Update
Loading...
Wednesday 26 June 2013

¤ILM-E-GAIB¤



TOPIC "ELM E GAIB"
SMS (1-30)

SPREAD THE INVITATION OF MADNI SMS ISLAMIC GROUP
-----------------------------------------------

¤ILM-E-GAIB¤
(sms1)
Khalique Aur Maklooq Ka Ilm Mein Barabri Nahe
Ala Hazrat Shah Ahmed Raza Khan Rehmatullahe Alaihi Bayan Karte Hai;
*Allah Ka Ilm Zaati Hai Maklooq Ka Ilm Attai Hai*Allah Ka Ilm Azli,Qadeemi,Haqeqi HaiMaklooq Ka Ilm Haa'dis Hai Is Liye
(Hamesha Se Nahe)
*Ilm Ilahi Ka Hamesha Rahna Wajib Hai
Ilm Maklooq Ka Fannah Mumkin Hai
*Allah Ka Ilm Maklooq Nahe
Maklooq Ka Ilm Bhe Maklooq Hai(Paida Kiya Gaya Hai)    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms2)
Allah Taala Apne Mehbøob(Sallallaho Alaihi Waasalam)Se Mukatib Karke Farmata Hai;"Aur Tum Per Yea Quran Utara Har Cheez Ka Roshan Bayan"{Surah AlnahalAyat;89}Aur Farmata Hai;"Aur Har Choti Bari Cheez Likhe Howi Hai"{Al-QamarAyat;53}Aur Farmata Hai;"Hur Cheez Hum Ne Ek Roshan Peshwa Mein Gun Rakhe Hai"{Surah YaseenAyat;12}
     

¤ILM-E-GAIB¤
(sms3)
Aur Farmata Hai;"Zameen Ke Andhariyoun Mein Koi Dana Nahe Aur Na Koi Tarokush,Magar Ek Roshan Kitab Mein"{Surah Al-inamAyat;59}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms4)
Rasool(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ke Pass Ek Chor Laya Gaya,
Ap(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ne Farmaiya Qatal Kardo,
Arz Ke Gaye Ke Chori He tu Ke HaiFarmaiya Is Ke Hath Kat Do Phir
Siddique-Akber(Radi'Allahu Anhu)Is Haal Mein Laya Gaya Ke Taamam Hath Pao Kate Ja Chuke TheApp Ne Farmaiya
"Mein Is Ke Bagair Tera Elaj Nahe Janta Jo Rasol(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ne
Tery Barey Mein Faisla Farmaiya Tha Is Ko Qatal Kardo Woh Tera Haal Khob Jante The"
{Al Maajam AlkaberRaqam;3409Jild;3Pg;279}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms5)
"Imam Mujahid"
Ibne Abbas Ke Khas Shagird They Farmate Hai;
"Munafiqen Mein Se Ek Skhs Ne Kaha Muhammad Gaib Kiya Janain"
{Al Manshoor Fee Altafseer AlmaasoorJd;65Pg;230}
Is Per Allah Farmata Hai;"Aur AAYE MEHBOOB!! Agar In Se Pooch Tu Kahein Ge Ke Hum Tu Youn He Hansi Khel Kar Rahe The Tum Farmao Kiya Allah Aur Is Ke Ayato Aur Is Ke Rasool Se Hanste Ho,Bahane Na Banao,Tum Kafir Hochuke Muslman Hokar"
{Surah ToobaAyat;65,66}
     

¤ILM-E-GAIB¤
(sms6)
Quran;
"Beshak Allah Ke Pass Qayamet Ka Ilw Aur Utarta Hai Meein Barsata Aur Maao Ke Pait Mein Aur Koi Jaan Yea Nahe Janti Ke Kul Kiya Kaamaiye Ke Aur Koi Jaan Yea Nahe Janti Ke Kis Zamen Mein Mare Ga,Besk Allah Jan'newala Batane Wala Hai"
{Surah LuqmanAyat;34}
"Is Ayat Mein Gair Allah Se 5 Baatao Ke Ilm Ke Nafi Zaati Hasiyat Se Ke Gaye Hai
Jubke Allah Ke Seekane Se Iske Bundo Ko Yea Uloom Ho Sakte Hai,
Is Mein Koi Maane Nahe Jaise Anbiya Ouliya Ko"
{Tafser SaawiJd;5Pg;13Mutaffa;1241}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms7)
"Ye Uloom Kaamsa Gaib Ke Kunjiyan Hen,
Jis Ka Ilm Allah Ne Apne Zaat Ke Sath Khas Karliya He
Unhain Koi Nahe Janta Siwaie Is Ke Allah Is Ka Ilm Kis Ko Atta Farmaye"
{Tafseer Ibne KaseerJd;3Pg;455}
Quran Farmata Hai;
"Aur Nabi Gaib Baatane Mein Bukeel Nahe"{Surah AltaakweerAyat;24}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms8)
Uloome Kaamsa;
*Qayamet Kub Hoge?
*Barish Kub Hoge?
*Maa Ke Pait Mein Kiya Hai?
*Insan Kul Kiya Kare Ga?
*Kon Shks Kis Jaga Mare Ga?    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms9)
QURAN;
"GAIB ka Jaane Wala Tu Apne Gaib Ko Kisi Per Zahir Nahe Karta Siwai Apne Pasandeda Rasoolon Ke"
{Surah Aljinayat;26}
Aur Allah Taala Farmata Hai;
"Aur Yea Nabi Gaib Batane Mein Bukeel Nahe
"{Surah Al TakweerAyat;24}Eman Walo Ke Shaan Tu Yea Hai Ke Pore Quran Per Eman Rakhte Hai,
Quran Mein Aisa Nahe Hosakta Ke Ek Maqam Per Kisi Chez Ka Sabot Ho
Aur Dosre Maqam Per Ishe Chez Ka Inqar Ho.
Lehaza Ilm-e-Gaib Ke 2 Qism Hai
*Ilm-e-Gaib Zaati
*Ilm-e-Gaib Attai
Yahan Ilm-e-Gaib Attai Wala Hai.    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms10)
*Rooz-e-Awal Se Qayamet Tk Tafsel Ke Sath Aqa(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Ko Uloom Kamsa(5) Mein Se Hur Hur Waqiya Ka Ilm Allah Ne Atta Farmaiya.
*LOOH-E-MEHFOOZ Mein Jo Kuch Howa Aur Jo Kuch Hoga Ilm Atta Farmaiya
*AQA(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ko Taayun Waqt Qayamet Ka Bhe Ilm Hai.
*AQA(Sallallaho Alaihi Waasallam) Ko Quran Ke Taamam Mutashaabhat Ka Ilm Hai.
*AQA(sallallaho Alaihi Waasallam)Ko Haqeqat Rooh Ka Bhe Ilm Hai.    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms11)
Beshak Alim-ul-GAIB Allah He Ke Zaat Hai,
Zaati Tøor Per Gaib Woh He Jaanta Hai Quran Mein Hai;
"Aur Allah Ke Shaan Yea Nahe Ke Aam Logo!!
Tumhain Gaib Ka Ilm De De,
Han Allah Chun Leeta Hai Apne Rasoolon Mein Jisey Chahe"
{Al-ImranAyat;179}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms12)
Hazrat Yaqoob(Alaihi Salam) Ne Apne Beeton Ke Samne Is Attaai Rubani Ka Izhar Karte Hoye Farmaiya;
"(Yaqoob Alaihi Salam Ne) Kaha Ke Mein Na Kahta Tha Ke Allah Ke
Woh Shaanain Maaloom Hain Jo Tum Nahe Jante"
{YousufAyat;96}
Hazrat Essa(Alaihi Salam) Apne Khudaad Ilmi Mojzaat Ka
Izhar Karte Bani Israil Se Youn Farmata Hain;
"Aur Tumhain Baatata Ho Jo Tum Khate Ho Aur Jo Apne Gharon Mein Jaama Kar Rakhte Ho,
BESHAK In Baatao Mein Tumhare Liye Bari Nishani Hai Agar Eman Rakhte Ho"
{Al-ImranAyat;49}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms12-B)
Hazrat Yousuf(Alaihi Salam)Apne Ilme Mojze Ka Izhar Youn Farmate Hain;
"(Hazrat Yousuf Alaihi Salam Ne Jail Mein Qaidiyoun Se) Farmaiya;
"Jo Khana Tumhain Mila Karta Hai Woh Tumhare Pass Na Ane Paye Ga
Ke Mein Is Ke Taaber Is Ke Ane Se Phele Tumhain Batado Ga,
Yea In Ilmo Mein Se Hai Jo Mery Rub Ne Seekhaiya"
{Surah YousufAyat;37}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms13)
"Aur Tumhain Seekha Diya Jo Tum Na Jante They Aur Allah Ka Tum Per Bara Fazal Hai"
{Surah Al NisaAyat;113}
Is Ayat Ke Tahat "Tafseer-e-Jalalain Mein Hai;
"Yeani Ahkham-e-Sharah Aur Gaib Ka Ilm Seekha Diya    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms14)
Hazrat Abou Moosa Ashari(Radi'Allahu Anhu) HUZOOR(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Kuch Aise Suwalat Kiye gaye Jo App Ko Napasand They
Jub Suwalat Ziyada Hone Lage Tu App (Sallallaho Alaihi Waasalam)
Naraz Hogaye Phir Logo Se Farmaiya;
"JO CHAHO PHOCH LO!!"Ek Skhs Ne Arz Ke;
"YA'RASOOL ALLAH! Mera Baap koun Hai??Farmaiya;
"Tumhara Baap Huzaifa Hai"
Dosra Khara Hokar Arz Ke;
"Mera Baap Koun??FARMAIYA;
"Ke Tumhara Baap Salaam Sheeba Ka Azad Gulam Hai"
Hazrat Omer(Radi'Allahu Anhu) Ne App (Sallallaho Alaihi Waasalam)
Ke Chehra Anwar Per Gaazab Ke Aasar Dekhy Tu Arz Kiya;
"YA RASOOL ALLAH!!Hum Allah Taala Ke Taraf Tooba Karte Hain.
{Sahe BukhariKitab Ul-ilmRaqam;92Pg;21}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms15)
Jo Pechle Hadees Bayan Ke Gaye The Us Mein Suwal Karne Waley Shabi Ka Naan Abdullah Tha,
Is Suwal Ke Waja Yea The Ke Log In Ke Nasab Mein Shak Karte The,
Kabhe Jagra Mein Dosrey Ke Taraf Mansob Kar Detey The,
AQA(SALLALLAHO ALAIHI WAASALLAM) Ke Irshad Ke Bd Logo Ka Shk-O -Shuba Dur Hogaya,
DOSRE Saad Bin Salam Moula Sheeba They,
Un Ke Sath Bhe Yea He Mamla Tha.
WAHA KIYA BAAT HAI ILME GAIB KE    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms16)
Hazrat Omar (Radi'Allahu Anhu) Se Riwayat Hai;
Huzøor(Sallallaho Alaihi Waasallam) Hamare Darmiyan Khare Howe The
Aur Maklooq Ke Paidaish Ke Ibtada Ke Mutaliq Khabar De
Yahan Tk Ke JANNATI Apne Teekano Aur DOZAKHI Apne Teekano Meim Dakil Hogaye,
Is Jis Ne Yaad Rakha So Yaad Rakha,
Jo Bhool Gaya So Bhool Gaya.
{Sahe Bukhari Kitab Bd -e-AlkhalqRaqam;3192Pg;532}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms17)
Hazrat Sobaan(Radi'Allahu Anhu) Se Marvi Hai;
Rasool(Sallallaho Alaihi Waasalam) Ne Farmaiya;
"Allah Taala Ne Tamam Rohe Zamen Ko Mery Liye Lapait Diya
Aur Meim Is Ke Tamam Mashrik Wo Mugarib Ko Deekh Liye
Aur Beshak Meri Umet In Mashariq Aur Magarib Ke Mulkoun Tk Phonche Ge,
Jitne Zamen Ko Mery Liye Lapaita Gaya Aur Mujhe Surk o Safaid Döno Kazane Atta kiye Gaye"
{Sahe MuslimKitab Al FatinRaqam;2889;7258pg;125}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms18)
Hazrat Anus(Radi'Allahu Anhu) Se Riwayat Hai;
Nabi(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ne Hazrat Zaid,
Jaffar Aur Ibne Rawah (Radi'Allahu Anhum)
Ke Mout Ke Kabar Ane Se Phele Logo Ko Un Mout Ke Kabar Suna De
Is Tarah Ke App(Sallallaho Alaihi Waasallam) Farma Rahe The Ke
Janda Zaid Ne Pakra Aur Woh Shaheed Hogaye Phir Jaffar Ne Le Liya Hai
Aur Woh Bhe Shaheed Hogaye Phir Ibne Rawah Ne Liya Woh Bhe Shaheed Hogaye
Aur App(Sallallaho Alaihi Waasallam) Ke Ankhain Ashk Bahar Rahe The
(Phir Farmaiya) Hatha Ke Janda Allah Ke Talwar Mein Se Ek Talwar Ne Liye
(yeani Hazrat Khalid Bin Walid Radi'Allahu Anhu) Ne Hatta Ke Allah Ne Muslamano Ko Kafiron Per Fatha De.
{Sahe BukhariRaqam;4262pg;722}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms19)
Phicle Jo Hades The Wo Waqia Jang e Moata,
Jo 8 Hijri Mein Paish Aya Aur Is Jang Mein 3000 Muslaman The
Aur Hurkul Ke Roomi Fouj 100000 The .
Aqa(Sallallaho Alaihi Waasallam)Ne Lashkar Rawana Hone Se Phele Farmate Waqt Sipe Salaar)
Zaid Bin Harsah (Radi'allahu anhu) Jaffar Bin Abi Talib (Radi'Allahu Anhu) 3)
Abdullah Bin Rawah(Radi'Allahu Anhu)
Ko Muqarar Farmaya Tha
Ye Hazraat Yakke Baad Deegar Shaheed Horahe The Aur Jande Le Rahe The
Aur Yahan Aqa(Sallallaho Alaihi Waasallam) Masjid Nabwi Mein In Tamam Halat Aur Waaqiyat Ke Kaber De Rahe The,
Aj Kul Doorbeen Ke Zariye Door Tk Dekh Leta Hai Yeahn Nabouwat Ka Rohani Doorbeen Ka Kiya Kahna.    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms20)
Hazrat Ibne Abbas(Radi'Allahu Anhu) Se Riwayat Hai;
Nabi Kareem(Sallallaho Alaihi Waasallam) Do Qabro Ke Pass Se Guzrey Tu Farmaiya;
"Inhain Aazab Horaha Hai,
Kis Kabeera Gunnah Ke Bais Nahe,
Un Mein Se Ek Pishab Ke Cheinto Se Nahe Bachta Tha Aur Dosra Chugliya Khata Phirta Tha,
Phir Ek Subz Tehni Le Aur Is Ke Do Hisey Kar Ke Hur Qaber Per Ek Hisa Gaar Diya,
Log Arz Guzar Howe;
"YaRASOOLALLAH(Sallallaho Alaihi Waasallam)Aisa Kyoun Kya?"
Farmate Hain;
"Jub Tk Yea Khusk Nahe Hon Ge Tub Tk Azab Mein Kami Hoge"
{Sahe Bukharikitab al wozuRaqam;218Pg;41}    


¤ILM-E-GAIB¤
(Sms21)
Hazrat Anus Bin Malik
Ne Farmaiya;Nabi-E-Karim
(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Ne Hamain Namaz Parhai Phir Mimber Per Jalwa Afroze Ho Kar Farmaiya;
"Mein Tumhain Peche Se Bhe Is He Tarah Deekhata Hun Jaise Samne Se Tumhain Dekhta Hun"
{Sahe Bukharikitab Us SalatRaqam;419pg;73}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms22)
Hazrat Uqba Bin Aamir
(Radi'Allahu Anhu)
Se Riwayat Hai;
"Huzoor
(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Ek Din Tashref Le Gaye Aur Ahle Uhad Per Namaz Janaza Ke Tarah Namaz Parhe Phir Mimber Per
Wapis Hoye Aur Farmaiya;
"(Houz-e-Kauser Per Tumhari Madad Keliye)
Mein Phele Phonchne Wala Hun,
Mein Tumhara Gawah Hun Aur Allah Ke Qasam!!Mein Apne Houz-e-Kauser Ko Is Waqt Dekh Raha Hun
Aur Mujhe Zamen Ke Kazano Ke Kunjiyan De Gaye Hain,
ALLAH KE QASAM!!Mujhe Yea Dar Nahe Ke Tum Log Merey Bd Shirk Karo Ge
Lekin Mujhe Yea Dar Hai Ke Duniya Ke Maal Ko Ek Dosre Se Hasil Karne Ke La'lach Karo Ge"
{Sahe Bukhari Kiab Aljanaizaraqam;1344pg;214}    


¤ILM-E-GAIB¤
(Sms23)
Jo Pechle Hades The Us Se Maloom Howa Ke Houz-e-Kauser Ko Ap
(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Ne Duniya Mein Hote Howe Deekh Rahe The Jaise Qasam kha Kar Farmaiya
Ke Houz-e-Kauser Ko Dekh Rahe Hain.
FAZIL ABDUL KHAN AKHTER SHAHJAHAN PORI Farmate Hain;
"Is hadees se Maløom Howa Nigah-e-Mustafa
(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Ka Ilm Tha Ke Zamen Per Rahte Howe Houz-e-Kauser Ko Dekh Liya Karte The"
{Bukhari Mutrajim o Maashejild;1Pg;846    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms24)
Is Hades Se Ek Aur Bhe Mas'ala Maloom Howa Ke Aqa
(Alaihissalatu Wassalaam)
Ne Farmaya Ke Mere Bd Tum Shirk Mein Mubtila Nahe Hoge Yea Pori Umet Ke Liye Farmaiya
Allama Aini Farmate Hain;
"Is Hades Se Maløom Howa Ke Aqa
(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Ko Apne Umet Ke Sìrk Ka Dar Nahe Hai Lekin Duniya Ke Lalach Ka Dar Hai
Aur Duniya Ke Lalch Ke Bina Per Apas Mein Hasad Aur Bukul Wakiya Hota Rehta Hai"
{Umdata Alqari pg;216 Jd;6}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms25)
Hazrat Sahal Bin Saad
(Radi'Allahu Anhu)
Farmate Hai;
Huzoor(Sallallaho Alaihi Waasalam) Ne Farmte Hai Gazw-e-Khyber Per;
"Kul Janda Mein Aise Shks Ko Dun Ga Ke Allah Us Ke Hath Per Fatha Atta Farmaiye Ga,
Woh Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabaat Karta Hai Aur Allah Aur Us Rasool Us Ne Muhabaat
Karte Hain
"Raat Bohat Bechaini Se Guzari Ke Janda Kis ko Mile Subha Irshad Kiya
"Ali Ibne Talib Kahan Hai"
Arz Ke;
YarRASOOL ALLAH UN KE ANKHAIN DUKHTE HAI"
Un Ko Bulwaiya Gaya Aur Un Ke Ankh Mein Apna Luhab Daahn Laga Diya Aur Dua Farmaiya,
Aur Phir Janda Atta Kiya,Un Ke Ankh Aise Hogaye Jaise Kabhe Dard He Nahe Tha
{Bukharikitab Al magzeHades;4210Pg;715}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms26)
Hazrat Ayesha(Radi'Allahu Anha)
Se Riwayat Hai;Ek Din Aqa
(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Se Baaz Azwaj Ne Pocha
"Ap Ke Is Duniya Se Wisal Farmane Ke Hum Mein Sub Se Phele App Se Akar Koun Milen ge?
Aqa(Sallallaho Alaihi Waasalam)Ne Farmaiya;
"Tum Mein Se Jis Ka Hath Lumba Hai Woh Mujh Se Akar Mile Ga"
Hazrat Sooda Binte Zamaa(Radi'Allahu Anha)
Ka Intaqal Sub Se Phele Howa Kyoun Ke Woh Sadqa o Kairat Karne Mein Un Ka Hath Sub Mein
Lumba Tha
{Sahe Muslimkitab Fazail Raqam;6316pg;1079}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms27)
Anus Bin Maalik
Se Riwayat Hai;
"Huzoor(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Uhad Phar Per Charhe Aur
Abou Baqar,Omar Aur Usman (Radi'Allahu Anhum)
Bhe Sath Pahar Per Charhe Tu Phar Larzne Laga"
Aqa Ne Farmaiya;
"Aaye Uhad!! Ruk Ja Tujh Per Ek Nabi,Ek Siddique Aur Do Shaheed Hain;
{Sahe BukhariRaqam;3675Pg;17}
Is hades Se maloom Hota hai Ke Allah Ke atta Se Sarkar(Sallallaho Alaihi Waasalam)
Ko Is Baat Ka Ilme Gaib Tha    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms28)
Hazrat Ali(Radi'Allahu Anhu)
Se Riwayat Hai Nabi e Kareem
(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Ne Mujhe Hazarat Abou Marsad Ghaznawi Aur Zubair Bin Awam
(Radi'Allahu Anhun) Se Farmaiya;
"Rozh-e-Khaakh Ke Pass Jaho Wahan Mushrikeen Aurat Hatim Bin Abi Baltha Ka Ek Khath Hai Jo
Mushriken Makkah Ke Liye Likha Gaya Hai"
Jub Hum Us Maqam Per Phonche Tu Ek Aurat Ounth Per Jarahe The Hum Ne Usey Roka Aur Khath Ka
Suwal Kiya
Us Ne Manna Kiya Magar Humain Yea Maloom Tha Ke Nabi e Kareem
(Sallallaho Alaihi Waasallam)
Kabhe Jhot Nahe Kahte Thore Zoor Aur Zabardasti Per Usne Woh Khath Nikal Diya.
{Sahe BukhariKitab AlmagazePg;672Raqam;3983}    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms29)
Suwaal:
Agar ilm sirf wahi k zaria aaya tu is pehlay huzoor (Alaihissalam) gar e hira mein kia
karnay jatay thay?
Kia ibadat k lia ko wahi aai thi?
Jb quran 23 saal ke arsey me naazil hua to sarkar is se mukammal quran majid ki dour kese
farmatey they?    


¤ILM-E-GAIB¤
(sms30)
Suwaal:
Q~ Kya "AALIMUL GAIB" aur "AALIM E GAIB" aik he istilah he ya in me kuch maanwi faraq hy?
Q~ "Soora e Aaraf" k tarjumay me khud sakhta (Zati ya Atai) k izafey ko bidat sy mustasna karen?
Q~ Kya Huzur k Ataee ilm k B ap munkir hen?
Q~ Jo Sareeh Aayat o Sahee Ahadees Huzur k Atai ilm pe daal hain kia un ka ap inkar karte hen?
Q~ Agar inkar nahi karte to kya Quran ko ikhtilaf o intishar peda karne wali kitab sabit karna chahte hen?

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved