Update
Loading...
Thursday 11 July 2013

AFZALLIAT E SHAIKHAIN



#1
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN(ABU BAKR O UMER)"
Ahlay sunnat ka ye ijmai aqida hay k HAZRAT ABU BAKR aur HAZRAT UMAR ANBIA k ba'ad sb say afzal hein. Lekin shia zehniat k loag jo TAFZEELI firqa say ta'alluq rakhtay hein wo ye dhoka daitay hein k KHILAFAT mei afzal HAZRAT ABU BAKR hein jb k WALAYAT mein sb say afzal MOLA ALI hein. Jb k Haqiqat ye hay k
HAZRAT ABU BAKR khilafat ki waja say afzal nai balkay AAP pehlay khalifa hi isi liay banay thay k AAP sb say afzal thay aur is per tamam sahaba ka ijma tha.
Is series mein ahadees, ijma, aur khud MOLA ALI k irshadaat say KHILAFAT say pehlay SHAIKHAIN ki afzalliat sabit ki jay gi.
ALLAAH PAAK qabool farma'ay. "ZARB-e-RAZA"

Msg#2
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
Hadees paak ka mafhoom
"HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) beemar huay to AAP (per bayhad darood aur salaam ho) nay HAZRAT ABU BAKR R.A. ko namaz perhanay ka hukam dia aur HAZRAT ABU BAKR R.A. nay HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) ki zahiri zindagi mein loagoun ko namaz perhai.
1. (BUKHARI,
HADEES#678, 679, 682, 3385)
2. (MUSLIM,
HADEES#948)
3. (TIRMIZI,
HADEES#3672) YE HADEES KHILAFAT SAY PEHLAY HAZRAT ABU BAKR KA SB SAY AFZAL HONA SABIT KRTI HAY.
Imam sayyooti nay is Hadees paak ko muttawatar likha hay.
(TAREEKH UL KHULAFAA,
Page#52) "ZARB-e-RAZA"

Msg#3
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
Next hadees paak ka mafhoom
"KISI QAOM KO YE ZAIB NAI DAITA K ABU BAKR KI MOJOODGI MEIN KOI AUR IMAMAT KRY"
(tirmzi,
Hadees#3673) is hadees ki sharah mein MULLA ALI QARI r.a. Likhtay hein k
"is hadees mein daleel hay k hazrat ABU BAKR SIDDIQUE tamam shaba say afzal hein. Phr jb afzalliat sabit ho gai to is k ba'ad khilafat ka haqdar hona khud bakhud sabit ho gya"
(MIRQAAT,
JILD#11,
Page#334) to sabit hua k HAZRAT ABU BAKR afzalliat ki bina per KHALIFA bnay na k KHILAFAT milny ki waja say afzal huay jesa k TAFZEELI shioun ka aqida hay jo khud ko AHLAY SUNNAT kehalwatay hein misaal k tor per Minhaj ul QURAN ka tahirul qadri. "ZARB-e-RAZA"

Msg#4
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
3rd hadees pak ka mafhoom.
"agr MAIN (AAP per bayhad darood aur salaam ho) tanhai mein kisi ko apna HABEEB bnata to ABU BAKR ko bnata"
(MUSLIM,
HADEES#6172, 6173, 6174)
(TIRMIZI,
HADEES#3655)
(IBN E MAJA,
HADEES#93) imam sayyooti nay is hadees paak ko MUTTAWATAR qarar dia hay.
(TAREEKH UL KHULAFAA,
Page#45) is hadees pak per ghor farmaein. Hazrat ABU BAKR ko KHUDA ki dosti k tarazu mein tol kr rakh dia gya hay aur INHEIN ALLAAH PAAK k ba'ad sb say pasandida aur mehboob shakhsiat qarar dia gya hay aur ye b KHILAFAT say bht pehlay ki baat hay. MULLA ALI QARI farmatay hein k
"ye hadees HAZRAT ABU BAKR k tamam sahaba say afzal honay ki zabardast daleel hay
(MIRQAAT,
JILD#11,
PAGE#283) "ZARB-e-RAZA"

Msg#5
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
H#4 ka mafhoom
.
Aik dafa hazrat Abu Darda r.a. HAZRAT ABU BAKR r.a. Say aagay chal rhy thay to RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay hazrat Abu Darda r.a. Ko mukhatib krty huay farmaya
"Tum us shakhs say aagay kion chal rhy ho jis say behtar shakhs per suraj tuloo nai hua ANBIA K BAAD"
(FAZAIL US SAHABA,
Hadees#137)
(ABU NUAIM,
Hadees#3159)
(TAREEKH UL BAGHDAAD,
Jild#12,
Page#438)
(MU'JAMAL AOUST,
Hadees#7306)
(MAJMA UZ ZUWAID,
Jild#9,
Page#24,
Hadees#14313) ab b koi agar HAZRAT ABU BAKR ko khilafat ki waja say afzal manay to tuff hay us ki aqal per. TAFZEELIO ye b khilafat say pehlay ki baat hay. Sabit ho chuka k ANBIA k ba'ad sb say afzal HAZRAT ABU BAKR hein, khilafat mein b, ilm mein b, walayat mein b, rohaniat mein b. "ZARB-e-RAZA

Msg#6
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#5 ka mafhoom.
Hazrat Umar r.a. Farmatay hein k
"ABU BAKR r.a. Hamaray aaqa o sardar thay aur hum sb say behtar thay aur hum sb say ziada RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) ko piyaray thay"
(BUKHARI,
Hadees#3668)
(TIRMIZI,
Hadees#3656)
(MUSTADRIK,
Hadees#4477) "ZARB-e-RAZA"

Msg#7
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
H#6 ka mafhoom.
.
Aik martaba RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay hazrat HASSAAN r.a. Say farmaya k tm nay ABU BAKR ki shaan mein kuch likha hay to Unhoun nay arz ki ji haan. Aur jo shair suna'ay us ka akhri misra ye tha k
"Logoan ko is baat ka ilm tha k HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) saari makhlooq mein kisi ko aap k brabar nai samajhtay"
(MUSTADRIK,
Hadees#4468 aur #4518)
Hazrat ALI r.a. Nay farmaya k ye shair sun kr HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) itna muskuray k AAP k pichlay daant mubarik nazar aanay lgy aur famaya
"HASSAAN tu nay sach kaha. ABU BAKR isi martabay ka maalik hay"
(SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#85) "ZARB-e-RAZA"

Msg#8
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#7 ka mafhoom
.
"MUJH (AAP per bayhad darood aur salaam ho) per tamam logoan say ziada ahsanaat ABU BAKR k hein"
(BUKHARI,
Hadees#466, 3654, 3904)
(MUSLIM,
Hadees#6170, 6171)
(TIRMIZI,
Hadees#3660) ghor farmaye k agar yehi alfaz MOLA ALI r.a. K baray mein hotay to TAFZEELI dhamaalein daalnay lag jatay. "ZARB-e-RAZA"

Msg#9
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#8 ka mafhoom
.
"HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay khutba irshad farmaya. Phr khutbay say farigh ho kr farmaya
"ABU BAKR kharay ho jao aur khitaab kro"
HAZRAT ABU BAKR r.a. Nay AAP (per bayhad darood aur salaam ho) say mukhtasar khitab farmaya. Phr jb HAZRAT ABU BAKR r.a. Khitab say farigh ho gay to HAZRAT UMAR r.a. Ko khutba dainay ka hukam irshad farmaya to HAZRAT UMAR r.a. Nay HAZRAT ABU BAKR r.a. Say b mukhtasar khitab farmaya.
(MUSTADRIK,
Hadees#4556)
IMAM SAYYOOTI kehtay hein k HAZRAT ABU BAKR r.a. Pehlay khateeb thay jinhoun nay ALLAAH aur US k RASOOL (AAP per bayhad darood aur salaam ho) ki taraf dawat di"
(TAREEKH UL KHULAFAA,
Page#33) "ZARB-e-RAZA"

Msg#10
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#9 ka mafhoom
.
"Kisi shakhs k maal nay mujhay itna fayda nai dia jitna fayda mujhay ABU BAKR k Maal nay dia hay"
1. (TIRMIZI,
Hadees#3661)
2. (MASNAD E AHMAD,
Jild#2,
Hadees#8811)
3. (FAZAIL US SAHABA,
Hadees#29)
4. (IBN E MAJAA,
Hadees#94) "ZARB-e-RAZA"

Msg#11
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#10 ka mafhoom
.
Hazrat saeed bin musayyab farmatay hein k
"RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) kisi ko hazrat ABU BAKR r.a. Say afzal nai samajhtay thay"
(MUSTADRAK,
Hadees#4463) "ZARB-e-RAZA"

Msg#12
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#11 ka mafhoom
.
Hazrat Abu Huraira r.a. Byan krty hein k RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay irshad farmaya
"AAY ABU BAKR TUM MERI UMMAT MEIN SB SAY PEHLAY JANNAT MEIN JAO GAY"
1. (ABU DAUD,
Hadees#4652)
2. (MUSTADRAK,
Hadees#4500) "ZARB-e-RAZA"

Msg#12
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#11 ka mafhoom
.
Hazrat Abu Huraira r.a. Byan krty hein k RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay irshad farmaya
"AAY ABU BAKR TUM MERI UMMAT MEIN SB SAY PEHLAY JANNAT MEIN JAO GAY"
1. (ABU DAUD,
Hadees#4652)
2. (MUSTADRAK,
Hadees#4500) "ZARB-e-RAZA"

Msg#13
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#12 ka mafhoom
.
AMMA AYESHA SIDDIQA r.a. Farmati hein k RASOOL Paak (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay apny marz e wisaal mein farmaya
"ABU BAKR aur apny bhai ko MERAY paas bula lao, ta k MAIN (AAP per bayhad darood aur salaam ho) tehreer likh doun. MUJHAY darr hay k koi khuahish krny wala khuahish na kry aur kehny wala kehta na phiray k main ziada haqdaar hun. Halaan k ALLAAH aur tamam momineen (yeni farishtay) ABU BAKR k siwa har kisi ka inkaar kr rhy hein"
(MUSLIM,
Hadees#6181)
Ullma farmatay hein k
"Is HADEES mein wazia tareen daleel mojood hay k HAZRAT ABU BAKR r.a. Tamam SAHAB E KARAAM say alal itlaaq afzal hein"
(TAREEKHUL KHULAFA,
Page#52,
BOOK AUTHOR: IMAM SAYYOOTI) "ZARB-e-RAZA"

Msg#14
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#13 ka mafhoom
.
Aik shakhs RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) ki khidmat mein hazir hua aur apna aik khuab sunaya to hazrat ABU BAKR r.a. Arz guzaar huay k main is khuab ki tabeer arz krun. Ijazat milny per tabeer farmai.
1. (BUKHARI,
Hadees#7046, 7000)
2. (MUSLIM,
Hadees#5929, 5928)
3. (ABU DAUD,
Hadees#4267, 4269, 4633)
4. (IBN E MAJA,
Hadees#3918)
Hazrat muhammad bin sereen r.a. Farmatay hein k
"Is ummat mein HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k ba'ad sb say ziada khuabaoun ki tabeer k mahir HAZRAT ABU BAKR r.a. Thay"
1. (TAREEKHUL KHULAFA,
Page#83)
2. (SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#34) "ZARB-e-RAZA"

Msg#15
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#14 ka mafhoom
.
Aik aurat RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k paas hazir hui to AAP (per bayhad darood aur salaam ho) nay usay phr kbi aanay ka hukam dia to wo kehnay lagi k agr main AAP (per bayhad darood aur salaam ho) ko na paun to? Jesay wo wafa'at ki baat kr rhi ho to AAP (per bayhad darood aur salaam ho) nay farmaya k
"AGR MUJHAY NA PAO TO ABU BAKR K PAS ANA"
1. (BUKHARI,
Hadees#722, 736, 3609)
2. (MUSLIM,
Hadees#6179, 6180)
3. (TIRMIZI,
Hadees#3676) "ZARB-e-RAZA"

Msg#16
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#15 ka mafhoom
.
Hazrat ABU BAKR r.a. Ko SIDDEEQ ka laqab ALLAAH ta'aalaa ki taraf say bazarya JIBREEL e AMEEN ata hua.
(MUSTADRAK,
Hadees#4460)
WALAYAT ka sb say bara martaba SIDDIQIAT ka hota hay. SIDDIQEEN say ooper ANBIA hotay hein. HAZRAT ABU BAKR ko "SIDDEEQ e AKBAR"kaha jata hay. Aur lafz "AKBAR" ism e tafzeel hay. "AKBAR" ka matlb hua
"SB SAY BARA".
Jesay "ALLAA HO AKBAR" ka matlb hota hay k
"ALLAAH SB SAY BARA HAY"
Bilkul aisay hi
"SIDDEEQ E AKBAR"
ka matlb hua
"TAMAM AULIA MEIN SB SAY BARAY SIDDEEQ HEIN" "ZARB-e-RAZA"

Msg#17
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#16 ka mafhoom
.
Aik dafa HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) logoan ko khitaab farma rhy thy, AAP (AAP per bayhad darood aur salaam ho) muttawajju huay to hazrat ABU BAKR (ALLAAH ap say razi hua) ko na paya to AAP (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay irshad farmaya
"ABU BAKR
ABU BAKR, MUJHAY jibraeel nay khabar di hay k MERAY ba'ad MERI ummat mein sb say afzal ABU BAKR hay"
(TIBRANI OOST,
Hadees#6448) "ZARB-e-RAZA"

Msg#18
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
16 AHADEES say HAZRAT ABU BAKR (ALLAAH ap say razi hua) ka khilafat milnay say pehlay ANBIA (sb per salaam ho) k ba'ad sb say afzal hona sabit kia gya hay.
Ab next is series mein wo ahadees paish ki jaein gi jis mein SHAIKHAIN (HAZRAT ABUBAKR AUR HAZRAT UMAR) ka ikhata zikar kia gya hay jis say SHAIKHAIN ki afzalliat sabit ho gi.
In shaa ALLAAH. "ZARB-e-RAZA"

Msg#19
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#1 ka mafhoom
.
RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay irshad farmaya
"MERAY ba'ad ABU BAKR aur UMAR ki pairvi krna"
(TIRMIZI,
Hadees#3662, 3663)
(IBN E MAJA,
Hadees#97) ye sb batein KHILAFAT e ZAHIRI milny say pehlay ki hein. TIBRANI k ilfaz ye hein
"MERAY ba'ad ABU BAKR o UMAR ki pairvi krna. Bayshak ye dono ALLAAH ki taveel rassi hein. Jis nay isay pakar lia us nay mazboot rassi ko pakar lia jo kbi nai toot skti"
Ye hadees kai sannadoun k sath riwayat ki gai hay.
(SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#77) "ZARB-e-RAZA"

Msg#20 (part 1)
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#2 ka mafhoom
.
MOLA ALI (ALLAH in say razi hua) say riwayat hay k
RASOOL PAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho)
nay irshad farmaya
"ABU BAKR o UMAR tamam aglay aur pichlay jannati boorhoun k sardar hein siwa'ay ANBIA aur RASOOLOUN k"
(TIRMIZI,
Hadees#3665, 3666)
(IBN E MAJA,
Hadees#95)
Aur MASNAD E AHMAD wali riwayat k ye ilfaz hein
"ABU BAKR o UMAR jannati boorhoun aur nojawanoun k sardar hein"
(MASNAD E AHMAD,
Jild#1,
Hadees#604)
Hazrat Shah Walli Ullaah likhtay hein k
"ye Hadees SHAIKHAIN ki afzalliat per bari wazia daleel hay aur is ko riwayat krny walay khud MOLA ALI (ALLAAH in say razi hua) hein"
(AZALATUL KHIFA,
Jild#1,
Page#316)
To b continue . . . . . . . . . . . "ZARB-e-RAZA"

Msg#20 (2nd part)
.
Aam tor per awaam ko sirf yehi hadees sunai jati hay k
"HASAN AUR HUSAIN JANNATI NOJAWANOUN K SARDAR HEIN"
Jb k SHAIKHAIN aur IMAM HASAN O HUSSAIN wali dono hadeesein in 3no kitaboun mein darj hein.
1. TIRMIZI,
2. IBN E MAJA
3. MASNAD E AHMAD.
Magar yaktarfa aur ghair muttawazan muhabbat nay tehqeeq ka hulya biqaar kr rakh dia hay. Ba'az munkireen ye sawala uthatay hein k Jb jannat mein hona hi sb nay jawan hay to phr boorhoan k saradar honay ka kia matlb?
Is ka jawab SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHALVI in alfaz mein daitay hein
"HADEES ka matlb hay k SHAIKHAIN un jannati logoan k sardar hein jo dunya mein burhapay ki halat mein foat huay aur isi terha ye nojawano k b sardar hein"
(ASH'ATUL LIL MIAAT,
Jild#4,
Page#664) "ZARB-e-RAZA"

Msg#21
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#3 ka mafhoom
.
Aik martaba RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) masjid mein dakhil huay, sath mein Hazrat ABU BAKR o Hazrat UMAR (ALLAAH in dono say razi hua) b thay. Aik RIGHT SIDE per thay aur dosray LEFT SIDE per. HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay dono k hath pakray huay thay aur farmaya k
"HUM QAYAMAT K DIN ISI TERHA UTHHEIN GAY"
(TIRMIZI,
Hadees#3669)
(IBN E MAJA,
Hadees#99)
(MUSTADRAK,
Hadees#4484) "ZARB-e-RAZA"

Msg#22
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#4 ka mafhoom
.
ALLAAH PAAK K RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay irshad farmaya
"Bay shak buland darjaat walay logoan ko un k neechay walay loag is terha daikhein gay jis terha tum chamaktay huay sitaroun ko aasman k uffaq mein bulandi per daikhtay ho aur bayshak ABU BAKR aur UMAR un mein say hein aur un sb say ziada inaam yafta hein"
(ABU DAUD,
Hadees#3987)
(TIRMIZI,
Hadees#3658)
(MASNAD e AHMAD,
Hadees#11212, 11219) "ZARB-e-RAZA"

Msg#23
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#5 ka mafhoom
.
HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay HAZRAT ABU BAKR aur HAZRAT UMAR (ALLAAH PAK in dono say razi hua) ko daikha to farmaya
"YE DONO KAAN AUR AANKH HEIN"
(TIRMIZI,
Hadees#3671) "ZARB-e-RAZA"

Msg#24
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#6 ka mafhoom
.
"koi aisa NABI nahin guzra jis k aasman mein 2 wazeer na hun aur zameen mein do wazeer na hun. Aasman mein MERAY (AAP per bayhad darood aur salaam ho) do wazeer JIBRAEEL aur MEEKAEEL hein aur zameen mein 2 wazeer ABU BAKR o UMAR hein"
(TIRMIZI,
Hadees#3680) "ZARB-e-RAZA

Msg#25
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#7 ka mafhoom
.
Aik dafa RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) so rhy thay. UNHOUN nay khud ko aik kunein (WELL) per daikha. Us per aik dol tha. Kunein say pani nikala jitna ALLAAH nay chaha. Phr Hazrat Abu Bakr nay pani nikala aur Hazrat Abu Bakr k ba'ad Hazrat Umar Nay dol nikalay pani k. HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay irshad farmaya k
"MAIN nay logoun mein say kisi sardar ko UMAR say behtar dol nikalny wala nai daikha"
(BUKHARI,
Hadees#3664, 7021, 7022, 7475)
(MUSLIM,
Hadees#6192) "ZARB-e-RAZA"

Msg#26
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#8 ka mafhoom
.
RASOOL E AKRAM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) aik dafa SAHABA e KARAAM ko waqia suna rhy thay k aik admi bail k oper baith kr usay haank rha tha to bail nay apnay maalik say kaha k MAIN IS LIAY NAI BNAYA GYA.
SAHABA e KARAAM nay bri hairangi say pocha k kia bail b baat krta hay? To RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay irshad farmaya
"MAIN is per imaan rkhta hun aur ABU BAKR O UMAR"
(BUKHARI,
Hadees#369)
(MUSLIM,
Hadees#6183) "ZARB-e-RAZA"

Msg#27
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#9 ka mafhoom
.
Hazrat Umroo bin Aas farmatay hein k main nay RASOOL E AKRAM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) say sawal kia k
"AAP ko logoan mein sb say ziada meboob kon hay?"
FARMAYA
"Aayesha"
Main nay phr pocha k mardoun mein kon sb say ziada mehboob hay to FARMAYA
"ABU BAKR"
Main nay mazeed pocha k phr in k ba'ad?
To irshad farmaya
"UMAR"
1. (BUKHARI,
Hadees#3662, 4358)
2. (MUSLIM,
Hadees#6177)
3. (TIRMIZI,
Hadees#3885) "ZARB-e-RAZA"

Msg#28
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Salaam. In 9 mazeed ahadees say ye baat roz e roshan ki terha wazia ho gai hay k ANBIA (sb per salaam ho) k ba'ad sb say Afzal HAZRAT ABU BAKR hein aur phr in k ba'ad HAZRAT UMAR sb say afzal hein. Aur isi afzalliat ki tarteeb ki waja say inhein khilafat b isi tarteeb say mili.
Ab is series mein next kuch ahadees wo paish ki jaein gi jin mei SHAIKHAIN k sath HAZRAT USMAN ka zikar b ho ga jis say HAZRAT USMAN ka shaikhain k ba'ad sb say afzal hona sabit ho ga.
In shaa ALLAAH.
Dua hay k ALLAAH PAAK QABOOL FARMA'AY. "ZARB-e-RAZA"

Msg#29
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#1 ka mafhoom
.
Hazrat Abdullah bin Umar farmatay hein
"hum NABI KAREEM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k zamanay mein logoan k darmayan afzalliat byan krty thay. Hum sb say afzal ABU BAKR ko kehtay thay phr UMAR BIN KHITAB ko aur phir USMAN BIN UFFAAN ko"
(BUKHARI,
Baab fadl e abi bakr ba din NABI,
Hadees#3655) "ZARB-e-RAZA"

Msg#30
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#2 ka mafhoom
.
Hazrat Abdullah Bin Umar farmatay hein k
"Hum NABI KAREEM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k zamanay mein ABU BAKAR k barabar kisi ko nahein samajhtay thay
Phr UMAR
Phr USMAN
Phr SAHABA ko chor daitay thay aur in k darmayan phr afzaliat nai daitay thay"
1. (BUKHARI,
Hadees#3697)
2. (ABU DAUD,
Hadees#4627) "ZARB-e-RAZA"

Msg#31
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#3 ka mafhoom
.
Hazrat Saalim apny walid say riwayat krty hein k
"Hum RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) ki zahiri hayaat e tayyiba mein kaha krty thay k NABI KAREEM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) ki ummat mein AAP (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k ba'ad sb say afzal ABU BAKR hein,
Phr UMAR
Phr USMAN
1. (ABU DAUD,
Baab fit tafdeel,
Hadees#4628)
2. (TIRMIZI,
Hadees#3707)
Aik riwayat mein hay k
"jb ye baat RASOOL E PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) tk puhanchti thi to AAP (AAP per bayhad darood aur salaam ho) inkaar nai farmatay thay"
1. (AS SUNNA lay ibn e abi aasim,
Hadees#123)
2. (AL MU'JAMUL KABEER lit tibrani,
Hadees#783)
3. (AL MU'JAMUL AUST lit tibrani,
Hadees#8702)
4. (MAJMUA UZ ZAWAID,
Hadees#14385) "ZARB-e-RAZA"

Msg#32
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#4 ka mafhoom
.
NABI KAREEM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay aik Khuab daikha k Hazrat ABU BAKR AAP (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k sath latkay huay hein. Hazrat ABU BAKR k sath HAZRAT UMAR aur HAZRAT UMAR k sath HAZRAT USMAN latkay kharay hein. Is ki ta'abeer ye hui k ye sath latakny walay isi tarteeb say khalifa hun gay us maqsad k liay k jo maqsad day kr ALLAAH PAAK nay apny NABI ko bheja tha.
(ABU DAUD,
Hadees#4636) "ZARB-e-RAZA"

Msg#33
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#5 ka mafhoom
.
Aik aadmi nay arz ki k
"YA RASOO'LALLAAH main nay khuab mein daikha k aasman say aik tarazu utra aur us mein AAP (AAP Per bayhad darood aur salaam ho) aur ABU BAKR ko tola gya to AAP (AAP per bayhad darood aur salaam ho) ka wazan ziada tha. Phr ABU BAKR aur UMAR ko tola gya to ABU BAKR ka wazan ziada nikla. Phr UMAR aur USMAN ko tola gya to UMAR ka wazan ziada nikla. Phr tarazu utha lia gya "
NABI KAREEM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay is ki ta'abeer khilafat e naboat say farmai. Phr ALLAAH jisay chahay ga mulk day ga.
1. (AL BAZAAR,
Hadees#1567)
2. (MAJMUA UZ ZAWAID,
Hadees#8917) "ZARB-e-RAZA"

Msg#34
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#6 ka mafhoom
.
HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay khuab mein daikha k HAZRAT ABU BAKR ko tarazu k aik taraf rakha gya aur baqaya ummat ko aik taraf to HAZRAT ABU BAKR ka palra bhari tha. Phr HAZRAT UMAR aur baqaya ummat ko tola gya to HAZRAT UMAR bhaari niklay. Phr HAZRAT USMAN aur baqaya ummat ko tola gya to HAZRAT USMAN bhaari niklay. Phr is k ba'ad tarazu utha lia gya.
(SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#71) "ZARB-e-RAZA"

Msg#35
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
In 6 ahadees per ghor krein. Badal badal kr any walay alfaaz nay dhandli ka har darwaza band kr dia hay. SAHABA ka ijma mojood hay k SHAIKHAIN k ba'ad HAZRAT USMAN sb say afzal hein. Aur in ahadees mein fil waqt MOLA ALI k chothay(4th) number k afzalliat per SAHABA K IJMAA ki nafi ki gai hay. Neez in mein un logoan ki tardeed b mojood hay jo MOLA ALI ko 3rd number daitay hein aur HAZRAT USMAN ko 4th number daitay hein. Pehlay 3 khulafa ko tarteeb say byan krny k ba'ad 4th number khud ba khud MOLA ALI ko mil rha hay.
Aur ye afzalliat b khilafat milny say pehlay ki hay. Tafzeeli Minhajioun k bhagnay k tamam rastay band ho chukay hein.
Ab
Next is series mein wo AHADEES paish ki jaein gi jin mein pehlay charoun khulafa ka zikar isi tarteeb say kia gya hay.
Dua hay k ALLAAH PAK qabool farma'ay. "ZARB-e-RAZA"

Msg#36
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#1 ka mafhoom
.
HUZOOR PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay farmaya
"ALLAAH Abu Bakr per rahmat kry, ALLAAH Umar per rahmat kry, ALLAAH Usman per Rahmat kry aur ALLAAH Ali per rahmat kry"
(TIRMIZI,
Hadees#3714) "ZARB-e-RAZA"

Msg#37
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#2 ka mafhoom
.
ASHRA MUBASHRA wali hadees mein b in 4OUN khulafa ka naam b afzalliat ki isi tarteeb per lia gya hay.
"ABU BAKR jannati hay,
UMAR jannati hay,
USMAN jannati hay,
ALI jannati hay
(TIRMIZI,
Hadees#3747) "ZARB-e-RAZA"

Msg#38
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
H#3 ka mafhoom
.
"ALLAAH paak nay meray SAHABA ko NABIOUN aur RASOOLOUN k siwa saray jahanoun per tarjeeh daitay huay pasand farma lia hay. Aur in mein say khasosan 4 SAHABA ko meray liay pasand farma lia hay.
ABU BAKR, UMAR, USMAN aur ALI. Inhein meray sahaba mein say afzal bnaya wesay meray tamam sahaba mein bhalai hi bhalai hay.
1. (ASH SHIFA,
JILD#2,
PAGE#42)
2. (AR RIAAZ UN NAZRA,
JILD#1,
PAGE#47) is hadees mein 4 ka adad tasreeh k sath mojood hay. Isi say HAQ 4 YAAR ki istilah wazah ki gai hay "ZARB-e-RAZA"

Msg#40
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
"PANJTAN PAAK" aur "CHAAR YAAR" ki dono istilahein ajmi hein. Hum "HAQ CHARY YAR" aur "PANJTAN PAAK" ki dono istilahoan per yaqeen rkhtay hein.
Ab next is series mein MOLA ALI k aqwaal paish kiay jaein gay jis say SHAIKHAIN ki afzalliat mein kisi qism ka koi shak b baqi nai rhy ga.
In shaa ALLAAH "ZARB-e-RAZA"

Msg#41
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#1
.
Hazrat muhammad bin hanfia farmatay hein k main nay apny waalid (MOLA ALI) say pocha k
"NABI KAREEM (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k ba'ad logoan mein sb sy afzal kon hay?"
Farmaya "ABU BAKR"
Main nay arz kia k "PHIR KON"
Farmaya "UMAR"
Mujhay andaisha hua k ab ye na kahein k USMAN to main nay pocha "PHR AAP?"
Farmaya "MAIN MUSALMANO MEIN SAY AIK ADMI HUN"
1. (BUKHARI,
Hadees#3671)
2. (ABU DAUD
Hadees#4629) "ZARB-e-RAZA"

Msg#42
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#2 of MOLA ALI
.
MOLA ALI nay farmaya k
"RASOOL KAREEM (AAP per bayhad darood aur salaam) k ba'ad tamam logoun say afzal ABU BAKR hein. Aur ABU BAKR k ba'ad UMAR tamam logoan say afzal hein"
1. (IBN E MAJA,
Hadees#106)
2. (MASNAD E AHMAD,
Hadees#836, 837, 838, 839, 840, 874, 881, 882, 883, 911, 925, 935, 936, 937, 1034, 1035, 1036, 1044, 1055, 1056, 1058)
Ye hadees MOLA ALI say tawatar K sath manqool hay. امام ذہبیfarmatay hein k is hadees k 80 say ziada raavi hein.
1. (TAREEKHUL ISLAM,
Jild#1,
Page#115)
2. (TAREEKH UL KHULAFA,
Page#38)
3. (SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#60) "ZARB-e-RAZA"

Msg#43
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#3 of MOLA ALI
.
Mola Ali say tawatur say sabit hay k aap nay koofa k minber per farmaya
"ay logo is ummat mein NABI (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k ba'ad sb say afzal ABU BAKR hein, phr UMAR hein aur agr main chahoun to 3sray ka naam b bta doun"
(AL BADAYA WAN NAHAYA,
JILD#7,
PAGE#321) "ZARB-e-RAZA"

Msg#44
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#4 of MOLA ALI
.
HAZRAT ALI k paas jb b HAZRAT ABU BAKR ka zikr hota to MOLA ALI farmatay
"Qasam hay us zaat ki jis k qabza e qudrat mein meri jaan hay. Hum jb b kisi bhalai ki taraf berhay hein ABU BAKR hum say sabqat lay ga'ay hein"
(MAJMOA UZ ZAWAID,
Hadees#14332) "ZARB-e-RAZA"

Msg#45
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#5 of MOLA ALI
.
Hum loag RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) k ba'ad ABU BAKR ko khilafat ka sab say ziada haqdaar samajhtay thay. Is ki wajah ye thi wo saahib e ghaar aur saani asnain thay. Hum ap k sharf aur azmat ko jantay thay. RASOOL E PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) nay apni mojoodgi mein unhein logoan ko namaz perhanay ka hukam dia tha"
(MUSTADRAK,
Hadees#4478) "ZARB-e-RAZA"

Msg#46
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
QOL#6 of MOLA ALI
.
"RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) Abu bakr ko hamara deeni paishwa bnanay per raazi hein to hum unhein apna dunyavi paishwa bnanay per kion razi na hun"
(SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#63)MOLA ALI k is irshad say waziha ho gya k Hazrat ABU BAKR ko khilafat e zahiri milnay say pehlay hi deen ka paishwa bna dia gya tha. WALAYAT E BATINI aur KHILAFAT E ZAHIRI dono cheezein MOLA ALI nay HAZRAT ABU BAKR k liay alag alag tasleem ki hein.
TAFZEELI MINHAJIOUN ka radd khud MOLA ALI nay kr dia.
(NARA E HAIDRI YA ALI ) "ZARB-e-RAZA"

Msg#47
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#7 of MOLA ALI r.a.
.
"ALLAAH Nay Abu Bakr Ko Hum Sab Say Behtar Jana Aur Usay Hum Per Walayat Day Di"
(MUSTADRIK,
Hadees#4756)
Yahan Hazrat Abu Bakr r.a. Ki Walayat Ko Mola ALI r.a. Nay Byan Farmaya Hay. Is Per Tafzeeli Minhaaji Kia Kahein Gay Jo Walayat Ko Hazrat Abu Bakr r.a. K Liay Mantay Hi Nai?
Yaqeen Na Aa'ay To Dr. Tahir ul Qadri Ki Kitab
"AS SAIF UL JALLI"
Perh Lein
Jis Mein Likha Hua Hay K Hazrat Abu Bakr r.a. Sirf Siyasi Khalifa Thay Rohani Nai. Aur Walayat Rohaniat Mein Aati Hay Na K Siyasat Mein. *R € D

Msg#48
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#8 Of MOLA ALI r.a.
.
"Main Jisay Paun Ga Kay Mujhay ABU BAKR O UMAR Say Afzal Kehta Hay To Usay Main Ilzaam Tarashi Ki Saza Kay Tor Per 80 Koray Maaroun Ga"
1. (FAZAIL US SAHAABA,
Hadees#89, 387)
2. (AS'SUNNA,
Hadees#1242)
3. (IBN E ASAKAR,
Jild#30,
Page#383)
Ab To MOLAA ALI r.a. Nay Tafzeeli Minhaajioun Ko Saza Bhi Suna Di. Kon Hay Jo MOLA ALI R.A. Ka Aik Thapar Bhi Bardasht Kr Sky? To Kahan 80 Koray.
Abi Bhi Waqt Hay Tafzeelio Maan Jao. *R € D*

Msg#49
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#9 of MOLA ALI r.a.
.
"Meray Baray Mein 2 Terha Kay Loag Halaak Ho Jaein Gay.
1. Aik Hadd Say Ziada Muhabbat Krny Wala Jo Meri Aisi Shaan Bayaan Kry Ga Jis Ka Main Haqdaar Nai
2. Aur Dosray Mujh Say Bughaz Rakhny Wala Jisay Meri Dushmani Mujh Per Alzaam Laganay Per Aamada Kry Gi"
1. (MASNAD E AHMAD,
Jild#1,
Hadees#1380)
2. (MISHKAAT,
Hadees#6102)
3. (NEH'JUL BALAAGHA,
Khutba#127) *R € D*

Msg#50
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Salaam.
Ab Tak Is Series Mein
'KASEER AHADEES'
Aur
'MOLA ALI' r.a.
Kay
9 Aqwaal Say
"SHAIKHAIN"
Ka ANBIA (sb per salaam Ho) Kay Ba'ad Sb Say Afzal Hona Sabit Kia Gya Hay.
Ab Next Msg Say Is Series Mein
"ULLMA o SOOFYA" Kay Irshadaat Aap Ko Bhejay Jaein Gay.
Dua Hay Kay ALLAAH paak Qabool Farma'ay.
Aameen. *R € D*

Msg#51
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#1
.
Imam Zainul Aabideen r.a. Say Kisi Nay Poocha Kay RASOOL PAAK (aap per bayhad darood aur salaam ho) Say Sab Say Ziada Qareeb Kon Tha?
Imam Zainul Aabideen r.a. Nay Farmaya
"Wohi Loag Qareeb Thay Jo Kay Aaj Bhi Qareeb Hein"
(MASNAD E AHMAD,
Jild#4,
Hadees#16714) *R € D*

Msg#52
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#2
.
Muhaddis Abdur Razzaaq r.a. Ko MOLA ALI r.a. Say Bhut Muhabbat Thi.
Lekin Chun'kay Khud MOLA ALI r.a. Nay Hazrat ABU BAKR r.a. Aur Hazrat UMAR R.a. Ko Apny Say Afzal Qarar Dia Hay Lehazaa Muhaddiss Abdur Razzaaq r.a. Farmatay Thay Kay
"Meri Is Say Berh Kr BADBAKHTI Aur Kia Ho Gi Kay Main ALI Ki Muhabbat Ka Dawa Bhi Krn Aur ALI Ka Kehna Bhi Na Maanoun"
(SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#62) *R € D*

Msg#53
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#3
.
Farraat Bin Sa'ib Nay Mehmood Bin Mehraan Say Poocha Kay ALI Afzal Hein Ya ABU BAKR o UMAR?
Ye Sawal Sun Kr Wo Kanpanay Laggy Hat'ta Kay Un Kay Hath Say Laathi Gir Gai. Phr Farmaya
"Main Soch Bhi Nai Sakta Tha Kay Main Us Zamanay Tak Zinda Rahoun Ga Jab Log ABU BAKR o UMAR Ki Barabari Kay Baray Mein Sochein Gay"
(TAREEKH UL KHULAFAA,
Page#30) *R € D*

Msg#54
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#4
.
Imam e Azam, Imam Abu Hanifa r.a. Farmatay Hein Kay
"ANBIA (Sab Per Salaam Ho) Kay Ba'ad Sab Say Afzal Hazrat Abu Bakr Hein,
Phr Umar Hein,
Phr Usman Hein,
Phr Ali Hein. ALLAH IN SAB SAY RAZI HUA
.
(FIQA E AKBAR,
Page#61,62) *R € D*
Msg#55
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#5
.
Hazrat MULLA ALI QARI r.a. Likhtay Hein Kay
"Hazrat Ali Ko Hazrat Abu Bakr Say Afzal Samajhna Tamam RAAFZIOUN (Shia) Ka Aqida Hay Aur Aksar MOTAZAL'LA Ka"
(SHARRAAH FIQA E AKBAR,
Page#63) *R € D*

Msg#56
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#6
.
Hazrat Data Ganj Bakhsh r.a. (data darbar walay) Farmatay Hein
"Siddique e Akbar r.a. Tamam ANBIA (Sab Per Salaam Ho) Kay Ba'ad Tamam Makhlooqaat Say Aagay Hein Aur Kisi Ko Haq Nai Puhanchta Kay Wo Hazrat Abu Bakr r.a. Say Aagay Qadam Rkhy"
(KASH'FUL MA'JOOB,
Page#69) Neez Data Sahab Nay In 4 Hastioun Ka Zikar Isi Tarteeb Say Kia Hay.
Pehay Hazrat Abu Bakr r.a. Ka
Phr Hazrat Umar r.a. Ka
Phr Hazrat Usman r.a. Ka
Phr Hazrat Ali r.a. Ka. *R € D*

Msg#57
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#7
.
Imam Ghazali a.r. Farmatay Hein Kay
" NABI PAAK (AAP Per Bay Had Darood Aur Salaam Ho) Kay Ba'ad Sab Logoan Say Afzal
ABU BAKR Hein
Phr
UMAR Hein
Phr
USMAN Hein
Phr
ALI Hein"
(AHYA'UL'ULOOM,
Page#119)
ALLAAH paak In 4oun Say Razi Hua. *R € D*

Msg#58
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#8
.
GHAUS PAAK . Nay Likha
"RASOOL PAAK (AAP per bayhad darood aur salaam ho) Kay Ba'ad Tamam Sahaba Mein Afzal ABU BAKR Hein, Phr UMAR Hein, Phr USMAN Hein, Phr ALI Hein"
.
(GHUNYA TUT TALIBEEN,
Page#182)
ALLAH In 4oun Say Razi Hua. *R € D*

Msg#59
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#9
.
Shaikh Akbar Muhayyud Deen Ibn e Arbi (ALLAAH ki in per Rehmat Ho) Farmatay Hein
"Jaan Lo
UMMAT E MUHAMMADI Mein Koi Shakhs Aisa Nai Jo
ABU BAKR Say Afzal Ho Siwa'ay Hazrat EESA (in per salaam ho) Kay"
(FAT'TOO'HAAT e MAKKIYYA,
Baab#93,
Page#438) *R € D*

Msg#60
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#10
.
Imam Abdul Wahab Shu'raani (ALLAAH PAAK Ki Un Per Rahmat Ho) Farmatay Hein
"ANBIA (SB per salaam ho) Kay Ba'ad
AULIA E MUHAMMADI
Mein Sb say Afzal
ABU BAKR Hein
Phr
UMAR Hein
Phr
USMAN Hein
Phr
ALI Hein" (ALLAAH PAAK In 4oun Say Razi Hua)
(ALYAVA'QEETO WAL JAVA'HIR,
Page#437) In Alfaaz Per Ghor Farmaye
"AULIA E MUHAMMADI Mein Sb Say Afzal"
In Alfaaz Nay To Tafzeeli Minhajioun Kay Har Fraud Ki Jarr Kaat Di Hay. Aulia Kay Lafz Say Zahir Ho Rha Hay Kay Afzalliat Ka Daar o Madaar 'ZAHIRI KHILAFAT' Kay Milnay Per Nahein Balkay 'WALAYAT E MUHAMMADI' Milny Per Hay. *R € D*

Msg#61
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#11
.
Maaroof Darsi Kitaab 'SHARRAAH AQAID E NASFI' Mein Hay Kay
"ANBIA (sb per salaam ho) Kay Ba'ad Sb Say Afzal ABU BAKR SIDDIQUE (ALLAAH PAAK In Say Raazi Hua) Hein"
(SHARRAAH AQAID E NASFI,
Page#150) *R € D*

Msg#62
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#12
.
Hazrat Shaikh Fareed'ud Deen Attar (ALLAAH paak ki in per rahmam ho) Nay Aik
'RUBAI'
Likhi Jis Ka Mafhoom Ye Hay
"Sb Say Awwal Peer O Murshid Jo NABI KAREEM (in per darood aur salaam ho) Kay Pehlay Yaar Thay
Ghaar Kay Andar Wo Do Mein Say Dosray Thay
Deen Kay Sadar
SIDDIQUE E AKBAR
Hein Jo Qutb E Haq Hein
Har Kisi Say Har Muamlay Mein Aagay Nikal Ga'ay"
(MANTIQ UT TEER,
Page#28) Is Rubai Ka Har Jumla Qabil e Ghaur Hay Aur Tafzeeli Minhajioun Kay Liay Wabal e Jaan Hay. *R € D*

Msg#63
"AFZALLIAT e SHAIKHAIN"
.
Qol#13
.
Hazrat Mujaddid Alif Saani (ALLAAH Ki In Per Rahmat Ho) Likhtay Hein
.
"SHAIKHAIN Ki Afzalliat Baqi Ummat Per Qat'aai Hay. Is Ka Inkaar Wohi Kr Skta Hay Jo Jahil Ho Ya Mut'ta'assib Ho"
(MAKTOOBAAT E IMAM RABBANI,
Jild#2,
Maktoob#36) *R € D*

Msg#64
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#14
.
Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi (ALLAAH PAAK ki in per rahmat ho) Likhtay Hein
.
"SHIA Ka Tafzeeli Firqa Jo Hazrat Ali Ko Tamam Sahaba Per Afzalliat Daita Hay, Ye Firqa Shaitaan Ka Adna Shagird Hay"
(TOHFA ASNA ASHRIA,
Page#5) *R € D*

Msg#65
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#15 aur 16
.
Peer Meher Ali Shah (ALLAAH PAAK ki in per rahmat ho) Ki Ibarat Ka Khulasa Hay
"Pehlay 3 Khulafa Kay Daur Mein Khilafat e Zahiri
Aur
Khilafat e Batni
Dono Urooj Per Thein Magar 4th Khalifa Kay Daur Mein Batin To Mojood Rha Magar Zahir Pehlay Jesa Na Raha"
(FATAWA E MAHRIA,
Page#145) Aik Aur Jaga Irshad Farmaya
"Ba'ad Az Paighamber Koi Shakhs Abu Bakr Say Afzal Nai"
(TASFIA MA'BAIN SUNNI O SHIA,
Page#19) *R € D*

Msg#66
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Qol#17
.
Imam e Ahlay Sunnat
AALA HAZRAT
Imam Ahmad Raza Khan
Fazil Barelvi
Farmatay Hein Kay
"Har Bacha Janta Hay Kay Ahlay Sunnat Ki Tamam Kutub Mein Ye Hi Likha Hay Kay ANBIA Kay Ba'ad Sab Say Afzal
Abu Bakr Hein"
(FATAWA RIZVIA,
Jild#9,
Page#61) Is Mozu Per
AALA HAZRAT
Nay Aik Pori Alag Kitab Likhi Jis Ka Naam Hay
"MATLA UL QAMRAIN FI IBANA'TAY SAB'QA'TIL UMA'RAIN" *R € D*

Msg#67
"AFZALLIAT e SHAIKHAIN"
.
Ab Tak Is Series Mein
Kaseer Ahadees,
MOLA ALI Kay 9 Aqwaal,
Aur
14 Saddiyoun Kay
16 SUFIYA O ULMA E KARAAM Kay
17 Aqwal Say
Sabit Kia Gya Hay Kay Shaikhan ANBIA (Sb per salaam ho) Kay Baad Sb Say Afzal Hein Siyasat Mein Bhi, Khilafat Mein Bhi, Walayat Mein Bhi, aur ROHANIAT Mein Bhi. (ALLAAH PAK In Say Razi Hua)
Ab Next Is Series Mein Is Aqiday Per Ummat Ka IJMA Naqal Kia Ja'ay Ga
In Shaa ALLAAH.
Dua Hay Kay ALLAAH Paak Qabool Farma'ay. Aameen. *R € D*

Msg#68
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Sayyedina Hazrat Ibn e Umar Farmatay Hein
"Tamam Sahaba Muhajir o Ansaar Ka Is Baat Per
'IJMA'
Hay Kay NABI PAAK (AAP per darood aur salaam ho) Kay Ba'ad AbuBAKR Sb Say Afzal Hein Tamam Ummat Mein" (ALLAH Paak In Sb Say Razi Hua)
1. (BUKHARI,
Hadees#3697)
2. (ABU DAUD,
Hadees#4627) *R € D*

Msg#69
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Hazrat Mulla Ali Qari Likhtay Hein Kay
"Tamam Muhajaireen Aur Ansaar Sahaba Ka Is Baat Per
IJMA
Hay Hay kay Is Ummat Mein Sab Say Behtar ABUBAKR Hein
Phr UMAR Hein
Phr USMAN Hein"
ALLAAH Paak in sb say razi hua
(MIRQAAT,
Jild#111,
Page#334) *R € D*

Msg#70
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Imam Baheeqi Nay
Imam Shafa'ee
Say
Tafzeel e Shaikhain
Per Tamam Sahaba O Taba'een Ka
IJMA
Naqal Kia Hay"
(FATAH UL BAARI,
Jild#7,
Page#13) *R € D*

Msg#71
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Imam Sharf'ud Deen Noovi Farmatay Hein Kay
"Is Per Ahlay Sunnat Ka
Ittefaaq (IJMA)
Hay Kay Sahaba Mein Sb Say Afzal
ABUBAKR
Hein
Phr
UMAR
Hein"
(SHARRAH NOOVI,
Jild#2,
Page#272) ALLAAH Paak In Say Raazi Hua. *R € D*

Msg#72
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Chishti Sisilay Kay Ma'roof Buzurg Hazrat Syed Meer Abdul Wahid Bilgirami Apni Tasawwuf Ki Mayanaaz Tasneef Mein Farmatay Hein Kay
"Is Per Bhi Ahlaysunnat Ka Ijma Hay Kay ANBIA (sb per salaam ho) Kay Ba'ad Tamam Makhlooqat Mein Sb Say Behtar
ABU BAKR hein
Phr Umar
Phr Usman
Phr Ali Hein
(SAB'AA SANAA'BIL,
Page#56) ALLAAH In Sb Say Razi Hua. *R € D*

Msg#73
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Afzalliat Ki Isi Tarteeb Per In Sb Nay Bhi AHLAY SUNNAT Ka IJMA Naqal Kia Hay Is Aqiday Per
1. Allama Jalal'ud Deen Sayyooti
(TAREEKH'UL KHULAFAA,
Page#37)
2. Allama Ibn e Hajar Makki,
(SAWAIQ E MUHARRIQA,
Page#59)
3. Mulla Ali Qari Makki
(SHARRAH FIQA E AKBAR,
Page#61)
4. Shah Walli Ullah
(AZALA'TUL KHIFA,
Jild#1,
Page#311)
5. AALA HAZRAT Imam Ahmad Raza Khan Fazil Barelvi
(MATLA'UL QAMRAIN,
Page#67)
(AL MUSTANAD AL MO'TAMAD,
Page#197, 198)
In Tamam Nay Bhi AULIA E MUHAMMADI Mein Sb Say Afzal HAZRAT ABU BAKR Ko Qarara Dia Hay Aur Btaya Hay Kay Khilafat Ki Waja Say Afzal Nai Balkay Afzalliat Ki Waja Say Khilafat Mili Hay. *R € D*


Msg#74
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Ab End Mein Is Waqt Kay Sab Say Baray Tafzeeli,
Naam Naihaad Mujaddid,
Ghaddar e AALA HAZRAT,
Mehboob e Padri,
Dushman e MUMTAZ QADRI,
Ba'zahirul Qadri,
Al ma'roof
Tahirul Qadri
Ki Gawahi Paish Ki Ja Rhi Hay Isi Kay Khilaaf.
Mosoof Likhtay Hein
"Mujh Say Kisi Nay Pocha kay Suna Hay Kay Afzalliat E SIDDIQUE E AKBAR Kay Mutalliq Aap Ka Aqida Mukhtalif Hay?
Main Nay Kaha
KHUDARAA! Mujh Per Ye Ilzaam Na Lagao. Main Kon Hun Aqiday Ka Baani?
1400 Saal Say Ummat Mein Aqidat, Muhabbat, Aur Mehbobiat Mein Zameen Say Aasmaan Tak Jis Kay Jo Bhi Manaqib Hun Magr AFZALLIAT Ka Aqida Siddique Akbar Ka Hay.
Main Sawad e Azam aur Ahlay Sunnat Ka Afzalliat E Sayyedina SIDDIQUE E AKBAR Ka Jo Aqida Hay, Usi Ka Qail Hun"
(MAHNAMA MINHA'JUL QURAN Lahore,
Page#16,
SHUMARA:
Oct 2010) *R € D*

Msg#75 (Last)
"AFZALLIAT E SHAIKHAIN"
.
Salaam. Aaj Ye Series Khatam Hui.
Is Saeries Mein Kaseer Ahadees, Mola Ali Kay 9 Aqwaal,
14 Sadioun Kay 16 Ulma o SOOFIA Kay 17 Aqwaal
Aur
10 IJMA Kay Hawala Jaat Mein
SAHABA, Aur AHLAY SUNNAT Kay Ijma Say Ye Sabit Kia Gya Hay Kay ANBIA (sb per salaam ho) Kay Ba'ad Tamam Makhloqat Mein "AULIA E MUHAMMADI" Mein Sb Say Afzal
HAZRAT ABU BAKR Hein
Phr
HAZRAT UMAR Hein
Phr
HAZRAT USMAN Hein
Phr MOLA ALI Hein.
Dua Hay Kay ALLAAH PAAK Qabool Farma'ay. *R € D*

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved