Update
Loading...
Tuesday, 2 July 2013

TARAWEEH



TARAWEEH
@01

Taraweeh Hamare
Pyare Nabi Ki Sunnat Hy.
Isky Suboot Me Ba'Kasrat Ahadis Mojud Hen
Mah e Ramazan
Me Namaz e Isha Ke Baad
Parhi Jany Wali
Namaz Ka Naam Taraweeh Hy
Aur Iski 20 Rak'at Hen

Ye Namaz
Sunnat e Moakkada Hy
Aur Iska Chorna Jaaiz Nahi.
(Durre Mukhtar J#2 P#493)

TARAWEEH
@02

Nabi Paak Sy Taraweeh Ka Jama'at Sy Parhna
3 Baar Saabit Hy.
(Abu Dawod V1 P#190)
(Nisai V1 P#238)
(Tirmizi V1 P#99)
(Ibne Maaja P#94)

NABI Paak Alahissalam
Ne Ye Farmaty Hue Ke Mujhe Khouff Hy
Ke Taraweeh Tum Par Farz Na Kar Di Jaye, Jama'at Tark Kardi
(Bukhari V1 P#269)
(Muslim V1 P#259)

TARAWEEH
@03

Q.Kitni Rak'at Taraweeh Sunnat He?

A.
Hazrat Abdullah Ibn e Abbas RadiyALLAHu Anhu Raawi Hen Key Sarkar Alaihissalatu Wassalaam Ramazan Me
Witar K Ilawa 20 Rak'at Ada Farmatey
(Tibrani Ausat J1 P#444)
(Behiqi P#42)
(Musanif Ibn e Abi Shaiba J2 P#394)

Hazarat e Umer, Usman O Ali
Ridwanullahi Alaihim Ajmayin Ke Dour Me Bi Yahi Raaij Tha
(Mo'ta Imam Maalik, Behiqi)

Iske Elawa Imam Tirmizi Ne J1 P#139 Par Bhi Is Baat Ki Taayid Ki

TARAWEEH
@04

# 8 Ya 20 #

20 Rak'at Namaz e Taraweeh Huzoor Alaihissalam Ki Sunnat Hey
(Behqi V2 P#496)
(Qyam ul Lail P#91)
(Tirmazi V1 P#112)

"Hazrat Umar RadiyALLAHu Anhu Ke Zamaney Men Loug Ramadan Men 20 Rak'at Namaz e Taraweeh
Aur 3 Witar Parhty Thy"
(Behiqi V2 P#496)
(Mou'ta Imam Maalik H#98)

TARAWEEH
@05

Dour e Farooqi Me
Taraweeh Ki 20 Rak'aten Hi Parhi Jaatin
(Behiqi V2 P#699 H#4617)

Imam Qustalani Farmaty Hen;
Dour e Umar e Farooq Ki Taraweeh (20 Rak'at)
Misl e Ijmaa Ke Hy
(Irshad Us Sari V4 P#578)

TARAWEEH
@06

Ibne Abi Sheba Ne
Apny Musannaf Me
Ibne Abbas Se Riwayat Kya;
Nabi Alaihissalam
Ramzan My 20 Rak'at Taraweeh o Witar Parha Krty.

Is Hadees Ko
Ibn e Humaid Ne
Apne Musnad My,
Tabrani Ne Moajam My,
Behaqi Ne Sunan My Riwayat Kya

Ye Hadees
20 Rak'at Taraveeh
K Masnun Hone
Pr Bayyan Suboot Hy

TARAWEEH
@07

Saaib Bin Yazeed;
Hum Hazrat Umar Ke Zamany My 23 Rak'at Parhty
(20 Taraweeh+3 Witar)
(Bahiqi 4/61)

Yazeed Bin Roman;
Hum Hazrat Umar Ke Zamany My 20 Rak'at Parhty
(Mou'ta Imam Malik)

Aaj Bi Dunya Ke 98% Log
20 Rak'at Hi Taraweeh Parhty Hen
8 Rak'at Parhny Waly Aatty Me Namak K Brabar Hen

TARAWEEH
@08

Wahabi 8 Rakat ki Daleel Bukhari Etc Sy Ye Laaty Hen
Ke Amma Ayesha Farmati Hen;
Nabi Paak AlaihisSalam Ramzan o Gaire Ramzan Me 11 Rak'at Parhty Thy
Lihaza Is Sy Sabit Hua
3 Witar o 8 Taraweeh Hui.

Jawab;
Ye Hadees Tahajjud Ke Lye Hy, Kyunke Alfaz
"Ramzan o Gair e Ramzan"
Is Baat Ko Sabit Karte Hen
Ke Namaz Ramzan Ke Elawa
Bhi Parhi Jaati Thi
Jabke
Taraweeh Ramzan Me Hi Parhi Jaati Hy.
Aur Tahajjud K Lye Sona Shart, Taraweeh Ke Lye Nahi.

TARAWEEH
@09

#Dusra Jawab#

Wahabi Is Hadees Me
Bila Daleel Apni Taraf Sy
Lafz Namaz Ke Sath
'Taraweeh' Ka Lafz Barhaty Hen
Jo Hadis Me Tehreef Ke Saath Iska Mazaq Bi Hy
KyunKe Wahabi Tarjuma Ki Waja Sy
Amma Ayesha Ke Qoul Ka Matlab Ye Hua
Ke Sarkar Pure Saal
8 Taraveeh+3 Witar Parhty Thy
Jo Ke Galat Hy

TARAWEEH
@10

#Teesra Jawab#

Is Hadees Ke Aakhir My Vitar Parhny Sy Pehly So Jaty
Ke Saath Ye Alfaz Bi Hen Ke
"Aye Ayesha!
Meri Aankhen Soti Hen,
Magar
Mera Dil Jaagta Hy"
Ye Jumla Bi Is Namaz Ke Tahajjud Hone Ki Taraf Ishara Hy.
(Bukhari V1 P#154)
(Muslim V1 P#254)
(Abu Dawood)
(Nisai)
(Tirmizi)

TARAWEEH
@11

Gair Muqallideen Wahabiyon
Ke Imam Ibne Timiya
Ne Apni Kitaab
(Minhajus Sunnah V4 P#220)
Me Likha
"Behaqi Ne Sahi Asnad Ke Saath Riwayat Kya Ke
Sahaba
Hazrat Umar Ke Dour Me
20 Rak'at Taraweeh Parha Karty
Isi Tarhan
Hazraat e Usman o Ali Ridwanullahi Alaihim Ajmain
Ke Ehad My Parha Karty

TARAWEEH
@12

Wahabiyo Ke Ek Aur Peshwa
Nazeer Hussain Dehalvi
Ke Baarey Me Mash'hur Hy
Ke Wo
1 Khatm e Qur'an
Taraweeh My Suntey
Aur
1 Namaz e Tahajjud My Sunty Thy
Lihaza Agar
Taraweeh Aur Tahajjud
1 Namaz Hy
To Molvi Nazeer Hussain
Alag Alag Parh Kar
Bid'at Fiddeen Ke
Murtakib Huey Ya Nahi?

TARAWEEH
@13

#CHALLANGE#

"Najd" Se Lekar
"Mureed Key" Tak
Ke Tamam Wahbi Hazraat Ko!!

Ke Ek Sahee Hadees Dikhayen
Jis Me Ye Alfaz Hon
Ke
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam
8 Rak'at "Taraweeh" Parhty They
Ya Uska Hukm Farmaty They
Ya Sahaba Karam Ne 8 Rak'at Taraweeh Daayimi Tour Par Qayim Farmayi

TARAWEEH
@14

#GHOUR TALAB BAAT#

6,10,15,20
Roza Taraweeh Parhna
Kya Dour e Nubuwwat
Ya Doure Sahaba My Tha
Nahi.. To
Aaj Wahabi Deobandi
Kyun Parhty Hen?

Inke Hisab Sy To Ye Bid'at He Na??

Jabke Hum Sunni To Is Hadis Par Amal Karty Hen
Ke
Jo Islam Me Acha Tariqa Nikaly To Us Par Sawab Hy
(Muslim)

TARAWEEH
@15

Q.Taraweeh Me Jaldi Jaldi Qur'an Parhna Kesa Hy?

Ans.
Aaj Kal Aksar Huffaaz Is Tarah Parhty Hen Ke Madd Ka Adaa Hona To Bari Baat Hy
"Yalamuna",
"Talamuna"
Ke Siwa Kisi Lafz Ka Pata Bhi Nahi Chalta,
Halaanke Is Tarah
Qur'an Parhna Sakht Haram Hy
(Bahare Shariat Part#3 P#115)

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved