Update
Loading...
Sunday 30 June 2013

PARDA



PARDA
@01

1> Dunya Me Buhat Si Kitaben Hen Lekin
Ghilaf Sirf QUR'AN Paak Ko Charhaya Jaata Hy

2> Dunya Me Buhat Imaarten Hen Lekin
Sirf Khana Ka'ba Ko Dhanpa Jaata Hy

3> Dunya Me Buhat Qabren Hen Lekin
Sirf Wali Ki Qabar Par Chaadar Daali Jaati Hy

4> Dunya Me Buhat Ta'daad Me Aurten Hen Lekin
Parda Sirf Muslim Aurten Hi Karti Hen...

Kyunke Izzat Ki Cheez Ko Hamesha Dhaanpa Jaata Hy....

PARDA
@02

KA'BA Par Ghilaaf
IsLye
K Ye Koi Aam Cheez Nahi Musalmano Ka QiBLA Hy

QUR'AN Par Ghilaaf
IsLye
K Ye Koi Aam KiTAAB Nahi
KiTAABuLLAH Hy

MAZAAR Par Chaadar
IsLye
K Ye Koi Aam QABAR Nahi ALLAH Ke WALi Ki Hy

IsLye AuraT Ko Pardy Ka Hukam Hy
TaaKe MALUM Ho
K Ye Koi Aam AURAT Nahi MUSLiM AURAT Hy

PARDA
@03

~Ka'ba o Qur'an Ko Dekha Hy Ghilafon Men Liptay..~

~Ab Men Samjha Hun Ke Pardey Ki Fazeelat Kya Hey..!!~

PARDA
@04

Madani Aaqa Alahissalatuwassalam Ka
Farmaan e Ibrat;

"3 Shakhs Jannat Mein Dakhil Na Honge
1. Daiyoos
2. Mardani Waza Bananay Wali Aurat
3. Sharab Ka Aadi"
(Majma Zawaid V4 P#599
H#7722)

Jo Log Bawajud e Qudrat
Apni Aurton Ko Be-Pardagi Sy Mana Na Karen Wo
DAIYYOOS Hen

"DAIYOOS Wo Shaks Hy Jo Apni Biwi Par Gairat Na Khaye"
(Durre Mukhtar V2 P#113)

"DAIYOOS Faasiq Hy
Aur Fasiq Ke Peechay Namaz
Makrooh e Tahrimi Hy"
(Fatawa Razavia V6 P#573)

PARDA
@05

Maloom Hua Ke Jo
Bawajud e Qudrat
Apni
Zouja (Biwi),
Maan,
Behnon,
Aur
Jawan Betiyon
Wagera Ko
Galyon,
Bazaron,
Shopping Centers,
Aur
Makhloot Tafreeh Gahon Men
Be-Parda Ghoomne Phirney,
Ajnabi Paroosiyon,
Na-Mehram Rishtedaron,
Gair Mehram Mulazimon,
Chowkidaron,
Aur
Driveron Sy
Be-Takallufi
Aur
Be-Pardagi
Sey Mana Na Karne Walay Hen,
Wo
DAIYYOOS
Jannat Se Mehroom
Aur
Jahannum Ke Haqdaar Hen.

PARDA
@06

Aurat Agar Aisa Chust Libas Pehny K Jism Ki Heyiat Zahir Ho To Haram
Magar Shetan Ki Makkari
Ke Us Ny Burqey Ke Naam Par Aurat Ko Ye Libas Pehna Dya

PARDA
@07

#Peer Aur Mureeda Ke Darmaiyan Parda#

Aalahazrat Imam Ahmed Raza Fazil Barelvi Rehmatullah Alaih Farmatey Hen!
"Beshak Har Gair Mehram Se Parda Farz He Jiska ALLAH Aur Uske Rasool Ne Hukam Dya He.
Beshak Peer Mureeda Ka Mehhram Nahee Ho Jaata, Un Se Bhi Parda Laazim He"
(Masail e Sima'a P#32)

PARDA
@08

#Aurton Ko Chehrey Ke Parda
Ka Bhi Hukum Hey#

Chuna Chey
Irshad e Baari Ta'ala Hey;

Al-Qur'an;
"Aye Nabi
(Sallalahu Alaihi Wasallam) Apni Bibiyon Aur Betiyon
Aur Musalman Aurton Sy Farma Do
Ke Apni Chaadaron Ka Ek Hissa Apne Moun Par Daaley Rakhen"
(Surah e Ahzaab Ayat#59)

PARDA
@09

"Jo Aurat Nange Sar (Head) Ghar Sey Baahar Jaye Aur Gair Mardon Ki Nazar Us Aurat Pe Parey,
Usky Saath 3 Aadmi Jahannum My Jaayengy

1> Uska Baap
2> Uska Shohar
3> Uska Bhai

Forward This Msg to All People,And Protect Our
Daughter,
Wife,
Mother
And Sisters
So ALLAH Will Protect Us
From Hell

PARDA
@10

#Har Haal Men Parda#

Hazrat Syyedatuna
Umme Khalid
(RadiyALLAHu Anhaa)
Ka Beta Jang Men Shaheed Ho Gaya.

Aap Inke Baarey Men Malumaat Haasil Karny Ke Lye Naqaab Daaley
Baa Parda
Baargah e Risalat
(Sallallahu alaihi wasallam) Me Haazir Huyeen

Is Par Kisi Ne Hairat Sey Kaha;
"Is Waqt Bhi Aap Ney Naqaab Daal Rakha Hey"

Kehny Lageen;
"Me Ney Beta Zarur Khoya Hey, HAYAA Nahi Khoyi"

(Sunan Abi Dawood V3 P#09, H#2488)

PARDA
@11

Hazrat JUNAID BAGHDADI
Se Poocha Gaya;
Kya Koi MARD Kisi LARKI Ko Parha Sakta He?

Aapne Farmaya;

Agar Parhane Wala
BAYAZID BASTAMI
Hon

Parhne Wali
RABIA BASRI
Hon

Jis Jaga Parhaya Ja Raha He Wo
BAiTULLAH
Ho

Jo Kuch Parhaya Jaaye
Wo
KALAAMULLAH
Ho
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Phir Bhi Ijazat Nahi

PARDA
@12

Bad Aqida Deobandi Tanzeem Ka Ek Agenda Ye Bhi Tha K Wo Khawateen Ko Jabran Parda Karwate They
Magar
Mash'hoor Deobandi Singer
Junaid Jamshaed
Geo T.V
Par Apne Programe
ALIF LAAM MEEM
Mein Be-Parda Auraton Se ISLAMI Suwal Jawab Karta Hy
Is Par Aaj Ke Deo Bandi
Kyun Khamosh Hen ??

Fwd 2 All

PARDA
@13

#Bhaabi Sey Parda#

Uqba Bin Aamir RadiyALLAHu Anhu Marwi Hen
Ke Paikar e Sharm o Hayaa Sarkar e Do Aalam Sallallahu Alahi Wasallam Ne Farmaya;
"Aurton Ke Paas Janay Sy Bacho"

Arz Ki Gayi;
YA RASOOLALLAH!
Dewar Ke Muta'alliq Kya Hukum Hy?

Farmaya;
"DEWAR Mout Hey"

(Bukhari V3 P#472, H#5232)

PARDA
@14

Be-Pardagi ka Aalam
Me Kya Bataun Haaye!

Zehrila Saanp He Ye
Ummat Ko Dass Na Jaaye..

Har Simt Dekh Lo Ab Uryani,
Be_Hayaai

Ghairo Sy Hy Muhabbat
Apno Sy Bewafayi

Behno Ke Mashghalo Sy Bhai Bhi Be_Khabar Hen

Poochen To Kis Tarah Wo
Jab Khud Idhar Udhar Hen

Beti Bhi LaadLi Hey,
Parda Karey To Kesey?

Aangan Mey Apne Ghar Ke,
Jee Ko Bharey To Kesey?

Ye SOCH Hey Maghrib Ki,
Aur Kaam Himaaqat Key

Lo Ho Gaye Numaayan
Aasaar Qayamat Ke....

PARDA
@15

#Be Pardagi Ke Nuqsaanaat#

1> Aurat Jab Chehry Aur Jism Ko Be-Pardah Rakhey To Dosron Ko Fitny Me Daalti Hy
Kyunke Usey Phir Ahtemaam Karna Parta Hy Ke Uska Chehra Dilkash Dikhayi Dey.

2> Is Aadat Sy Aurat Ke Zameer Sy Rafta Rafta Sharm o Hayaa Jaati Rehti He
Jo Imaan Ka Lazmi Hissa Hy

3> Koi Mard Kisi Gair Aurat Ko Maa, Behen
Ka Darja Kabhi Nahi Dy Sakta,
Na Islam Me Iska Koi Tasawwur Hy
Ye To Bus Dil Ko Tasalli Dene Wali Baaten Hoti Hen

PARDA
@16

Baaz Log Kehty Hen Ke
Parda To Dil Aur Aankhon Ka Hota Hy.
Insan Ka Dil Saaf
Aur Nigahun Me Sharam Honi Chahye.

Un Se ARZ He Ke
Chalo Maan Lya
Ke Wo Apny Dil Ko To Jaanty Hen
Magar Dekhny Waly Ki Aankhon Aur Niyyat Ko Kesy Rok Sakte Hen?

Jab Hukum e Rabbi
Mojud Hey To Hum Bahaney Kyun Talaash Karen?

Umhaat ul Momineen Se Zyada Koun Sharm o Hayaa Wala Hoga?
Magar Unhon Ne Bi ALLAH Ke Hukum Ki Ta'meel Ki.

Ye PARDA To ALLAH Ke Ina'maat Se Hy.

PARDA
@17

#HiJAAB Ke Fawaaid#

Parda Aisa Sharyi Hukum Hy Jis Me Deen o Dunya Ka Fayda Hy

> Baa-Pardah Aurat Apny Rabb Sy Zyada Qareeb Hy Aur Uski Hifazat Me Hy

<<< PARDA >>>

> Insan Numa Darindo Ki Taiz Nazron Sy Bachata Hy

> Aurat Ke Lye Afzal Tareen A'maal Me Sy Hy

> Naswani Husn Ka Muhafiz Hy

> Aurat Ki Fitrat e Hayaa Ka Taqaza Hy

> Shaitan Aur Iske Aala Karon Se Bachao Ka Zarya Hy

> Taqwey Ka Libaas,Izzat Ka Tamga,
Aur Hayaa Ki Daleel Hy

PARDA
@18

Be-Parda Aurat Ki Misal
Gulab Ke Phool
Ki Tarah Hy
Aur
Baa-Pardah Aurat Ki Misal Kali
Ki Tarha Hy

Aadat e Insani Hy
Ke Wo Kabhi Kali Nahi Torta
Bulke Phool Ko Torta Hy,
Soonghta Hy,
Kuch Dair Baad Jab Dil Bhar Jata Hy
To Masalta Hy
Ya Phenk Deta Hy

Ab Aurat Ki Marzi
PHOOL Baney
Ya KALI

PARDA
@19

Q.Kya Aurat Neki Ka Kaam Media Par Kar Sakti Hey Naiz Parda Kin Se Hey?

A.
Awwal To Aurat Ko Shariyat Ne Apni Aawaz Bhi Gair Mehram Tak Puhnchane Ki Ijazat Hi Nahi Di,
Bus Itni Riya'yat He Ke Gair Mehram Ki Aawaz Sunne Sy Agar Shehwat Ka Andesha Na Ho To Sun Sakta Hey,
Agar Tasweer Ke Saath Media Par Aaye Ye Ashad Haraam Hy

Yaad Rahy!
Na Mehram Wo Hy Jis Se Nikah Hosakta Hy
Islye Couzins Wagera Se Bhi Parda Laazim Hoga, Wo Bhi Naa Mehram Hen

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved