1) Shab-e-Qadar
Mah-e-Ramadan Bohat Muqadas Mahina Hy. IsMe 1 Aesi Raat Aati Hy,JisMe Quran Nazil Hua or isi
Raat Me Zmeen Pr Frishte Uterte Hn.Usy Hazar Mahinon Se Behtar Mahina Qrar Dia Geya Hy.Or Ye
Kisi or Ummat Ko Ata Nai Hui.
Hzrt Anas RadiAllahAnho Nabi SalatoSalam Se Riwayt Krte Hn K Ap AlehSalam Ne Frmaya:"BeShak
Allah Taala Ne Lailatul Qadar Meri Ummat Hi Ko Ata Ki Hy inse Pehly Kisi Ummat Ko Nhi Mili".
Ghunyatul Talebeen 476-475
Zearak Fridi
2) Shab-e-Qadar
Hzrat Huraira RadiAllahAnho Se Riwayt Krte Hn K Nabi SalatoSalam Ne Irshad Frmaya: "Jo Shakhs
Shab-e-Qadar Me Eman K Sath Sawab Hasil Krne Ki Gharz Se Khara Ho Iske Sabiqa Gunah Bakshish
Diye Jain Gy".
Muslim J1,P523,H760
Nisai J2,P143,H2172
Coming Soon: WILAYAT
Zearak Fareedi Al-Qadri
3) Shab-e-Qadar
Bibi Ayesha RadiAllahAnha Ne Nabi SalatoSalam Se Arz Ki K Ya Rasoollah! Agr Mujhy Shab-e-Qadar
Malom Hojaye To Is Me Kia Dua Maango? Ap SalatoSalam Ne Frmaya Ye Dua Maango:"Ya Allah! Tu
Bohat Ma'af Krne Wala Hy,Afuo Drguzar Ko Pasand Krta Hy Ps Mujhy Ma'af Frma De".
Tirmizi J2,P625,H1440