Hadees e Qirtas
Hadees e Qirtas pr Aitiraz
Salam
Bukhari or Muslim me he
Jb Nabi Pak ne Apne wisal se pehley Qareeb Mojud Sahaba se kaghaz or Qalam Manga ta k wo Wasiyet Likhen Magar Hzrat Umr Ne inkar kr dia
Aitiraz ye he k
kya ye Nafrmani nhi he?
Inka inkar is liye tha k kaheen Huzur Hzrat Ali ki Khilafet na likh den
Hadees e Qirtas
1@
Hadees e Qirtas ki bina pr Aitiraz k Hazret Umer ne Kaghaz Dawat na la kr Rasulullah k Hukum ki Mukhalifat ki
Agar ye bilferz Maasiyet hy to is may Hzret Umer Munfarid nhi bal k is Maasiyet may Tamam Ehl e Bait B Shareek hain.
Q K kaghaz o Dawat kisi ne bhi La kr nahi Di.
Masnad e Imam Ahmed
J-1 p-90 pr
Hazre Ali ka Qoal maojud hay
jiska Mafhum ye hay k Huzur ne Mujhey Hukum dia k may 1 Tabaq lay kr Aaun jis pr Aap kuch likhen gay.
Aur mujhey ye khadsha huwa k Huzur is k bad Parda farma jaen gay
May na laya Or kaha
may isay Hifz kar lunga
Pas Hazrat Ali B is muamlay may mut'tafir hain
Hadees e Qirtas
2@
Hzret Umer ka Qalam Or Kaghaz ka na lana kisi Inaad o Maasiyet ki Bina pr na tha
Bal k inka Maqsad ye tha k Huzur ko Dard se Shadeed Takleef ho rahi hy
Or is Halet may likhwaney se Kaheen Apko Ziyad Takleef na ho jaey
Is liye Hzrat Umer ka ye kehna
"Hasbuna Kitabulla"
Ham ko Kitabullah kafi hy, Huzoor se Shadid Muhabbat Or Apko Takleef ki Shiddet se Bachaney k liye tha.
Jis Tarh Hazrat Ali ne Suleh Hudaibia k Moqey pr Huzur ka Hukum na Mana
Jab k Huzur ne Hukum dia
k Ay Ali
Muhammadur Rasulullah Kat kr
Muhammad bin Abdullah
likho
magar Hzrat Ali ne Tazeem Or Muhabbat ki Bina pr Na Kata
Hadees e Qirtas
3@
Hazret Umer ka ye Guman tha k Huzur Karim is weqt tak parda na Farmaen ge jab tak Tamam munafiqeen ko Tah e taigh na kar lain.
Or Faras o Room per Islam k Jhanday na Ghaar dain.
In ka khayal tha k is weqt Huzur ne Nahi likha to koi bat nahi, Tandurust honey k bad likh dain gay. Is tojeeh ki Taeed "Tabaqatul Kubra J-2 P-244 az Imam Waqdi ki is Riwayet se hoti hay k
Jab Huzur Pak ne Marz may Kaghaz o Qalam mangwaya to Hazret Umer ne kaha k
Fulan, Fulan aur Room k Shehron ka kia hoga. Jab tak ham in Shehron ko Fatah na kar lain Huzur Parda na farmaen gay.
Is Hadees se Wazeh hay k Hazrat Umar ka Guman tha k Huzur abhi parda na farmaen ge pas Jaldi ki kia zarurat hay k shadid marz may Apko likhwaney ki Zehmat de jaey.
Hadees e Qirtas
4@
Kaee Mawaqey aisay hain k
Huzur k Faislay k bad Hzrat Umer Apni Raaey Paish farmatey.
Agar Raaey Durust hoti to Huzur Qabul farmatey
(Maslan Nalaen pak day kar Hzrat e Abu Huraira se Kalma e Shahadat per Jannat ki Basharat ka Hukum Hazrat Umar k Mashwarey per k Log Amal se Ghafil Ho jaen gay. Huzur ne Raaey Qabul Farma li)
Aur isee tarah Huzur se Hzrat Umer ki Raaey Qabul na farmana bhi Sabit hay
(Maslan Sulah e Hudaibia aur Ibn e Abi salul Munafiq ki Namaz e Janaza k moqey pr Hazrat Umer ki Raaey ko Qabul na farmaya gaya)
Agar is moqey per bhi Raaey Ghalat thi to Huzur is ki Tardeed farmatey aur itnay eham Umoor ko likhwana na chortey. Agar Huzur ne Ehm umur ko Choar diya to ye
Al Ayazo billah
Mansab e Nabuwwat o Risalat k Khilaf hy.
Hadees e Qirtas
5@
Jin logon ne
Qalam o Kaghaz
la kr nahi dia in per Huzur ne koi Itab na kia na koi Saza d na in ki Taghleet o Tardeed ki.
Han us Ghalti per Zarur Toka k Nabi k pas beath kar Behas karna Munasib nahi.
Agar Qalam o Kaghaz na lana Ghalat hota to is pr bhi zarur Tok Daitay.
Hadees e Qirtas
6@
Surae Maaida Aayet 67
"jo kuch Ap k Rab ki Taraf se Nazil kia gaya hy isko puhncha deejye Or agar Ap ne Aisa na kia to Aap ne Kaar e Risalet Anjam na dia"
Pata chala Huzur Pak jo Cheez Likhwa rahey they agar wo Deen o Shariyet ki Zaruri o Naguzeer cheez thi to Hzrat Umer to kia Sari Kaainat B Mukhalifat karti Aap is ko Tarak na farmatey.
Jis tarah sakht mukhalifat, Dhons Or Zarar Rasaniyan Huzur ko kabhi izhar e Haq se na Rok sakeen.
Hadees e Qirtas
7@
Huzur Is Waqiey k bad 4 Din Baqaid e Hayat rahey.
Pas jis cheez ka likhwana zaruri hota to in Bad k dinon may Ap Zarur likhwa daitay.
Buhat si Riwayat milti hain k in 4 Ayyam may Huzur k marz may takhfeef ho gaee thi neez in ayyam may Muta'addid Ehkam Sabit hain.
Naguzir hota to Ap in ayyam may likhwatey wagarna km az km Zubani he wo bat irshad farma daitay.
Pata chala k Hzret Umer k Jawab se Huzur Pak kulli Mutmain or beniyaz ho gaey
Hadees e Qirtas
8@
Agar ye koi Eham cheez nahi thi aur Waqiyatan aisa he tha jaisa k Dalaail diye gaey to Hazret Umer per Aitiraz ki koi wajah nahi.
Q K Hazrat Umer ne Aik Gair Eham cheez k liye Shiddat e Marz may Nabi Pak alaeh salam ko Zehmat daina Munasib na Samjha.
Hadees e Qirtas
9@
Pehley Huzur Pak ne Apni Ummat per Shafqat ki khatir ya kisi aur Sabab kuch likhwana chaha
Lekin phir Bad may
Wahee k Zarye
ya
Ijtihad se
Aap per ye Munkashif huwa
k is Cheez ka na likhwana he Behtar hay,
Pas Aap ne na likhwaya.
Hadees e Qirtas
10@
Shariyet may jo Ehkam Aa chukey hain Huzur in he ki Takeed may kuch likhwana chahtey they.
Jb Hzrat Umer ne kaha
"Hasbuna Kitabullah"
To Huzur ne Ab Is takeed ki zarurat mehsus na ki.
Q k hzrat Umer k is Qoal se Ye Murad thi k Huzur Hm Ap k bad Bey Yar o Madadgar nhi rahen gy
Hm Ap k Tarbiyat yafta hain Ap k bad Noor e Nabuwwat, Hadees o Sunnat ki Roshni may Kitabullah se Deen ko jari rakheney ki Salahiyet rakhtey hain.
Warna Aghyar to keh dain gy k Ap to Deen ko khatam kr k ja rahey hain.
Yani Lubb e lubab ye k
Ye jumla Huzur k haq may tha
k Huzur Ap ne Haq Ada farma dia.
Aur Huzur k Sukut farmana is Bat ka ghammaz hy k Huzur ko Itminan khatir hasil ho gaya k
Ye Hzraat Deen pr Raasikh o Sabit hain.
Ab Mazeed kisi cheez ki zarurat nhi
Hadees e Qirtas
11@
Shiyon ka kehna k
Huzur
Hzrat Ali ki Khilafet k Barey may likwana chahtey they
is liye Hzrat Umar ne Mukhalfat ki
Ye Sirf Bey Bunyad Mafruza hy.
Is pr koi Daleel nhi
K Huzur Amar e Khilafat k Barey may kuch likhwana chahtey they.
Agar bil farz Amar e Khilafat he likhwana tha to ye kaisay Lazim Aaya k Ap Mola Ali he k Barey may likhwana Chahtey hon?
Ye B to ho sakta hy k Ap Hzrat Abu Baker k barey may likhwana chahtey hon.
Or Qaraain se yahi Sabit hy
Q k Huzur ne
Hzrat Abu Baker ko Apna Khalifa e Haj Banaya.
Or Huzur k Qoal, Faeal or Taqreer se Hzrat AbuBakar ki Imamet Sabit hy
Neez Aksar Riwayat may yahi hy k Huzur ne Kaghaz o Qalam mangwaney ka
Hzrat Abdur Rehman bin AbuBakar se Farmaya tha
Pas Wasiyyet Aqrab AbuBakar he pr Qarina hy
Hadees e Qirtas
12@ Last
Muslim j-2 p-273
Bukhari j-2 p-846 & 1072
may
Hazrat Aaisha se Marwi k Huzur Karim ne Apni Alaalet may mujh se farmaya k
"Apnay Bap (Abu bakar) or Bhai ko meray pas Bulao k may ineh (Amr e Khilafet) Likh kar day dun.
Q K Mujhey Khadsha hy k koi Tamanna karney wala (Khilafet ki) Tamanna karey ga or Musalman AbuBaker k Siwa kisi ko nhi Qabul karen gay"
Yahi wajah hy k Hzrat Ali ne Hzrat Abu Bakar k Intikhab k Weqt Farmaya k
"Ham Apni Duniya ki Imamet k liye us Shakhs per Raazi ho gaey jis ki Hamarey Deen ki Imamet per Rasulullah Raazi Ho chukey they.
(Al Isteab j-2)