Fatwa
FATWA
@01
Fatwa Ke Shar'yi Ma'ani
Shar'ayi Faisla,
Qawwi o Mudallal Hukam e Shar'ayi.
ALLAH Ne Qur'an Mey
"YAS'TAF'TUNAK" Farmaya;
Jiska Matlab
"Wo Aap Sey Fatwa Ma'lum Kartey Hen"
Haqeeqat Mey Sahaba
Ma'loom Huzur Sy Karty
Aur Fatwa ALLAH Ne Dya.
ISTAFTAA= Fatwa Ma'loom Karna.
IFTAA = Fatwa Dena.
Dour e Risaalat My
Huzur Ki Gair Mojudgi My
14 Sahaba Fatwa Dya Karty
Jab Huzur Mojud Hoty
To Aapke Siwa Koi Fatwa Na Deta
Siwaye e Hazrat Abubakar Key
FATWA
@02
Fatwa Dena Buhat Eham
Zimmey Daari Hey
Haqeeqat Mey
Ye Mujtahid Ka Kaam Hey
Jo Qur'an, Hadees, Ijma Aur Qiyas Sey
Suwal Ka Jawab Deta Hey
Phir Iske Baad
Mufti e Naaqil Jo Ke
Mujtahid Ka Qoul,
Mash'hoor o Mo'tabar Kitabon Sey
Naqal Karey.
Jadeed Masaail
Aur Naye Halaat Mey
Masaail Ko Tafakkur o Tadabbur Sey,
Baidaar Maghaz Ho Kar,
Apney Zamaney Ke Halaat Sey
Baa Khabar Aur Infiradi o Ijtimayi
Masail Ko Paish e Nazar Rakhtey Huwey
Sirf Manjhey Huwey Aalim Ko
Jo Fatwa Deney Ka Ehal Ho
Usi Ko Fatwa Ka Haq Hey.
Gairr Mufti Ko Fatwa Dena Bhi Haraam
Aur Usey Mufti Kehna Bhi Haraam Hey.