Update
Loading...
Wednesday, 26 June 2013

JiNNAAT



JiNNAAT
@01

Qur'an Majeed Aur
Ahadees-e-Karima Se Sabit Hy k
Jinn ALLAH Ki Ek Makhlooq Hy Jo Apna Wujood RAkhti Hy.
JiNNAAT Ko Ek Khaas Ilm Hasil Hota Hy
Ye Aisy Ajeeb-o-Ghareeb
Or Mushkil Tareen Kaam Karny
Ki Taqat Rakhty Hen
Jinhe Karna Aam Insan Ke Bus Ki Baat Nahi.
(Hadiqat-Un-Nadiya 1/72-73)

JiNNAAT
@02

"JiNNAAT Ke Wujood Ka Inkaar
Ya'ni Badi (Buraayi) Ki Quwwat Ka Naam Jinn Yaa SHETAAN Rakhna Kufur Hey"
(Bahar-e-Shariyat Part#1 P#50)

JiNNAAT
@03

# Hamarey Nabi Alaihissalatuwassalam
Jinn-o-Ins Donu Ke Lye RASOOL Hen #

"Mujhe Jinno Aur Insaano Ki Taraf
Bheja Gaya"
(Shoub-ul-Iman #1482)

JiNNAAT
@04

Jinn Ko "Jinn" Is Lye Kehty Hen
Ke Wo Aam Logon Ki Nazron Se
Posheeda (Chupey Huwey) Hotey Hen
(Talkhees: Umdat-ul-Qari V#15 P#252)

JiNNAAT
@05

Q.JiNNAAT Kesey Paida Huwey?

A.
Al-Qur'an ;
"Aur Jinn Ko Paida Farmaya
AAG Ke Lokey (Lapait) Sey."
(Sura-e-Rahman Aayat#15)

JiNNAAT
@06

Nabi AlaihiSsalam Ne Farmaya ;
Farishton Ko Noor Sy,
Jinnaat Ko Aag Ke Sholey Sy
Aur Aadam AlaihisSalam
Ko Mitti Se Paida Kya Gaya
(Muslim #2996)

JiNNAAT
@07

ALLAH Ta'ala Ne Farishton Ko
Budh Ke Din,
Jinnaat Ko Jume'raat,
Aur Hazrat Aadam AlaihiSsalam Ko
Jummah Ke Din Paida Kya.
(Jaami-ul-Bayan 1/237)

JiNNAAT
@08

ALLAH Ne Jannat Ko
Jahannam Sy Pehley,
Apni Rehmat Ki Ashyaa Ko
Apny Ghazab Ki Cheezon Sy,
Aasmaan Ko Zameen Sy,
Sooraj Ko Chaand Sitaaron Sy,
Din Ko Raat Sy,
Darya Ko Khushki Sy,
Farishton Ko Jino Sy,
Jinno Ko Insano Sy,
Aur Narr Ko Maada Sy Pehley
Paida Farmaya
(Kitab ul Azmaa P#299 H#891)

JiNNAAT
@09

Hazrat Aadam Ki Takhleeq Sy
2 Hazaar Saal Pehly
Zameen Par Jinnaat Thy.
Unho Ny Zameen Par Fasaad
Phelaya Kya Aur Khoon Rezi Ki.
Jab Unho Ny Isey Apna Watera Bana Lya
To ALLAH Ne Un Par Farishton Ko Bheja
Jinho Ny Unhen Maar Kar
Samandari Jazeeron Ki Taraf Bhagaa Dya
(Durr-e-Mansoor 1/111)

JiNNAAT
@10

# Iblees (Shaitan) Bhi Jinnaat Me Se Hy #

Al-Qur'an;

"...To Sab Ne Sajda Kiya
Siwaa Iblees Ke (Jo) Qoum-e-Jinn Sey Tha"
(Sura-e-Kahaf Aayat#50)

JiNNAAT
@11

Hazrat Aadam Tamam Insano
Ke Baap Hen,
Iblees Sab Jinnaat Ka Baap Hy.
(Kitabul Azma, P#429)

Jinnaat Ki Bi Aulaad Hoti Hy
(Tafseer Kabeer 10/376)

JiNNAAT
@12

Teesri Aur Chothi Zameen Ke Darmiyaan
Itne Jinnaat Hen Ke
Agar Wo Zahir Kar Dye Jaayen
To Sooraj Ki Roshni Dikhaayi Na Dey
(Kitab ul Azmaa)

JiNNAAT
@13

Jab Insan Ke Yahan Ek Bacha Paida Hota Hy
To
Jinnaat Ke Haan 9 Bachey Paida Hoty Hen
(Jaamiy ul Bayan 9/85)

JiNNAAT
@14

# Jinnaat Ki Ghizaa #

Aaqa Alaihissalam Ney
Haddi, Leed, Gobar
Key Muta'alliq Farmaya ;
"Ye Tumhary Bhai Jinnaat Ki Giza Hen"
(Bukhari 1/224)

JiNNAAT
@15

Ek Ansaari Ko Jinnaat Utha Le Gaye,
Kuch Arsy Baad Unhe Madina Chor Gaye,

Hazrat Umer Ne Un Sy Jinnaat Ki Ghiza
Poochi To Kaha Ke
Wo Lobiya Aur Wo Cheezen Khatey Hen
Jin Pr ALLAH Ka Name Na Lya Ho
Or Peeny Ka "Jadaf" Bataya
(Hayat ul Haiwaan 1/295)

JADAF
Sy Murad Wo Yamani Ghaas Hy
Jisy Khany Waly Ko Peeny Ki
Mohtaji Nahi Rehti,
Ya Is Sy Murad Paani Wagera Ke
Wo Bartan Hen Jisy Dhaanp Kr
Na Rakha Gaya Ho
(Nihaya Fi Gareebil Aasaar 1/240)

JiNNAAT
@16

Tamam Musalmano Ke Gharon Ki
Chatton Par Musalman Jinnaat Rehty Hen,
Jab Dupehar Aur Raat Ka Dastar Khuwan
Lagta Hy Ya'ni Jab Insan Khana Khatey Hen
To Jinnaat Bhi Chatton Sy Utar Kar Saath Khana Shuru Kar Dety Hen
Unke Zariye ALLAH Shareer Jinnaat Ko
Bhagaa Deta Hey
(Laqtul Marjaan :44)

JiNNAAT
@17

Aksar o Beshtar Jinnaat Najaasat Ki
Jaghon Par Hoty Hen
Masalan ;
Khajooron Ka Jhund,
Bait ul Khalaa (Toilet),
Kachrey Ke Dhair,
Gusal Khana Wagera.
Isi Waja Sy
Gusal Khaney Ye Oont Ke Bethny Ki Jaga
Wagera Par Namaz Parhny Se Mana Kya Gaya Hy Ke Ye Shaitaan Ki Jaga Hy
(Laqtul Marjaan P#67)

JiNNAAT
@18

# Weeraniyon Waly Jinnaat #

Aa'rabiyon (Arab Ke Rahney Waley Dehatiyon) Ka Bayan Hy
Ke Hum Kaseer Log Hoty Or Kahin Paraao Karty To Hamen Buhat Sy Khemy
Aur Log Dikhayi Dety,
Magar Achanak Sab Kuch Gaayab Hojata,
Hamen Yaqeen Hy Ke Dikhayi Deny Waly
Wo Log Jinnaat Hen
(Akamul Marjaan P#26)

JiNNAAT
@19

# Insano Ke Saath Rehny Waly #

Jo Jinn Insano Ke Saath Rehty Hen
Usey AAMiR Kehty Hen
Jiski Jam'aa (Plural) AMMAAR Hey.
(Laqtul Marjaan P#25)

JiNNAAT
@20

Jab Koi Shakhs Apny Ghar Me Daakhil Hoty Waqt Aur Khaney Ke Waqt
"Bismillah Shareef" Parhly
To Shaitan Apni Zurriyat Sy Kehta Hy Ke
Is Ghar Me Na Tumhe Rehna Milega Na
Khana,
Agar Bismillah Shareef Na Parhi Jaye To Muamla Iskey Bar-Aks Hota Hey
(Muslim - Kitabul Ashribaa H#2018 )

JiNNAAT
@21

"Aye Logo! Apne Gharon Se Gosht Ki Chiknaayi Wala Kapra Nikaal Dya Karo,
Islye Ke Ye Shareer Jinn Ki Jaga
Aur Qayaam Gaah Hy"
(Firdous ul Akhbar)

JiNNAAT
@22

Aaqa AlaihissalatuWassalaam Ne
Ek Shakhs Ko QA'RAA Me Rafa e Haajat
Karny Se Mana Farmaya

Arz Ki Gayi ;
Qa'raa Kya Hy ?

Farmaya ;
Tum Me Sy Koi Jhaari Wali Jaga Me Naa Jaye
To Goya Apne Makaan Me Hy
Magar Wo Tumhary Bhai Jinnaat Ke Rehny
Ki Jaga Hy
(Al Kaamil Fil Duaafa 4/310)

JiNNAAT
@23

# Jinnaat Ke Rahney Ki Kuch Jaghen #

* Teeley
* Waadiyan
* Veeraniyaan
* Insan Ke Sath
* Chiknayi Wala Kapra
* Jhariyan. . .

Wagera Wagera

JiNNAAT
@24

# Jinnaat Ki Kuch Iqsaam #

Ye Hen :

1> Gol
2> Se'laa
3> Gadaar
4> Walahaan
5> Shaq

Makhooz Az ;
(Umda tul Qaari 10/644)

JiNNAAT
@25

# Mazhab #

Jinnaat Me Mo'min Bhi Hoty Hen
Aur Kaafir Bi
(Kitaabul Azma P#429)

In Me Bi Mukhtalif Firqe Hoty Hen
(Jamiyu li Ahkamil Qur'an 10/12)

JiNNAAT
@26

# Shakal - Gizaa - Nikaah #

Inhey Is Baat Ka Ikhtiyar Hy
Ke Mukhtalif Shaklen Ikhtiyar Kar Len,
InKe Paas Aqal Bhi Hoti Hey
Aur Samajh Bhi
(Tafseer e Kabeer 1/79)

Jinnaat Khaney Peeney Ke Elawa
Nikah Bhi Kartey Hen
Aur InKe Yahan Aulad Ka Bhi Silsila Hota Hy.
(Fatawa Hadeesiya P#90)

JiNNAAT
@27

Q.Kya Insan Par Auliya Ki Suwari Aa Sakti Hey?

A.
Ba'az Martaba Shohrat Paane Ke Lye
Mardon/Aurton Ki Taraf Sey
Ye Dhong Kya Jata Hy
Aur Basaa Auqat Shareer Jinnaat Kisi Insan Par Galba Paa Kar Aisi Baatein Karty Hen

Imam e Ahlesunnat
AalaHazrat Alaihirrahma Farmatey Hen;
"Ye Shareer Jinnaat Sakht Jhoote Hoty Hen,
Kabhi Apna Naam Shaheed Batatey Hen
Aur Kabhi Kuch,
Is Waja Se Jaahilan e Be Aqal Men
"Shaheedon Ka Sar Par Aana"
Mash'hoor Hogaya,
Warna Shuhada e Karaam
Aur Auliya e Uzaam
Aisi Khabees Harkaat (Suwari Wagera)
Sey Paak o Saaf Hoty Hen"
(Fatawa Razawiya 21/218)

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved