Update
Loading...
Thursday 4 July 2013

Urs



%01

Q.Kya ALLAH K Walyo Ka Saal Me Din Muqarrar Krna Jaaiz He?

A. Ibne Abi Shaiba (RadiyALLAHu Anhu) Raawi Hen K
SARKAR (alehisalatuwassalam) Har Saal Shohada K Mazaraat Pr Jaa Kar Unhen SALAM Karte
Aur NABI Ki Sunnat Ki Adaigi K Lye Chaaron KHALIFA Bi Aisa Hi Krte
(Muqaddma SHAMI J1)
   

%02


"Hazrat ABDULLAH BIN MAS'OOD (Radi ALLAHU Anhu) Logon ko Her JUMERAAT k Din Naseehat Kartay thay".



(Saheeh Bukhaari,

Kitaab Ul Ilm,

Jild: 1,

Hadees: 70).



Is Hadees se Maloom huwa k Nafli Ibadaat k liye Apni Sahoolat se Din Muqarrar Karna Jaiz hay Aur Ye Taiyyun Sharai'i nhi, 'Urfi' hay.

Jesa k Aaj Kal Namazun k Auqaat Ghariyun k Hisaab se Muqarrar Karliye Jatay hain,

Isi tarah Nafli Sadqaat o Kheraat k liye Musalmaan Apni Sahoolat k liye Soyam, Chaaliswan Aur Barsi ka Taiyyun karletay hain,

Ya Mahfil e Melaad o Urs wagheerah k Iniqaad k liye Din Muaiyyin Karlena,

Ya Nikah o Valima k liye Apni Sahoolat k Mutaabiq Koi Din Muqarrar Karlen to Ye Jaiz hay Aur ye Taiyyun Urfi hay aur Isko Najaiz o Bid'at Kehna Khud Najaiz hay,

Taham In Tareekhun ko Zaroori o Taiyyun e Shara'i smjhna Aur Dosri Tareekhun mæ In Kamo ko Najaiz smjhna Bid'at aur Haraam hay.

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved