
@16
Imam Hussain;
Aye Sakina Tu Buhat Jald Merey Paas Aa
Taa Key Me Tujhe Is Tarah Widaa Karun Jesey Marne Wala Widaa Kya Jata Hey.
Me Tujhe Wasiyyat Karta Hun Is Farzand e Sagheer Ke Baarey Me Aur Iske
Eyaal o Yatimo Aur Hamsayo Ke Baab Me
Ke Sab Key Sath Naik Sulook Karna Aur Jab Me Qatal Ho Jaun
To Tum Apni Chaadar Aur Gireban Mat Phaarna
Aur Naala o Faryad Kar Key Na Rona.
Balke Aye Sakina Hukm e ILAHI Par Sabar Karna
Kyun Ke Hum Sahibaan e Sabar o Ahle Ehsaan Hen
Muje Apne Baap,Daada Aur Bhai Ki IQTIDAA Karni Chahye.
(Zibah e Azeem P#288
Janab Hussain Ki Tanhayi
Aur Bekasi Key Halaat)
Radd e Maatam
@17
Imam Hussain Jab Madina Paak Sey Koofa Jaane Ke Lye Makkah Ki Taraf Rawana Hue, Us Waqt
Bani-Hashim Ki Aurton Ki
Be-Qarari,Aah o Figaan Suni To Farmaya;
"Me Tumhe Khuda ki Qasam Deta Hun,
Sabar Ko Ikhtiyar Karo Aur
Jaza'a (Murawajja Matam) o Betaabi Se Hath Uthalo
(Jilaaul Uyoon P#515)
Radd e Maatam
@18
"Hadis Paak Me He
Ke Ginaa IBLEES Ka Nouha Hey,
Maatam Isne Behshat Ki Judai Me Kya,
Nabi Ne Farmaya;
>Maatam Karne Wala Qayamat Me Kuttey Ki Tarah Aaye Ga
>Maatam o Marsiya Khuani Zinaa Ka Mantar Hey
(Shia Book;
Majmaul Ma'aarif Bar Haashiya Hilyatul Muttaqeen P#126
Hurmat e Ginaa)