Update
Loading...
Tuesday, 2 July 2013

-Takabbur-






-Takabbur-
#1
Takabbur ka ilm seekhna FARZ hy.
(Mulakhasan:
Razavia:23/624)
>Takabbur kia hy?
>Takabbur ki alaamaat kia hen?
>Takabbur sy kesy bachen?
See Next.

-Takabbur-
#2
*Takabbur kia hy?
Ans:1
Nabi
SallALLAHu Alehi WaSallam ne farmaya:
Takabbur HAQ ki mukhaalifat or logon ko haqeer jan'ny ka naam hy.
(Muslim: H91)

-Takabbur-
#3
*Takabbur kia hy?
Ans:2
"Takabbur ye hy ky insaan apny aap ko doosron sy afzal samjhy."
(Al Mafradaat-e-Raaghib, P#697)
Plz forward.

-Takabbur-
#4
AL-QURAN:
"Beshak Wo (ALLAH) Maghrooron ko pasand nahin farmaata."
(Paaraa#14,
Surah-e-Nahal,
Aayat#23)
Plz Forward.

-Takabbur-
#5
Hadees-e-Paak:
"ALLAH (Azzawajal) Mu'ta'kabbireen (Magrooron) aur Itraa kar chalny waalon ko Naa pasand farmaata hy."
(Kanz-ul-umaal,
Hadees#7727)

-Takabbur-
#6
Hadees:
"Jo Takabbur ki waja sy apna Tahband latkayega ALLAH Ta'ala qiyamat k din us per
Nazr-e-Rahmat na farmaayega."
(Sahi Bukhari;
Hadees#5788)

-Takabbur-
#7
Nabi AlehiSalam Ne Farmaya:
Jis k Dil mein raayi k daany jitna bhi Takabbur hoga
Wo JANNAT mein dakhil na hoga.
(Sahi Muslim,
Kitab-ul-eman
H#147)

-Takabbur-
#8
Takabbur Ki Alaamat # 1:
Is baat ko pasand karna k log mujhy dekh kar ta'azeeman khary hojayen ta k doosron per meri
Shaan-o-Shokat ka izhaar ho.
(AlHadiqatun Naddiyah:1/583)
Hadees:
Jiski ye khushi ho k Log meri ta'azeem k liye khary rahen,
Wo apna thikana Jahanum main banaye.
(Trmizi:2764)

-Takabbur-
#9
Takabur Ki Alaamat # 2:
Kisi ki mulaqat k lye khud chal kr jany me zilat samajna
is bat ko pasand krna k 2ra mujsy khud milny aye(Hadiqatu Nadiya)

-Takabbur-
#10
Takabbur Ki Alaamat # 3:
Marizon, Maazuron or Gharibon ko Haqeer janty huwy unky paas bethny sy Ijtinaab karna.
(Al Hadiqatun Nadiya, J#1,
P#585)

-Takabbur-
#11
Alaamat#4:
Kisi ko haqeer janty hue SALAM me pahal na krna balky dosry islami bhai se Tawaqo rkhna k ye mujhy salam kary
(Mulakhasan
Ihyaul.Ulum)

-Takabbur-
#12
Alaamat # 5:
Apny Maatahat yaan kisi or islami bhai ko haqeer jaan kr Us sy
Mu,sa,fahaa karny
(hath milaany) ko Naa pasand karna.
(Takabbur, p32)


-Takabbur-
#13
Alaamat # 6:
Kisi Mu'azzim-e-Deeni ki ta'azeem k liye khara hony ko gawara Naa karna.
(Takabbur, p33)
*-Kahin ham bhi tou Aisy nahin..??-*

-Takabbur-
#14
Alaamat # 7:
Apna Qusoor hoty hue bi Galati tasleem na krna or muafi maangny k liye taiyyar na hona.
(Takabbur, p33)
?
Kahin ham bhi to esy nhi?

-Takabbur-
#15
Alaamat # 8:
Kisi ki naseehat yaan mashwara qabool karny main zillat mahsoos karna.
(Ihya-ul-uloom;
J#3, P#422)
<Kahin ham bhi tou esy nahin?>

-Takabbur-
#16
Alaamat#9:
Hr 1 se bahas kr k ghalib any ki koshish krna,
dosry ki durust bat ko galat or apni galat bat ko sabse behtar tasawur krna.(tkabur:33)

-Takabbur-
#17
Alaamat # 10:
Har waqt doosron k muqaabily main apni bartari k pehloo talaash karty rahna.
(Ihyae Uloomu ddeen, j1, p430, mulakhasan)
Plz 4rwrd.

-Takabbur-
#18
Alaamat # 11:
Kam qeemat libaas pehen'ny main sharam mahsoos karna k log kiya kahengy.
(Al Hadiqatun Nadiya, j1,
p586)
Kahin ham bhi to esy nhi ?

-Takabbur-
#19
Alaamat # 12:
Ameeron ki daawat me poory ehtimam sy shareek hona,
Or
Ghareebon ki daawat ko siry sy qabool hi na krna.
(Alhadiqatun Nadiya:1/586)

-Takabbur-
#20Last
Apko 19 msg bhejy gaye Takabur ki mazamat or Alaamaton par.
Mazeed parhen buk:
"Takabbur"
(Maktabatul Madina)
Ya ALLAH Hamen Takabur se bacha

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved