HAJJ
HAJJ
@01
Sarkar Alehissalam Ne Farmaya;
"Umrah Se Umrah Tak Un Gunahon Ka Kaffara He Jo Darmyan Me Huey Aur Hajj e Mabroor Ka Sawab Jannat He"
(Ibne Maaja)
HAJJ
@02
Hazrat Abdullah Bin Masood RadiyALLAHu Anhu Se Riwayat He
Sarkar Alaihissalatuwassalam Ne Farmaya;
"Hajj o Umrah Muhtaaji Aur Gunahon Ko Aisey Door kartey Hen Jesey Bhatti Lohey,Chaandi Aur Soney Ke Mail Ko Door Karti Hey"
(Tirmizi, Ibne Maaja, Ibne Khuzaima, Ibne Habbaan)
HAJJ
@03
Sarkar Alehissalatuwassalam Ne Farmaya;
"Ramzan Me Umrah Mere Saath Hajj Ke Baraabar Hey"
(Abu Dawood)
HAJJ
@04
Hazrat Ayesha RadiyALLAH Anha Se Riwayat He
Ke Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya;
"Jo Hajj Ya Umrah Ke Lye Niklaa Aur Raastey Me Mar Gaya Uski Paishi Nhaee Hogi Na Hisab Hoga"
(Tibraani)
Jabke Ek
Dusri Riwayat Me He K "Taa Qayamat Umrah Ka Sawaab Likha Jaayega"
(Behiqee)