Update
Loading...
Wednesday, 26 June 2013

Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu



@1
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

RadiyALLAHu Anhu
Sirf Sahaba e Kiram Alaehimur Ridwan
Ke Saath Khaas Nahi.
Taabaeen e Izaam,
Ulama o Sulaha e Ummat Ke Lye
Bhi Kaha Jaa Sakta Hy

QUR'AN Kareem
Se Bhi Is Baat Ki Taa'eed Hoti Hy
Ke RadiyALLAHu Anhu Ka Lafz
Sahaba e Kiram Ke Saath Khaas Nahi.
Cont...

@2
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

1>
"Aur Sab Se Aagey Aagey
Aue Sab Se Pehley Pehley Imaan Laney Waley,
Muhajireen o Ansaar Sey,
Aur Jinho Ne Bhalayi Ke Saath
Inki Pairwi Ki,
(RadiyALLAHu Anhum wa Radoo Anho)
Ya'ni ALLAH In Se Raazi Ho Gaya
Aur Wo ALLAH Se Raazi Ho Gaye"
(Sura e Touba Aayat#100)

2>
"RadiyALLAHu Anhum
Wa Radoo Anho
Un Logon Ke Lye
Jo Apnay Rabb Sey Daren"
(Al-Bayyinah Aayat#8 )

Parhezgaaron
Ke Lye Bhi
Ye Istemaal Kya Jaa Sakta Hey

@3
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

Bayan Ki Gayi Donu Aayat Ke Tehat,
Tafseer e Madarik,
Kabeer,
Roohul Bayan,
Khazin,
Baghwi Etc My
Tehreer Hy
Ke Jaleelul Qadar Ulama o Mashaikh
Ke Jinhe Khashiyyat e Ilahi Hasil Ho
Unke Namon Ke Saath
Is Laqab Ka Istemal Kya Jaye Jese Buzurgon Ne Kya,
Ye Mustahab Hy

@4
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

Ulama o Fuqaha Ke Aqwaal Sey Bhi
Ye Sabit Hey Ke
*Taraddi*
Y'ani RadiyALLAHu Anhu Kehna,
Bila Takhsees, Sahaba o Gair Sahaba
Sab Ke Lye Mustahib Hey.

Kuch Hawaley;
1> Tanweerul Absar P#759
Allama TamarTashi

2> Durr e Mukhtar
Allama AlaaudDin Haskafi

3> Istazkar 324/20368
Abdul Bir Qurtabi

4> Shifa P#287
5> Ikmalul Muallim P#305
Abul Fazal Qazi Ayyaz Maliki

5> Kitabul Azkar P#154
Imam Yahya Ashraf Nowawi Shafayi

@5
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

# Fuqaha Sey Gair e Sahaba Ke Lye
IsKe Istemal Ki Misaalen #

1> Sahee Muslim Me
Imam Muslim Ne
Owais Qarni Ko P#1228

2> Ashi'atul Lam'at Mey
Shaikh e Muhaqqiq Ne
Owais Qarni Ko P#743/4
Imam Shafayi ko P#16/10
Imam Bukhari ko P#9/10

3> Raddul Mukhtar Me
Allama Shami Ne
Sirf 1st Jild Mey
6 Maqam Par
Imam Azam Ko
35-36-37-38
Imam Shafayi Ko
135-136/1
Hazrat Sahal Tastari Ko
131/1

4> Durr e Mukhtar Me
Allama Alauddin Haskafi Ne
Imam Azam Ko P#46
Imam Shafayi Ko P#15
Abdullah Bin Mubarak Ko P#14

5>Tafseer e Kabeer Me
Imam Raazi Ne
Imam Azam Ko
P#382/6

@6
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

6> Umdatul Qari Me
Allama Aeni Ne
Imam Azam Ko P#15/1
Imam Shafayi Ko P#15/1

7> Hashiya Tahtawi Me
Allama Tahtawi Ne
Imam Azam Ko P#11-17

8> Ahyaul Uloom Me
Imam Gazali Ne
Imam Azam Ko P#37/2
Imam Shafayi Ko P#17-29-37/2
Malik Bin Dinar Ko P#37/2

9> Mutaleul Musarrat Me
Imam Mehdi Fasi Ne
Imam Malik Ko P#11
Imam Juzooli Ko P#3-4-5

10> Fathul Bari Me
Ibne Hajar Asqalani Ne
Imam Bukhari Ko 7/1
Imam Shafayi Ko 15/1

@7
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

11> Tabeedul Saheefa Me
Imam Suyooti Ne
Imam Azam Ko P#17
Imam Shafayi Ko P#125

12> Sharah Muslim Me
Imam Nowawi Ne
Imam Muslim Ko P#14-18-19/1
Imam Farawi Aur
Ibne Asakar Ko 15/1

13> Mishkatul Masabeeh Me
Khateeb Tibreezi Ne
Imam Baghwi Ko P#20/2-1

14> Naseemur Riyaz Me
Allama Khafaji Ne
Allama Qazi Ayaz Ko P#16/1

15> Akhbarul Akhyar Me
Shaikh e Muhaqqiq Ne
15 Maqamaat Par
Huzoor Gous e A'zam Ko
P#15 to 214

@8
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

16> Mirqatul Mafateeh Me
Mulla Ali Qari Ne
Abdullah Bin Mubarak,
Lais bin Saad,
Malik bin Anas,
Daood Taai,
Ibrahim Bin Adham Aur
Fuzail Bin Ayaz Ko P#18/1

17> Tafseer e Saawi Me
Allama Sawi Ne
10 Ulama Ko P#10/1

18> Bahijjatul Asraar Me
Allama Shatnooni Ne
Gair Sahaba Ko Beshumar Martaba
Is Laqab Ke Saath Yaad Kya

19> Hidaaya Me
Sahib e Hidaya Ko Beshumar Martaba
Unke Shagirdon Ne
RadiyALLAHu Anhu Likha Hey

@9
Gair e SAHABA Aur RadiyALLAHu Anhu

Hadd To Ye Hey Ke
20> Tazkiratur Rasheediya 38/1 Par
Qasim Nanotvi o
Rasheed Gangohi
Ko Bhi RadiyALLAHu Anhu Likha Gaya

Copyright © 2013 MADNI GROUP All Right Reserved