Pages

Tuesday, 2 July 2013

Syedush Shuhadaa



Syedush Shuhadaa
@01

Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib
RadiyALLAHu Anhu,
Sarkar Alaihissalam
Ke Chacha Aur
Hazrat Saweba
Ki Nisbat Sy AapKe
Razaai Bhai Bhi Hen

Yaad Rahey!!
Urs e Syedu Shuhada
=>Saalana Mehfil e Qasida Burda
Tue 13 Sep
Bad Isha
Kayi Ulama Ki Shirkat
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@02

Aap RadiyALLAHu Anhu
Sarkar Sy Umer 2 Ya 4 Saal Barey Hen.
Aap Nabi Paak Alaihissalatuwassalam Sy
Intehayi Walihana Muhabbat Rakhty Hen

Yaad Rahey!!
Urs e Syedu Shuhada
=>Saalana Mehfil e Qasida Burda
Tue 13 Sep
Bad Isha
Kayi Ulama Ki Shirkat
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@03

Islam Laney Se Pehly Bhi
Aapki Nabi Sy Muhabbat Ka Ye Aalam Tha Ke
Jab Haram e Ka'ba Me
ABU JEHAL Ne Sarkar Ko Bura Bhala Kaha
Aur Apko Malum Hua
To Jaa Kar
UsKe Sar Is Zour Sey Apni Kamaan Sy Zarb Lagayi
Ke Uska Sar Phat Gaya
Aur Hangama Mach Gaya
Aur Farmaya
Ke Kisi Ki Majaal Nahi
Jo Mere Bhatije Ko Koi Kuch Keh Sakey

Yaad Rahey!!
Inke Urs Ki
=>Saalana Mehfil e Qasida
Tue 13 Sep Bad Isha Hogi
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@04

Aap Barey Roub Daar
Aur Bahadur Sahabi They.

Sarkar Ke Chehra e Anwar Par Khushi Laaney Ki Khatir
Imaan Laaye.

Apke Musalman Hony Se ISLAM Ko Buhat Taqwiyat Mili

Darbar e Nubuwwat Se Aapko
ASADULLAH w
ASADUR RASOOL
Ka Moazziz Khitab Mila.

15 Shawwal 3Hijri
Jang e Uhad Ke Ma'rkey Me
Lartey Hue Shahadat Se
Sarfaraz
Aur
SYEDUSH SHUHADA
KE Laqab Se Mash'hoor Huey

(Ikmaal P#560, Zurqani 3/270, Madarij)

=>Salana Mehfil
Tue 13 Sep

Syedush Shuhadaa
@05

Hazrat Hamza Ko Shahadat Ke Baad Farishton Ne Gusal Dya
Aur Sarkar Ne Iski Tasdeeq Farmayi.
(Ibn e Saad)

Sarkar Ne 70 Martaba Aap Ka Janaza Parha

Yaad Rahey!!
Urs e Syedu Shuhada
=>Saalana Mehfil e Qasida
Tue 13 Sep
Bad Isha
Kayi Ulama Ki Shirkat
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@06

Fatima Khazaiya RadiyALLAH Anha Farmati Hen;
Me Ne Mazar e Hamza Par Salam Arz Kya To Qabar Ke
Andar Se Mere Salam Ka Jawab Dya Gaya Jisey Me Ne Kaano Se Suna
(Behiqi)

Yaad Rahey!!
Urs e Syedu Shuhada
=>Salana Mehfil e Qasida
Tue 13 Sep
Bad Isha
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@07

Sheikh Mehmood Kurdi
Ne Aapki Qabr e Anwar Par Salam Arz Kya To Ba Aawaz e Buland Jawab Irshad Hua,
Aur Unsey Farmaya Gaya;
"Tum Apne Larkey Ka Name Mere Name Par HAMZA Rakhna"

Yaad Rahey!!
Urs e Syedu Shuhada
=>Mehfil e Qasida
Tue 13 Sep
Bad Isha
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@08

Ameer Muawiya
RadiyALLAHu Anhu Ke Dour e Hukoomat Me Apki Mazar Ki Qurbat Me Nehar Khodi Gayi,
Be Khabri Me Apke Qadam Mubarak Ki Taraf
Kulhara Parr Gaya
Jis Ki Waja Sey Taaza Khoon
Beh Nikla
Halaanke Aapke Wisaal Ko Us Waqt 46 Saal Guzar Chukey They
(Hujjatullahi Alal Aalameen 2/864, Ibn e Saad)

Yaad Rahey!!
Urs e Syedu Shuhada
=>Saalana Mehfil e Qasida
Tue 13 Sep
Bad Isha
Kayi Ulama Ki Shirkat
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@09

Muharram 1428H (2007) Ki Syedushuhada Par Hazri Muje Aaj Bhi Yaad Hy
Jab Raat Ki Tareeki Me
Kuch Qafiley Walo Ne
Mehfil Ki.
Koi Aankh Aisi Na Thi Jo
Ashk Baar Na Ho,
Sab Par Riqqat Taari Thi,
Zaar o Qataar Ro Rahey Thy,
Sirf Us Makhsus Jaga Barish Barsi Jahan Mehfil Horahi Thi
Meri Zindagi Ki Sab Se Yaadgar Mehfil.....

Yaad Rahey!!
Urs e Syedu Shuhada
=>Saalana Mehfil e Qasida
Tue 13 Sep
Bad Isha
@
Memon Masjid Muslehuddin
Garden

Syedush Shuhadaa
@10

"ALLAH KI QASAM
Me Apni Aankhon Sey
MALAAIK (Farishton)
Ka Is Mehfil Py Nuzool Dekh Raha Hun"
Ye Baat
MUFTI MANZOOR
AHMED FAIZI Alaihirrahma
Ne Hone Wali Us Saalana
Mehfil Me Farmayi
Jo SYEDUsh SHUHADA
Ki Yaad Me Mun'aqid Ki Jaati Hy

Phir Usi Mehfil
Ki Dawat Aapki Bargah Me Pesh Kr Raha Hun
Waqt e Urs
Sahib e Urs Ki Khaas Nazar Hoti Hy
Aaj
15 Shawwal
13 Sep Tue
Baad Isha
Mehfil QASIDA BURDA
Memon Masjid Muslehuddin (Khori Garden)

Syedush Shuhadaa
@11

Ibne Abi Shaiba Riwayat Karty Hen Ke
SARKAR (alehisalatuwassalam) Har Saal Shuhada e Uhad Ke Mazaraat Par Jaa Kar Unhen SALAM Karty,
NABI Ki Sunnat Ki Adaigi K Lye Chaaron KHALIFA Bi Aisa Hi Krty
(Muqaddma SHAMI J1)

Aaj 15 Shawwal
Youm e Syenda Hamza
W 70 Sahaba
Esaal e Sawab Kijye