Pages

Thursday, 4 July 2013

@Yaar-E-Ghaar@



@Yaar-E-Ghaar@
#01

Azaad Mardon Mey
Sab Sey Pehley Imaan Laane
WaLey Sahabi Siddiqu e Akber Hen

Phir Aap Ki Dawat o Tableeg Sey
Wo 5 Sahaba Doulat e Imaan Sey Musharraf Huey
Jinka Shumar Un
10 Khush Naseeb Sahaba Me Hota Hey Jinhe Huzoor Ne Dunya Hi Me
Jannat Ki Bishaarat Dey Di
(Tareekh ul Khulafa)

@Yaar-E-Ghaar@
#02

Huzoor,
Moula Ali
Aur Tamam Ulama
Ke Nazdeek AMBIYA Ke Baad
Ummat Me Tamam Logon Mey
Sab Se Afzal
Hazrat Abu Bakar Hen
(Tareekh ul Khulafa)

@Yaar-E-Ghaar@
#03

1 BaaKamal Ustaad
Apne Jis Shagird Mey
Jis Khoobi Ki Salahiyat Pata Hey
Isey Usi Me BaaKamal Banata Hey
Jesey
Huzoor Ne
Khulafa e Arb'aa Me
Moula Ali Ko Haidar-e-Karrar,
Usman Ghani Ko ZunNoorain,
Hazrat Umar Ko Farooq-e-Azam
Aur
Abu Bakar Ko Khalifa-e-Awwal
SiDDiQUE Akbar Banaya

@Yaar-E-Ghaar@
#04

AL-Quran ;
"Sirf 2 Jaan Sey Jab Wo Donu
Ghaar Mey They"
(Touba Aayat#40)

Siddiqu e Akbar
Wo Sahabiy e Rasool Hen
Jinhen Hijrat e Madina Ke Mouqey Par
Ghaar e Sour Me Sarkar
Apni Qurbat e Khaas Sey Nawaztey Rahey
Isi Lye Aapko Yaar e Ghaar Bhi
Kaha Jata Hy
(Mishkatuk Masabeeh 4/417)

@Yaar-E-Ghaar@
#05

Hazrat Abu Bakar Siddique
Sahabi Ibn e Sahabi Bhi Hen
Aur Inki Chaar Pushtey Bhi Sahabai Huin.

Ye Khud Sahabi
Phir Aapke Waalid
Abu Qahafa Sahabi
Phir Aapke Sahab Zaadey
Abdur Rahman Sahabi
Aur Phir Inke Sahib Zaadey
Abu AteeQ Muhammad Sahabi Hen
(Mir'aat Sharah Mishkat 8/310)

@Yaar-E-Ghaar@
#06

Sarkar Alahissalatuwassalam
Farmatey Hen ;

Siddiqu e Akbar Ki Ek Naiki
Hazrat Umer Ki Saari Umar Ki
Nekiyon Ke Barabar Hen
(Mishkat P#560)

@Yaar-E-Ghaar@
#07

Baargah e Rabbul Ulaa
Me Hazrat Abu Bakar
Ne 'SAHIB e TAQWA' Ka Laqab Paaya.
(Sura e Lail Aayat#17 Ke
Tehat Fatawa Razavia 28/512)

Baargah e Risaalat Sey
'ATEEQ' Aur 'YAAR' Ka Laqab Mila.
(Tareekh ul Khulafa 29)
(AL MoJam 11/208 )

Farishton Ne Aapko Siddique Kaha
(BuKhari 8/370)

@Yaar-E-Ghaar@
#08

ATEEQ = Naar e Dozakh Se Azaad
SiDDiQUE = Buhat Zyada Such BoLne WaLey

InKi Sanad
Wo Khud Aur JibreeL e Ameen Hen.
(Irshadus Saari 8/370)

@Yaar-E-Ghaar@
#09

Sarkar AlaihissalatuwasSalam
Uhad Pahaar Par Tashreef Le Gaye,
Hazraat e AbuBakar,Umar o Usman RadiyALLAHU Anhum Bhi Saath Charhey,
To Pahaar Larzney Laga

Aaqa Ne Farmaya;
"Aye Uhad !!
Ruk Jaa, Tujh Par Ek Nabi,
Ek Siddique
Aur Do Shaheed Hen
(Bukhari H#3675 P#17, 1/519)

@Yaar-E-Ghaar@
#10

Hazrat Ali ;
Beshak Abu Bakar 4 Baaton Me
Mujhse Sabqat Le Gaye
1> Mujh Sey Pehley Islam Qubool Kya
2> Mujh Sey Pehley Hijrat Ki
3> Huzoor Ke Yaar e Ghaar Huey
4> Namaz Qaaim Ki Is Haalat Me
Ke Me Un Dino Ghar Me Tha
Aur Wo Apna Islam Zaahir Kartey
Aur Me Chupata Tha
(Mawahib :218)

@Yaar-E-Ghaar@
#11

Sarkar Ne Logon Ko Hukum Dya
Ke Wo Abu Bakar Ke Peechey
Namaz Parhen
Ittefaq Sey Hazrat AbuBakar Mojud Na They
To Hazrat Umar Aagey Barhey

Lekin Huzoor Ne Farmaya;
Nahi
ALLAH Aur Musalman
AbuBakar Sey Raazi Hen,
Wahi Logon Ko Namaz Parhayen Gey
(Tareekhuk Khulaga P#43)

@Yaar-E-Ghaar@
#12

"ALLAH Ney Mere Baad
Siddique e AKbar Sey
Behtar o Buzurg Kisi Ko Na Banaya,
Aur AbuBakar Ki Shafa'at,
Shafa'at e Ambiya Ki Manind Hogi.
(Tareekh e Baghdad 3/340)

"Aye Abul Hassan!
Abu Bakar Ka Martaba
Mere Yahan Aisa Hey
Jese Mera Martaba
Mere Rabb Ke Huzoor"
(Fatawa Razavia 8/610)

@Yaar-E-Ghaar@
#13

AbduLLAH Bin Abbas Farmatey Hen ;
"Mene Dekha Ke Huzoor
Hazrt Ali Ke Saath Kharey Hen
Itney Me AbuBakar Hazir Huey,
Huzoor Ne Un Sey Haath Milaye,
Galey Lagaya Aur Unke Moo Par Bousa Dya

Hazrat Ali Ne Arz Ki;
Kya Huzoor
AbuBakar Ka Moo Choomte Hen?

Farmaya:
"Aye Abul Hassan !
AbuBakar Ka Martaba Mere Yahan
Aisa Hey Jesey Mera Martaba
Mere Rabb Ke Huzoor"
(Fatawa Razavia 8/610)

Malum Hua
Aaqa o Moula Bhi In Sey Muhabbat
Farmatey Hen

@Yaar-E-Ghaar@
#14

Siddiqu e AKbar
Ishq e RasooL e Baa Kamaal
Ki Doulat e Be Misaal Sey
Is Qadar MalaaMaaL
Aur Sarfaraz They
Ke Aap Ne Fanaa-Fir-Rasool
Ka Darja Bhi Paya.
(Mir'aaTuL Mihajin 8/295)

Aapki Wafaat Ka
Ek Sabab Ye Bana
Ke Aap Ne
Gham e MustaFa
Me GhuL GhuL Kar Jaan Dedi.

2 Saal 7 Maah Masnad e Khilaafat
Par Jalwa Afroz Rahey.

13 HiJri
22 Jamadil Aakhir Wisaal Hua
Aur Hazrt Umar Ne
Aapki Namaz e Janaza Parhayi
(Tareekhul Khulafa P#62, 67)

@Yaar-E-Ghaar@
#15

Hazrat AbuBakar Ka
Sahabi e Rasool Hona,
Afzal-ul-Bashar Hona (Baad-al-Ambiya),
Khalifa e Awwal Hona,
Siddique o Sakhi Hona,
Muttaqi o Jannati Hona Wagera.
Ahadees Ke Ilawa
Qur'an Paak Sey Bhi Sabit Hey.

Detail >>
(Baqarah A#274)
(Touba A#40)
(A'raaf A#43)
(Noor A#22)
(Lail A#17,18 )