Update
Loading...
Tuesday, 25 June 2013

Fazaile Darood O Salam



#1
Fazaile Darood O Salam

Bay-Shak ALLAH Aur Uss K Farishte Nabi Alaihissalam Per Darood Bhejte Hain
Ay Eimaan Walo !
Tum Bhi khoob Darood O Salam Bhejo.

33-Al_Ahzaab V # 56

Jab Yeh Aayat Nazil Houi To Sahaba R.A Ne Arz Kia
Ya Rasool ALLAH
Aap Sallallaho alaihiwasallam Per Salam Bhejna To Hum Seekh Chukay Yaani
(Atthiyaat Main Jo Salam Hai)
Lekin Aap Per Darood Kay Say Bhejain ?
Aap Ne Farmaya: Youn Kaho ! Yaani
Darood E Ibrahimi

Bukhari Wa Muslim
Is Darood Ko Parhne Ka Hukum
Diya Wo Daroode Ibrahimi Parhna Hai. Jo k khas Namaz k liye hai.

Al Quran
Attaat Karo ALLAH Ki
Attaat Karo Rasool Sallahoalaihiwasallam Ki

Cont...    
#2
Fazilate Darood O Salam

Jis Din In K Moun Aag Main Ullat Diye Jain Gay Kahain Gay:
"Ay Kash ! Hum Ne ALLAH Or Rasool Sallallahoalaihiwasallam Ka Kaha Mana Hota"
Or
Kahain Gay:
"Ay Hamaray RAB !
Hum Ne Apne Sardaron Or Badon Ka Kaha Mana So Unnhon Ne Hamain Gumrah Kia Ay Hamaray RABab ! In Ko Dougna Azaab Day Or In Per Badi Laanat Ker"

33-Al_Ahzaab V # 66-68

Ab Jin Logon Ne apne mullaon k kahe pr Jhootay Or Man Gharat Darood O Salam Eijaad Krne Ilzam Musalmano pr lagaya Or ki nafarmani Ki Haq Mane se inkar Kia...?

Jo Cheeze Tumharay RAB Ki Taraf Se Tum Per Uttri Hai (Sirf) Iss Ki Ittaba Karo Or ALLAH Ko Choar Ker Dosray Doston Ki Taabay-Dari Na Karo aur daro Allah se.

7-Al_Airaaf V # 9
     
#03
Hazrat Nafeh Bayan Karte Hain Ke Ibne Umar Ka Mamol Tha Ke Jub Bhe Kahe Se Ate Tu Huzoor Ke Rooze Per Hazri Dete Aur Yea Kalme Kahte
"Ya Rasool Allah Asalam Alaikh Yea Abba Baqar Aasalam Alaik"
{Musanif Abdur Razzaque Baab Salam 3/576 Raqam:6724,
Musanif Ibne Sheeba:3/28 Raqam:1893,
Sunan Alkubrah Behaqui:5/245 Raqam:10051}
Sabit Howa Yea Shahbi Ka Tareeqa Hai Hamara Aur Tumhara Nahe..

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved