Update
Loading...
Thursday 4 July 2013

ZAKAAT



ZAKAAT
@01

Zakaat Ki Ta'reef;

Zakaat Shariyat Ki Janib Se Muqarrar Karda
Us Amal Ko Kehty Hen
Jis Sy Apna Nafa Har Tarah Sy Khatam Karny Ke Baad
Raza e Ilahi Ke Lye Kisi
Musalman Faqeer Ki Milkiyat Me De Dya Jaye Jo Na To Khud Haashmi Ho
Aur Na Hi Kisi Haashmi Ka Azaad Karda Gulam Ho.

ZAKAAT
@02

Aur Wo Falah Patay Hain Jo Zakat Ada Kartay Hen.
(Sura Al Mominoon Aayat#4)

Jo Zakaat Na Dey
Uski Namaz Qubool Nahi
(Al Mojamul Kabeer H#10095)

ZAKAAT
@03

ZAKAT 2Hijri Me
Ramzan Ke Rozo'n Se Qabal Farz Hui
-DURR.E.MUKHTAR >3/202

IsKa Munkir Kafir,
Aur Na Dene Wala Faasiq Hy
-Bahar-e-Shariat >5/874

ZAKAAT
@04

Zakat Na Deny Walo Pr
AAQA Ne La'nat Farmayi
-Ibne Khuzema >4/8

Kafir,Bad Mazhab Ko
Zakat Dena Haram,
Zakat Ada Bi Na Hogi
-Fatawa Razvia >10/290

ZAKAAT
@05

Khushki o Tari Me Jo Maal Zaya Hota Hy,
Zakat Na Dene Se Hota Hy
(Muslim)

Jo Qoum Zakat Na Degi,
ALLAH Usy Qehat Me Mubtala Karega
(Mojamul Ausat)

ZAKAAT
@06

# Masaarif e Zakaat #

Qur'an Ne Zakaat Ke 8 Masaarif Ginwaye
Jis Me Sey
1 Masrif
"Moallifatul Quloob"
Zamana e Siddique e Akbar
Me Ba Ijmaa e Sahaba Saaqit Hogaya.

Baqaaya
7 Masaarif Ye Hen ;

1> Faqeer =
Jiske Paas Adna Cheez Ho
Lekin Wo Maalik e Nisaab Na Ho.

2> Miskeen =
Jiske Paas Kuch Na Ho

3> Aamileen =
Jinko Haakim Ne
Maal e Zakaat Wusool Karny Ke Lye Muqarrar Kya Ho.
Aamil Agar Ghani Ho
Tab Bhi Zakaat Le Sakta Hey,
Magar Khayaal Rahey
Ke Syed Na Ho

4> Ghulaam

5> QarazDaar

6> Musaafir

7> Mujaahideen e Islam

For More Details:
Read
Fatawa Razawiyya
And
Bahar e Shariyat

ZAKAAT
@07

"Zakaat Saadaat Par Haraam e Qat'ayi He"
(Meezan ul Kubra 2/13)
(Fatawa Razawiya 10/99)

Jahaiz Ki Asal Malik Aurat Hy
Lihaza Iski ZAKAT Wohi Degi

ZAKAAT
@08

@QEEMAT@

7.5 Tola Sona (Gold)
Ya 52.5 Tola Chaandi (Silver)
Ya Iski Miqdaar Raqam
Jo Zaruriyaat Ke Elawa Ho
Us Par Zakaat Waajib Hey

Misaal Ke Tour Par ;
Agar 100 Rupey Ka Aata Khareed Kar
Kisi Ko Zakaat Ki Niyyat Se
De Dya Jaye Zakaat Adaa Ho Jaye Gi.
Raqam Adaa Karna Zaruri Nahi

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved