@SALTANAT-e-MUSTAFA@
01
# Ahlesunnat Ka Aqeeda #
Har Cheez Ka Haqeeqi Maalik ALLAH Hey.
Us Ney Apni Ataa Sey Sarkar Ko >
> Kounain Ka Hakim,
> Saari Khudayi Ka Waali Banaya
> Sab Khazany Huzur Ke Paas Hen
> Jo Chahy Ataa Farmaen
> Jo Chahy Halal Ya Haram Farmaen
Aagey Unke Dalaail Paish Kye Jayenge
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
02
"Aur Unhen (Ya'ni Kuffar-o-Munafiqeen Ko) Kya Bura Laga ?
Yahi Na Ke ALLAH o Rasool
Ne Unhen (Musalmano Ko)
Apne Fazal Se Ghani Kar Dya"
<Sura e Touba Aayat#74>
Ma'lum Hua Sarkar Bhi Logon Ko
Ghani Aur Maaldaar Farmatey Hen
Aur Dusron Ko Ghani
Wohi Karega Jo Khud Maalik Ho
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
03
"Aye Mehboob ! Yaad Karo Jab
Tum Farmatey They
Us Sey Jise ALLAH Ne Ne'mat Di
Aur (Aye Nabi) Tum Ne (Bhi)
Usey Ne'mat Di"
(Sura e Ahzaab Aayat#37)
ALLAH Ghani Karta,
Ataa Karta, In'aam Farmata Hey
Aur
ALLAH Ke Fazal Se Uske Nabi Bhi
Ghani Karny, Ataa Karny,
In'aam Karny Waly Hen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
04
"Jo Kuch Tumhe Rasool Ataa Farmaen
Wo Lo Aur Jis Se Mana Farmaen
(Us Se) Baaz Raho"
(Sura e Hashar Aayat#7)
Sarkar Mukhtar e Kull Hen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
05
"Be Shak Hum Ney
Aapko Be Hadd o Hisab Ataa Kya"
(Sura e Kousar P#30 Aayat#1)
~Aap Ko Rabb Ne Kaha
Saahib e Khair e Kaseer~
~Ye Laqab, Ye Martaba
Saahib e Khair e Kaseer~
~Main To Maalik Hi Kahun Ga Ke
Ho Maalik Ke Habib~
~Ya'ni Mehboob o Muhibb Me Nahi Mera Tera~
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
06
Quran Se Dalaail Paish Kiye,
Ab Ahadees e Mubaraka Mulahiza Hon >
Mafhum e Hadis:
Be Shak ALLAH Dene Wala He Aur Me TAQSEEM Karta Hun
(Bukhari J#1 P#439)
(Muslim J#1 P#333)
Rabb Hey Mo'ati (Ataa Karney Wala),
Ye Hen Qaasim (Taqseem Karney Waley)
Rizq Uska Hey, Khilatey Ye Hen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
07
Hazrat Jaabir Farmatey Hen ;
"Kabhi Aisa Na Hua Ke
Rasoolullah Sey Kisi Cheez Ka
Suwal Kya Gya Ho
Aur Aap Ne "Laa" Ya'ni "Nahi" Farmaya Ho
(Muslim V#2 P#253)
(Bukhari V#2 P#891)
~ Waah Kya Jood o Karam Hey
Shah e Batha Tera ~
~ "Nahi" Sunta Hi Nahi Maangney
Wala Tera ~
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
08
Sarkar Ek Din
Uhad Walon Ke Paas
(Mazar Pr) Nikly,
Namaz Parhi,
Phir Mimber Par Loutey,
Farmaya;
"Me Aagey Jane Wala Hun,
Aur Men Tum Per Gawah Hun,
Me Apne Houz Ki Taraf Bhe Dekh Raha Hun,
Aur Zameen Ke Khazano Ki Kunjiyan Mujhe Di Gayin,
Or BaaKhuda Muje Iska Khouff Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karne Lago Gy,
Lekin Darr Hy
Tum Dunya Ke Ragbat Me Ek Dusrey Se Muqabla Karogy"
(Bukhari H#1261 - Janazey Ka Baab)
(= 1/179)
Gour Kijye To Is Sy
>Urs Manana
>Ikhtiyar e Mustafa
>Hazir Nazir
>Elm e Gaib
>Hayaat
Ye Sab Sabit Hua,
Phir Ye Bhi Bata Dya Ke
Jo Ye Aqeeda Rakhy Wo
MUSHRiK Nahi
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
09
Abu Huraira Ney Arz Ki;
"Ya RasoolALLAH !
Aap Sy Buhat Kuch Sunta Hun
Magar Bhool Jata Hun
Farmaya;
Apni Chaadar Phelao,
Aap Ne Dono Hathon Sy
Chullu Bana Kr Chaadar Me Kuch
Daala Or Kaha
Isey Upar Lapait Lo,
Me Ne Lapait Lya,
Iske Baad Me Koi Hadees Na Bhoola
(Bukhari V1 P#22)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
10
"Beshak Me Zameen Ke Tamam
Khazano Ki Chabiyaan Dya Gaya Hun"
( Bukhari V#2 P#558 )
( Muslim V#2 P#250 )
"Mujhey Zameen Ke Tamam
Khazaney Dye Gaye Hen
Aur Wo Mery Haath Me Rakh Dye Gaye Hen"
(Bukhari V#2 P#1042)
(Muslim V#2 P#244)
"Mujhey Har Cheez Ki Kunjiyaan
De Di Gayeen Hen"
(Masnad Imam Ahmed)
(Khasaais ul Kubra)
~ Kunji Tumhen Di Apne Khazano Ki
KHUDA Ney ~
~ Mahboob Kya,
Maalik o Mukhtaar Banaya ~
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
11
# Sahaba Ka Huzoor Sey Maangna #
Ek Martaba Huzoor Alahissalam Ny
Hazrat Rabee'a Sey Khush Hokar Farmaya ;
Maang Kya Maangtey Ho ?
Arz Ki ;
Me Aap Se Ye Maangta Hun
Ke Jannat Me Aapka Saath Ho
Farmaya:
Iske Ilawa Bhi Aur Kuch ?
Arz Ki ;
Bus Mujhe Yahi Kaafi Hey
(Muslim 1/193)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
12
# Chaand Par Hukoomat #
Ahl e Makkah Ney
Huzoor Alaihissalam
Se Suwaal Kya Ke
Aap Apna Koi Mojiza Dikhlayen,
To Aap Ne Unhe Chaand Ke
2 Tukre Kar Ke Dikhaya
(Bukhari 1/513)
~ Sooraj Ulte Paaun Paltey
Chaand Ishaarey Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekh Ley
Qudrat Rasoolullah Ki ~
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
13
# Khazaaney #
"ALLAH Ney Merey Lye Zameen Samait Di,
Pas Mey Ne Zameen Ke Mashriqon Aur Magribon Ko Dekh Lya"
(Muslim H#2889)
(Tirmizi H#2182)
(Ibne Maaja H#3952)
(Abu Dawood H#4252)
(Nisaai H#1637)
Aagey Farmaya ;
ALLAH Ne Mujhe Surkh-o-Sufaid
2 Khazaney Ata Kye
(Muslim 2/390)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
14
# Pahaaron Par Saltanat #
"Me Chahun To Mere Saath
Soney Ke Pahaar Chalen"
(Mishkat P#521)
Bat'ti Hy Konain Me Ne'mat
Rasoolullah Ki
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
15
Hazrat Abbas Ney
Huzoor Maalik e Koun o Makaan
Alahissalatu Wassalaam
Sey Arz Ki ;
"Me Ney Dekha (Bachpan Me)
Aap Gehwary Me Letey Chaand Sey
Baaten Kar Rahey They
Aur Jis Taraf Aap Ungli Sey Ishaara
Kartey, Chaand Us Taraf Ho Jaata"
(Baheqi)
(Ibn e Asakir)
(Khasaais ul Kubra)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
16
Huzoor Alahissalatu Wassalaam
Ne 6 Sahaba Ek Hi Din
Mukhtalif Mulkon Ke Baadshahon Ki Taraf
Rawana Farmaye
To In Me Sey Har Ek
(Bagair Seekhey, Parhey)
Us Mulk Ki Zuban Me Guftugu Karny Laga
Jis Mulk Ki Taraf Usko Rawana Farmaya Tha
(Khasaais e Kubra 2/2)
(Shifa Shareef 1/208 )
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
17
Mafhum e Hadees ;
"Hum Ne Girhan Ki Namaz Me
Jannat Ko Dekha Aur Uska Khosha (Ghuccha) Pakra,
Agar Hum Wo Khosha Torr Lety
To Qayamat Tak Usko Khatey Rehte"
(Muslim 1/296)
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Un Se Mila,
Bat'ti Hey Konain Me Neamat Rasoolullah Ki
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
18
# Namaz Muaf Karwayi #
Har Musalman Jaanta Hey
Ke Musalman Par 5 Namazen Farz Hui
Na In Me Kami Ho Sakti Hey
Na Zyadati,
Lekin Sarkar Alaihissalam Ne
Ek Shakhs Ki 3 Farz Namazen
Muaaf Farma Di
(Abu Dawood 1/67)
Goya Khaaliq e Kull Ne
Aapko Shariyat Ka Bhi Maalik Bana Dya
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
19
Hazrat Habib Ke Walid Ki Aankhen
Saanp Ke Andon Par Paaun Aaney
Ki Waja Sey Sufaid Ho Gayeen
Aur Unhen Donu Aankhon Sey
Kuch Nazar Na Aata,
Huzoor Ney Inki Aankhon Me
Apna Luaab-e-Dahan Daal Dya
To Wo Beena Ho Gaye
Aur Sab Kuch Nazar Aaney Laga,
Dekha Gaya Ke Wo 80 Saal Ki Umar
Me Bhi Suii Me Dhaaga Daalty Thy
(Baheqi)
(Tibrani)
(Shifa Sharif 1/213)
(Khasaais e Kubra 2/69)
Inke Haath Me Har Kunji Hy
Malik e Kull Kehlatey Ye Hen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
20
Huzoor Ny Ek Gazwa (7 Hijri)
Me 1 Chashmey Pr Nuzool Farmaya
Arz Ki Gayi ;
IsKa Naam BAISAAN Hy
Aur Iska Paani Namkeen Hy
Farmaya ;
Bulkey IsKa Naam NOMAAN Hy
Aur Iska Paani Meetha Hy
To Wo Chashma Meetha Ho Gaya
(Shifa Shareef 1/218 )
Wo Zubaan Jisko Sab
KUN Ki Kunji Kahen..
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
21
Abdullah Bin Anees Farmaty Hen ;
"Ek Yahudi Ney Mery Chehry Par Aisa
Zakham Maara Ke Sarr Ki Haddiyaan Tak
Khul Gayeen,
Me Usi Haal Me Sarkar Ki
Khidmat Me Hazir Hua,
Huzoor Ne Zakham Par
Apna Luaab e Dahan Daal Dya
Iske Baad Mujhe Bilkul Takleef Na Hui
(Tibrani)
(Khasaais 2/70)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
22
Jand e Badar Me Abu Jehal Ne
Hazrat Muaz Ka Haath Kaat Daala,
Wo Apna Hath Uthaye Hazir Huey
Huzoor AlaihissalatuwasSalam Ny
Is Par Apna Luab e Dahan Laga Dya
Aur Isey Mila Dya,
Wo Usi Waqt Jurr Aaya
Aur Aisa Ma'lum Hota Ke
Kabhi Kataa Hi Na Tha
(Shifaa Shareef 1/213)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
23
Fatah e Khebar Ke Waqt
Hazrat Ali Ki Aankhen Shadeed
Dukh Rahi Thin,
Huzur Ny Apna Luaab Mubarak
Inki Aankho Me Daala, Dua Farmayi.
Wo Tandrust Hogaye
Goya Kabhi Dard-e-Chashm Hua Hi Na Tha
(Bukhari 2/606)
JisKe Paani Sy Shadab Jaan o Jinaan
Us Dahan Ki Tarawat Py Lakhon Salam
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
24
Huzoor Ne Apna Dast e Aqdas
Paani Ke Ek Bartan Me Rakh Dya,
To Aapki Ungliyon Sy Paani Ke Chashmy
Phoot Nikly Jis Sy Logo Ny Wuzu Kya
Hazrat Qatada Ny
Hazrat Anas Sy Pucha ;
Kitne Aadmi Thy?
Farmaya ; 300
(Bukhari 1/504)
~ Naddiyaan Punjab e Rehmat Ki
Hen Jaari Waah Waah ~
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
25
Hazrat Huzaifa ;
"Huzoor Ne Qayamat Tak Jo
Kuch Honey Wala Tha
Wo Sab Bayaan Kar Dya,
Jisey Yaad Raha, Yaad Raha
Jo Bhool Gaya, BhooL Gaya
(MusLim 2/390)
Sar-e-Arsh Par Hey Teri Guzar,
DiL-e-Farsh Par Hey Teri Nazar
~
Malakoot o Mulk Me Koi Shey,
Nahi Wo Jo Tujh Pe Ayaan Nahi
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
26
Al-Qur'an ;
"Hum Dekh Rahey Hen Baar Baar
Tumhara Aasman Ki Taraf Munh Karna
To Zarur Hum Tumhen Pher Den Gey
Us Qibla Ki Taraf
Jis Me Tumhari Khushi Hey
(Surah e Baqarah Aayat#144)
Rabb Ko Apne Mustafa Se Pyar Kitna Dekhye,
Khaana e Ka'aba Ko QIBLA
Keh Dya To Hogaya
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
27
Al-Qur'an:
"Aur Beshak Qareeb Hey
Ke Tumhara Rabb Tumhen Itna Dey Ga
Ke Tum Raazi Ho Jao Gey
(Surah e Duhaa Aayat#5)
Aur Huzur Raazi Kb Hongy?
Yaqeenan
Apni Ummat Ko Bakshwa Kar,
Kitna Buland Martaba Hey >
Khuda Ki Raza Chahtey Hen Do Aalam
~
Khuda Chahta Hey Raza e Muhammad
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
28
"Mehboob Hum Ny
Aapko Kousar Dy Dya"
(Sura e Kousar A#01)
Kousar Sey Murad
Houz e Kousar,
Buhat Bhalayi,
Buhat Ummat,
Maqam-e-Mehmood,
Shafa'at-e-Kubra,
Sab Khalqat Pr Buzurgi,
Kuch Bhi Murad Ho
Rabb Ney Dya Or Buhat Kuch Dya
Or Mehboob Ny Lya
Jis Sey Unka Malik Hona Lazim Aaya
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
29
Hazrat Jabir Ke Ghar Gosht Me
Huzoor Ne Apna Lu'aab-e-Dahan
Daala To Wo Gosht Senkaron
Aadmiyon Ne Khaa Lya
Magar Na Gosht Kam Hua
Na Aata or Na Roti Pakane
Wali Bibi Ko Pakaney Me
Kuch Thakan Mehsoos Hui
(Mishkat - Babul Mojizaat)
~ Aap Ne Qatrey Ko Darya
Keh Dya To Hogaya ~
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
30
Huzur Alaihissalatu Salaam
Ney Ek Boorhi Aurat Ko Bula Kar
IsKe Mashkeezy Ka Munh
Sahaba Ke Lye Khol Dya,
Wo Paani Sabko Kaafi Hua
Sab Ny Apny Bartan Bhar Lye
Aur Khoob Pee Lya
Magar Mashkeeza Usi Tarhan Bhara Raha
(Mishkat - Babul Mojizaat)
~ Do Aalam Pe Jaari Hukoomat Tumhari
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
31
"Hum Ny Girhan Ki Namaz Me Jannat
Ko Dekha Aur Iska Khosha Pakra,
Agar Chahty To Khosha Torr Lety
To Tum Isey Qayamat Tak Khatey Rehty
(Mishkat - Baab us Salat AlKhashf)
Pas Saabit Hua Ke
Huzoor AlaihissalatuWasSalaam
Dunya Me Reh Kar Bhi
Jannat Ki Har Cheez Ke Maalik Hen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
32
Hudaibia Ke Kunwey Me
Paani Buhat Kam Tha,
Huzur Ny Pani Me Teer Daala
Jis Sy Kunwey Ka Pani Zyada Ho Gaya
(Mishkat - Baab ul Mojizat)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
33
# Jaanwaron Par Saltanat #
Hazrat Abu Talha Ke Arryal Ghorey (Horse)
Par Ek Baar Huzoor Alaihissalam Ney
Suwari Farmayi To Wo Ghora
Hamesha Ke Lye Acha Hogaya
Aur Phir Kabhi Na Arra
(Mishkat - Baab ul Mojzaat)
Inhi Sy Karti Hen Chiryaan Faryaad
~
Inhi Sy Chahati Hy Hirani Daad
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
34
Ek Shakhs Bayen (Left) Haath Sy
Khana Kha Raha Tha
Huzur Ne Isey Dahiny (Right) Haath Sy
Khany Ke Lye Farmaya
Kaha ;
Mera Haath Bekaar Hy
Farmaya ;
Tu Aaj Ke Baad Seedhy Haath Sy
Na Khaa Sakega
Phr Uska Haath Aisa Bekar Hua
Ke Kabhi Munh Tk Na Aasaka
(Mishkat - Baab ul Mojzat)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
35
# Adab Ki Ta'leem #
"Aye Iman Walo !
ALLAH Aur Uskey Rasool Sey Aagey
Na Barho, Beshak ALLAH Sunta Janta Hy"
(Surah e Hujraat Aayat#1)
Bataya Gaya Ke Koi Musalmaan
ALLAH Ke Habeeb Alaihissalatuwassalaam
Sey Kalaam Mey,
Chalney Mey,
Gharz Kisi Bhi Baat Me
Nabi Sey Aagey Na Ho
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
36
# Aawaaz Past #
"Aye Iman Walon!
Apni Aawazen Oonchi Na Karo
Ghaib Batany Waly NABI Ki Aawaz Sey
Aur Unky Huzoor Baat Chilla Kar Na Kaho, Jesy Aapas Me Ek Dusrey Ke Saath
Chillaty Ho,
Kaheen Tumharey A'amal Barbaad Na Ho Jayen Aur Tumhen Khabar Bhi Na Ho
(Sura e Hujraat Aayat#2)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
37
# Aawaaz Past Karne Walon
Ko Bishaarat #
Al-Qur'an ;
"Beshak Wo Jo Apni Aawazen Past Karty Hen Rasoolullah (Alaihissalatuwassalam)
Ke Paas, Ye Wo Hen Jinka Dil ALLAH Ney
Parhezgaari Ke Lye Parakh Lya Hey.
Inky Lye Bakhshish Aur Bara Sawab Hey"
(Sura e Hujrat Aayat#3)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
38
"Aur Tumhen Haajat Mand Paaya
Phir Ghani Kar Dya"
(Sura e Duhaa A#8 )
"....Rabb Tumhen Itna Dega
Ke Tum Raazi Ho Jaao Gey"
(A#5)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
39
# Maalik e Shariyat #
"Aur Kuffar In Cheezon Ko Haraam Na
Manty Jo ALLAH Aur Usky Rasool Ney
Haraam Farmayin"
(Sura e Touba Aayat#29)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
40
# Banda e Nabi #
"Farma Do Aye Mehbob !
Aye Mery Wo Bandon Jinho Ney
Apni Jaano Par Zyadti Ki,
ALLAH Ki Rehmat Sey Na Umeed Na Ho.
(Sura e Zumar Aayat#53)
Ma'loom Hua Ke
Huzoor Alaihissalam Ko Ijazat Di Gayi Ke
Jahan Bhar Ke Musalmanon Ko
Apna Banda Ya'ni Ghulam Farmayen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
41
Al-Qur'an ;
"Aye Iman Walon !
ALLAH Aur Usky Rasool Ke Bulaney Par
Foran Haazir Hojao
Jab Tumko Bulayen"
(Sura e Anfal Aayat#24)
Ma'lum Hua Hey Ke
Itaa'at Ke Wajib Hony Ki
Yahi Waja Hy Ke
Huzoor Alaihissalatu Salam
Sab Key Malik Hen
Ya Rasoolallah
Hamen Apne Darr Par Bula Lijye
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
42
Sarkar Alaihissalam Ne
Ek Sookhi Bakri Ke
Thano Ko Haath Laga Kar
Is Sy Is Qadar Doodh Nikaala
Ke Tamam Jama'at Sair Ho Gayi,
Malika Ke Sarey Bartan Bhar Gaye
(Mishkat - Baab ul Mojizaat)
Sookhey Daano Pe Hamarey Bhi Karam Hojaye
~
Chaayen Rehmat Ki Ghata Ban Ke Tumharey Gaisoo
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
43
# Saahib e Shariyat #
Farman e Sarwar e Aalam
Sallallahu Alaihi Wasallam ;
"Aye Logo Tum Par Hajj Farz Hey,
Lihaza Hajj Karo
Pucha Gaya ;
Ya Rasoolallah !
Kya Har Saal Hajj Farz Hy ?
Farmaya ;
Agar Hum "Haan" Farma Detey
To Har Saal Hi Farz Hojata"
(Mishkat - Kitab ul Hajj)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
44
Hazrat Anas Ke Baagh Me
Ek Baar Huzoor Tashreef Le Gaye
To Inka Baagh Saal Bhar Me
2 Baar Phal Deny Laga
(Mishkat - Baab ul Karamaat)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
45
Khateeb e Qustalani
Imam Ahmed Bin Muhammad ;
"Mere Maan Baap Us Shehanshah Par
Qurban Jo Us Waqt Sey Baadshah Hen
Jab Hazrat Aadam Mitti Aur Paani
Me Jalwa Gar They"
"Jab Huzoor Kuch Chah Len
To Usky Khilaaf Nahi Ho Sakta
Aur Na Koi Inko Rok Sakta Hy"
(Mawahib ul Ladunya 1/46)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
46
Allama Yousuf Bin Ismail ;
> Huzoor Dety Hen
Aur Saayilon Ki Haajat Rawayi Karty Hen
> Museebat Zadon Ki Museebat Door Karty Hen
> Huzoor Shafa'at Farmayen Ge
Aur Jisko Chahen Gy Jannat Me Dakhil Karengy
(Shawahid ul Haq P#135)
Mere Aaqa Detey Hen
~
Jholi Sab Ki Bhartey Hen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
47
Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi ;
Huzoor Alaihissalaam
Saltanat e Ilahi Ke Muntazim
Aur Muqarrar Karda Haakim Hen,
Dunya Ke Saarey Koun o Makaan Ke
Ahkaam Huzoor Ke Sapurd Hen,
In Sey Barh Kar Konsi Saltanat Hey
(Ashi'atul Lam'aat 1/656)
Inhey Khuda Ne Kya Apne Mulk Ka Maalik
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
48
Imam Aazam Abu Hanifa ;
Ya Rasoolallah
Aapki Ataa Ka UmeedWar Hun
Aur Khalqat Me Abu Hanifa Ka
Aapky Siwa Koi Nahi
(Qaseeda e Noman)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
49
Ek Baar Huzoor Hazrat Ali Ke Zanoo Par Sar Rakh Kar Aaraam Farma Rahy Hen
Hazrat Ali Ny Asar Adaa Na Farmayi Thi, Aapka Khayal Tha Ke
Agar Utha To Huzoor Ke Aaraam Me
Khalal Hoga, Sooraj Doob Gaya
Huzoor Jaagey To Aapki Dua Sy
Dooba Sooraj Palat Aaya
(Shaami - Baab ul Murtaddeen)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
50
Ek Pyaaley Me Huzoor Ne Apna Haath Mubarak Rakh Dya To Ungliyon Sy Paani Ke Chashmey Jaari Hogaye,
1500 Aadmiyon Ne Sair Hokar
Paani Piya Aur Wuzu Kiya
(Mishkat - Baab ul Mojizaat)
Ungliyan Hen Faiz Pr
Tooty Hen Pyase Jhoom Kr
~
Naddiyaan Punj Aab e Rehmat Ki
Hen Jaari Wah Wah
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
51
"ALLAH Deta Hey Aur
Me Taqseem Karta Hoon"
(Mishkat - Kitab ul Ilm)
Ma'lum Hua Ke Khuda
Apne Mustafa Ko Ataa Karta Aur
Mustafa Kareem Alaihissalatu Wattasleem Jahan Walon Ko Taqseem Farmatey Hen
Aur Aapki Sifat QASIM Bhi Hy.
Yahan Sy Bhi Huzoor Ki Milkiyat
Aur Qabza Sabit Hua
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
52
Mulla Ali Qaari ;
Dunya o Aakhirat Ki Har Cheez Ke
Malik Huzoor,
Izzat, Iman, Jannat, Rehmat
Sab In Se Mango,
(Mirqat - Shara Mishkat)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
53
Ibne Hajar Makki ;
Huzoor Alaihissalam
ALLAH Ke Barey Khaleefa Hen,
Rabb Ke Khazaney Aur Uski Ne'maten
Huzoor Ke Haath Aur Inke Iradey Me Hen.
Jisey Chahey Den
(Al-Jawahir ul Munazzam P#52)
Jo Chahen Gey Jisey Chahen Gey
Ye Usey Denge
~
Kareem Hen Ye Khazaney Lutaaney
Aaye Hen
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
54
Imam Nawawi ;
Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam
Ke Lye Jaaiz Hy Ke Wo Umoom
Ahkaam Me Sy Jisko Chaahen
Khaas Farma Len,
Jis Tarah Abu Burda Bin Dinar Ko
Huzoor Ne 1 Saal Sey Kam Umar
Ke Bakrey Ki Qurbani Karny Ki
Ijazat Dedi
(Mirqaat 2/323)
~ Mehboob Kya Maalik o Mukhtar Banaya
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
55
Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi ;
Sarkar Ne Jo Suwal Ko Mutlaq Farmaya Ke "Maango"
Aur Isey Kisi Khaas Cheez Sy
Muqayyad Na Farmaya,
Ma'lum Hota Hy Ke Saara Muamla
Huzoor Ke Hi Kareemana Hathon Me Hy
Jo Chahen Jisey Chahen
Apne Rabb Ke Hukum Sy De Den
(Ashi'at-ul-Lam'aat 1/106)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
56
Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi ;
Louh-o-Qalam
Huzoor Ke Uloom Ka 1 Hissa Hy
Agar Dunya-o-Aakhirat Ki Khair Chahty Ho To Syed e Aalam Ke Aastany Pr Aao,
Jo Chaaho Maang Lo
Tamam Hukumat, Saraa Jahan
ALLAH Ki Ataa Se Sarkar Key
Qudrat-o-Tasarruf Me Hen
(Ashi'at-ul-Lam'aat 1/106)
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
57
Sarkar Ny Hazrat Usaid Bin Ayas
Ke Chehry Or Seeny Pr Apna
Dast e Mubarak Phera To
(Is Qadar Munawwar Ho Gaya Ke)
Wo Andheri Kothri Me Dakhil Hoty
To Wo Roshan Ho Jati
(Ibn e Asakar)
(Kanz ul Umaal)
JisKe Har Khat Me Hy
Mouj-e-Noor-e-Karam
Us Kaf-e-Behr-e-Himmat Py
Lakhon Salam
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
58
"Qayamat Ke Din Jab Loug
Na Umeed Hongy,
Izzat o Karaamat Aur Kunjiyaan
Mery Haath Me Hongi
Aur Hamd Ka Jhanda Bhi
Us Din Mery Haath Me Hoga"
(Mishkat P#514)
Arsh Par, Farsh Par
Dunya Me, Uqbaa Me Bhi
~
Jahan Dekha Mujhey
Sarkar (Alaihissalatu Wassalaam)
Ka Jhanda Nazar Aaya
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
59
Kisi Ney Suwal Kya ;
Ya Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) !
Kya Hajj Har Saal Farz Hey?
Farmaya ;
Nahi,
Aur Agar Me Haan Keh Deta
To Har Saal Hi Farz Ho Jaata
(Tirmizi)
(Ibn e Maaja)
(Nisaai)
(Daarmi)
(Masnad Ahmad)
Jabke Ibn e Maaja Ki Riwayat Me
Yahan Tak Hey ;
"Agar Haan Keh Dun To
Har Saal Farz Ho Jaye,
Agar Tum Har Saal Na Karty
To Azaab Kye Jaaty"
Hey Junbish e Labb
Qanoon e Khudaa
~
Qur'an o Khabar Ki Gawahi Hy
@SALTANAT-e-MUSTAFA@
60
Me'raj Ke Mouqey Par
Ibtida'an 50 Namazen Ataa Ki Gayeen,
Phir Mehboob e Khudaa
Alaihissalatu Wassalaam
Ki Darkhuwast Par
Sirf 5 Namazen Reh Gayeen
(Bukhari)
(Muslim - (Mulkhasan) )
Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Faro'a Hen
~
Asal ul Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hey